اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 May 2018

Raheem Naam Rakhna Kaisa Hai ?


Hamare muashre me ye galat fehmi hai ki Raheem ya Kareem ya isi tarha dusre naam nahi rakh sakte hai kyuki ye Allah ka naam hai. Aiye dekhte hai ki iski haqiqat kya hai.

Alhamdulillah..

Raheem ya Kareem ya Rahman ya isi tarha ka dusra naam rakhne me koi harj nahi hai. Ye baat sahih nahi hai ki ye tamam alfaz Allah ke naam hai. Balki Allah ka naam Ar-Rahman, Ar-Raheem, aur Al-Kareem hai. Aur in dono alfaz yaani Raheem aur Ar-Raheem me boht fark hai. Ek lihaj se ye samajh lein ke Raheem Ism-e-Nakrah (Common Noun) hai aur Ar- Raheem Ism-e- Maarfah (Proper Noun) hai. Toh Ism-e-Nakrah se Ism-e-Maarfa banane ka tarika ye hai ki Kisi bhi Ism par Alif-Laam laga dene se wo Ism-e-Maarfah ban jaata hai. To Allah ka naam Ism e Maarfa se hi hoga. Rahmaan Ism e Nakrah hua lekin Ar-Rahmaan Ism e Maarfah hua.

Rahmaan ka matlab hota hai raham karne wala. To ye koi bhi ho sakta hai jo raham kare. Ek insan agar raham karta hai to use bhi Rahmaan kah sakte hai. Lekin Ar-Rahmaan sirf Allah ho sakta hai.

Quran me khud Nabi ﷺ ko Raheem kaha gaya hai

Allah pak farmate hai,

لَقَدْ جَاءَكُمْ رَسُولٌ مِّنْ أَنفُسِكُمْ عَزِيزٌ عَلَيْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِيصٌ عَلَيْكُم بِالْمُؤْمِنِينَ رَءُوفٌ رَّحِيمٌ-

Tumhare Paas Ek Aise Rasool Tashrif Laye Hai Jo Tum Maise Hi Hai. Jin Ko Tumhari Takleef Boht Hi Dushwaar Guzarti Hai; Jo Tumhari Bhalaai Ke Bade Qhwahish Mand Rahte Hai. Eeman walo Ke Sath Bade Hee Shafeeq Aur Raheem Hai.


Surah At-Tawba (9), Ayat- 128.

Is ayat me khud Allah ne Rasool ﷺ ko Raheem kaha hai. 

Isi Tarha, RasoolAllah ﷺ ke Damad (son in law) aur ek bade Sahabi e Rasool, Hazrat ‘Ali ibn Abi Taalib, inka naam Ali hai aur apko pata hona chaiye ki Al-Ali Allah ka bhi naam hai. [Daleel: Quran, Surah 42 Ayat 4]. 

To isse bhi saaf zahir hota hai ki Rahman, Raheem, Kareem, Ali, ye tamam naam rakhne me koi harj nahi hai bas in naamo ke sath khas sifat wale huruf naa ho jaise AR ya AL ya Ash wagairah.

Aur Allah sabse behtar janta hai.