اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 May 2018

Kya Masaa'il Hal Karne Ke Liye Namaz Me Taakheer (delay) Jaiz Hai ?


Agar koi Musalman do (2) afraad ya do girohoon ke maabain sulah karne ke liye jaye aur namaz ka waqt ho jaye, aur use andesha ho ke agar majmaa bikhar gaya to fir sulah mumkin nahi ho gi to aisi soorat mein pahli jamaat se namaz moakhhar karne mein koi harj nahi hai, lehaza woh baad mein namaz ba-jamaat ada kare ya agar jamaat na bhi mile to akaile hi namaz ada kar le, ye jamaat chorney ya jamaat ko qadray moakhhar karne ke liye uzr ban sakta hai.

Sahl ibn Sa‘d r.a. kahte hain ke Banu ‘Amr ibn ‘Awf ke kuch afraad ki baahmi takraar (dispute) thi to Nabi ﷺ apne chand sahaba ke sath un ke paas sulah karwane ke liye gaye aur namaz ka waqt ho gaya lekin Aap ﷺ wapas na aaye. Bilal r.a. ne namaz ke liye Azaan kah di, Nabi ﷺ fir bhi wapas na pohonch paye, To Bilal r.a. Abu Bakr Siddique r.a. ke paas aaye aur batlaya ke Nabi ﷺ namaz ke liye nahi pohonch sake aur namaz ka waqt ho gaya hai to kya Ap logon ki jamaat karwaoge? Toh unhone kaha : Agar tum kahte ho to padha deta hu, toh is par Bilal r.a. ne Iqamat kahi aur Abu Bakr r.a. ne jamaat karwai..

Bukhari, Hadith- 2690. Sahih Muslim, Hadith-421.

Aur agar ye wo namaz ho jise aane wali namaz yani Zohr ko Asar ke sath ya Maghrib ko Isha ke sath ada kiya ja sake toh is namaz ko aane wali namaz ke sath milane ki ijazat hai, is mein koi harj nahi, dono namaze jama ki ja sakti hain.

Ahadees uzr ki soorat mein do namazon ko jama karne ki ijazat deti hain chahe ek shaks ghar me hi ho aur wo safar ki halat me na ho.

Ibn e Abbas r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne Madeena mein Zohar aur Asar ko jama karke padha. Hala’nke wahan na (dushman ka) kahuf tha aur na hi safar ki halat thi..

Ibne Abbas r.a. se poocha gaya ke Aap ne aisa kyo’n kiya toh unho’n ne ye jawab diya ke Aap ﷺ apni Ummat ko mushkil mein nahi dalna chahte the.

Sahih Muslim, hadith -1516.

Ibn Rajab al-Hanbali r.h. kahte hain, "Imam Ahmad ne sarahat (bina shak) ke sath zaruri kaam ke wajah se do namazon ko jama karne ki ijazat di hai".

Aur Ibn Sireen r.h. kahte hai, "Zarurat aur kaam ki wajah se do (2) Namazon ko jama karne mein koi harj nahi hai, Albatta ise aadat nahi banaya ja sakta". End quote.

Fath al-Baari by Ibn Rajab (3/93).

Lekin ek namaz ko moakhar (delay) kar ke aisi namaz ke sath ada karna jis ke sath namaz jama kar ke ada karna jaiz na ho [maslan : asar ko maghrib ke sath jama karna, aur Fajar ko Zuhar ke sath jama karna] to aisa amal durust nahi hai.

Balke wajib yahi hai ke namaz ko is ke waqt mein hi ada kya jaye, chunancha woh masjid ki namaz ba-jamaat logon mein sulah ki gharz se chhor de aur fir jin ki sulah karwa raha hai un ke sath ba-jamaat namaz ada kar le, taake logon ke bikharne se pahle sulah bhi ho jaye aur namaz bhi ba jamaat ada ho jaye.

Aur Allah sab se behtar janta hai.