اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Feb 2018

Haq Ki Talaash Aur Ham


Ek Musalmaan aur ek Tailb e Ilm ko hamesha Sach ki talaash karte rahna chahiye. Hame sha'oor ki umar (age) se lekar aakhri saas tak ye safar taye karte rahna chahiye. Kyuki isi tarike ki taleem hame Quran aur Sunnat se milti hai. Sahaba e karaam, salaf as saliheen aur hamare imamo ki zindagi ek behtareen misaal hai is chiz ki. Agar ham ye samjhenge ki bas ab hamari hi soch, hamari hi raaye sahih hai aur isme galti ke chances bhi maujud nahi hai to ye khud ko Nubuwat ke darze par fa'iz karna hua. Kyuki sirf Ambiya karaam ke bareme hi kaha ja sakta hai ki sirf wahi log hai jo Allah ki hifazat me rahte hai. Baaki ham sab ke sab sirf ek insan hai. Ham tahkeek karte hai, baaz aukat hamari tahkeek sahih hoti hai aur baaz aukat hamari tahkeek galat hoti hai. Baaz aukaat hamse choti galtiya hoti hai, baaz aukat hamse badi galtiya ho jati hai. Toh koi ilm me kitne hi bade darje par pohch jaye, galatiya ka imkaan (chances) hamesha bana rahta hai.

Hame apne Dil o Dimag ko hamesha khula rahne dena chahiye. Agar ham yeh samjhenge ki bas ham hi sahih hai, hamari hi soch sahih hai, yahi aakhri nataij hai jo hamne seekh liye hai to ye Islah ka darwaza band karna hua. Aur hamari zahen is tarha ban jayegi ki 'Bhai Islah to Ap apni karo, ham to pahle se hi Haq par hai, ham to pahle se hi Jannati hai.'

Apko Sahabi e Rasool ﷺ, Salman Farsi r.a. ki zindagi ka Ilm hoga. Sabse pahle wo aatish-parast the, fir wo Isaai hue aur fir unhone Islam qubul kiya. Unko Islam ki daulat isi liye mili kyu ki unhone haq ke liye hamesha apna dil o dimag khole rakha. Agar wo hamari hi tarah zahen bana lete ki bas mai hi sahih hu to ap soche ki unhe Islam ki daulat kaise milti. Aur Salman Farsi r.a. ki badi fazilat ayi hai Hadith ki kitabo me. [Allah ne agar zindagi di to aage mai Salman Farsi r.a. ki zindagi par ek khas article publish karunga in shaa Allah]. Salman Farsi r.a. ki puri zindagi Haq talash karne walo aur Ilm ka safar taye karne walo ke liye ek sabak hai.

Toh Haq ki talash karne wala bane, aur Ilm ke safar ke sachhe musafir ban kar zindagi basar kare. Aur Khuda ke liye is tassub aur taqabbur ko apne dil o dimag se nikal fenke ki hamare tahkeek ya raaye me galti nahi ho sakti. Ye galti hame boht bhari pad sakti hai qayamat ke din. Aur khud ka post mortem karte rahe. Yaani Jaizaa Lete Rahe. Kuch sawalat hai jise hame roz khud se puchna chaiye ki:
۩ Kya Humne Apne Apko Taa'subaat Se Pak Karne Ki Koshish Ki Hai ?
۩ Kya Hum Ab Bhi Jazbaat Main Beh Jate Hein ?
۩ Kya Ab Bhi Hum Usi Jagah Par Khade Hain Ke Pahle Agar Ek Shakhs Ki Aqeedat (Andhi-takleed ; Blind-following) Main Mubtala The Toh Ab Kisi Doosray Shakhs Ki Aqeedat Main Mubtala Hogye Hain ?
۩  Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?
۩ Agar Koi Hamari Maani Hui Raa'ye Se Mukhtalif Cheez Ki Taraf Humain Bulaye To Hamara Response Gair Tassubana Hota Hai ?
۩ Kya Hum Aj Bhi Poori Tawajjoh Se Uski Bat Sun'nay Ke Liye Amaa'da Hojaty Hain ?
۩ Kya Hamary Andar Ye Cheez Moujood Hai Ke Agar Hamari Ghalti Hum Par Waa'zeh Ki Jayegi Toh Hum Haq Ko Maan Lengay?
Toh iska jaizaa lety rehna chahye hame. Kyuki tassub insan ki aisi kamzori hai ke bade se bade ahle ilm ko ye andaza nahi hota kay wo is kamzori main mubtala ho chuka hai. Toh har raat jab ap apne bed par sone jaye to khud se ye sawal puche.

Ye Ilm ka safar hai, hum sab ke sab Nabi ﷺ ki baat ko samjhne mein masroof hain. Aur aiye ap bhi sath shamil hojaiye.
Related:   ۩ Aadab e Ikhtilaf
                 ۩ Ilm Ki Pahli Manzil
Gulfsha said...

Asslamu alaikum..
Aap MashaAllah bhot achhi or sahi posts krte he maine aapki kafi posts read ki he aap haq bat pr hi jor dete he..
mai bhi ek mushkil me hu kya kisi tarah se aapse contact ho sakta he plz. it's really very very very important for me to anyhow contact u jst once.
must rply plz as soon as possible.