اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Jun 2018

Imam Abu Haneefa aur Abdullah ibn Mubarak ki Guftugu


Mamar (bin Rashid) riwayat karte hai ki (Abdullah) ibn Mubarak r.h. ne kaha, "Mai Nauman (bin sabit ya'ni Abu Hanifah r.h.) ke pahlu me (saath saath) namaaz padh raha tha to Maine rafayadain kiya. Unhone (Abu Haneefah r.h. ne) mujhe kaha, "Mujhe ye dar hua ki kahi ap udd na jaye".
Toh (is par) maine kaha, "Jab mai pahle Rafayadain me nahi uda to dusre me bhi nahi ud sakta tha".

Is waqye ke raawi Imam Waqi ne kaha, "Allah  ta'la ibn e Mubarak par rahem kare, wo (bade) haazir jawaab the, pas dusre shaks (Abu Haneefa r.h.) hairaan rah gaye aur (koi jawaab na de sake). Ye un logo ka haal hota hai jo apni gumrahi me sargarda firte rahte hai jabki (kahin se Bhi) inki taeed nahi hoti."

Abu Hanifah aur Ibn al-Mubarak ki is Guftugu ki sanad niche di gai kitabo me darj hai. 

۩ Taweel Mukhtaliful Hadith by Ibn Qutaibah (66),
۩ Al-Sunnah by Abdullah bin Ahmed ibn Hanbal (#518), 
۩ Taarikh Baghdad (vol 3, Pg 405-406), 
۩ Al-Muntazim by Ibn al-Jawzi (Vol 8 Pg 136),
۩ Al-Sunan al-Kubra by Baihaqi (Vol 2 Pg 82),
۩ Kitaab al-Asaneed as- Sahihah fi Akhbar Abi Hanifah by Shaykh Zubair Ali Zai (rukum- 29-36).

In saari kitabo me is waqye ki Sanad Shaykh Zubair Ali Zai ke nazdeek sahih hai. Dekhe Imam Bukhari ki Juzz Rafayadain jiski tahkeek aur takhreej jo Shaykh Zubair Ali Zai ne ki hai. [Page-71, footnote-1]. [Download this book in: English Urdu]

Is waqye se koi ye natija na nikale ki Imam Abu Haneefah koi aese shaks the jo kitab wa sunnat ke ilm me kamzor the ya unka rutba koi chota hai, Nahi!!!
Imam Abu Haneefah hamare bade Imamo maise ek Imam hai. Ap (Abu Hanifa) ke paao ki dhool hamare aankho ka surma hai alhamdulillah. Ap boht bade faqeeh the. Lekin faqeeh hone ke sath sath Ap insan bhi the jis haqiqat se kuch hazraat anjaan hai. Aur agar insan se koi galti ho jaye to isme koi hairani ki baat nahi hai, hamare baaz bade bade sahaba se bhi galtiya hui thi misaal ke taur par Umar r.a. ka RasoolAllah ﷺ ke wafat par unko zinda manna jiski islah fir Abu Bakr r.a. ne ki thi [source]. Aur is tarha ki aur bhi misaale milti hai hadees ke kitabo me.
Ahle ilm ke yaha is tarha ki baat-cheet aam hai aur jab kabhi bhi koi sunnat ki mukhalifat (anjane me ya jan-buj kar) karta hai to us mukhalifat ke jawab me ahle ilm ke zuban se chand sakht alfaz bhi nikal jate hai lekin wo bhi Islami adab ke dayere me kyuki RasoolAllah ki sunnat unhe us shaks se zyada mahbub hoti thi. Jaise ki Umar r.a. ke bete ne apne walid se ikhtilaf kiya tha jab unhone Hajj e Tamattu par pabandi lagayi thi [source]. Yaha tak ke Imam Bukhari ne apne kitab 'Juzz rafulyadain' ke muqaddamah me us shaks ko biddati kaha hai jo rafayadain ki sunnat ki mukhalifat karta hai aur us shaks ko dardnaak azaab se daraya bhi hai [source].

Is waqye se ek aur haqaiq khuli ki ahle ilm aur hamare salaf ka tarika yahi tha ki wo ahle ilm ke iktilaf ko bayan karte the taaki us ikhtilaf se hamare ilm me izafa ho aur ham wo galti na dohraye. Isliye jo log ye kahte hai ki Ali r.a. aur Muawiya r.a. ke bich ke ikhtilaf ko bayan na kiya jaye wo salaf ke Deen ke fahm ke mukhalif baat karte hai kyuki is waqye ko hamare bade-bade Muhaddis jaise Imam Ahmed ibn Hanbal, Imam Bukhari, Imam Baihaqi, ne apni kitab me naqal kiya hai jiski dalail upar di gai hai aur zahir si baat hai unke naqal karne ka maqsad yahi tha ki Ummat isse fayda utha sake.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•