اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Jun 2018

Jamaat Me Chhuti Hui Namaz Ko Kaise Muqammal Kiya Jaye ?


Sawal: Magrib ki Ek rakat jamaat ke sath paa lene wala shakhs baki namaz kaise mukammal karega?

Alhamdulillah..

Agar Apko maghrib ki namaz jamaat ke sath darmiyani Tashahhud me mile to Ap us tashahud me baithenge Imam ke sath aur fir uske baad Ap teesri rakat mein imam ke mutabik rakat ada karenge aur fir Tashahhud me baith kar Imam ke salaam ke baad uth kar apni baki chhuti namaz mukammal karenge.
Ab Aapki do (2) rakat baki hain, to un maise pahli me Aap surah Fatiha aur is ke baad koi surah padhe, aur fir Tashahhud mein baithe jo ki ap ki darmiyani (bich ki, yaani dusre rakat ki) Tashahhud hogi.
Fir uth kar teesri rakat ada kare aur is mein sirf surah Fatiha padhe, aur fir aakhri Tashahhud me baith kar Salam fer len.

Upar jo kuch bayan hua hai woh is par mabni hai ki us shaks ne Imam ke sath jo rakat paayi hai woh is ki namaz ka awwal hissa tha, aur jo rakat woh akele taur par ada kar raha hai woh is ki namaz ka aakhri hissa hai, Imam Shafi ki yahi raaye hai.

Imam Nawawi r.h. farmate hai:

"Agar is ne imam ke sath ek rakat paayi hai to woh Imam ke salam ferne ke baad uth kar ek rakat ada kar ke Tashahhud ke liye baithega aur fir teesri rakat ada kar ke Tashahhud me baithega."

al-Majmoo’ (4/117).

Aur fir Imam Nawawi kahte hai:

"Hum zikr kar chuke hain ki hamari raaye ye hai ki der se aane wale shaks ne jo jamaat ke sath namaz paayi woh is ki namaz ka awwal hissa hai, aur jo is ne baad mein ada ki woh is ka aakhri hissa hai. 

Ye raaye hai Sa’eed ibn al-Musayyib, al-Hasan al-Basri, ‘Ata’, ‘Umar ibn ‘Abd al-‘Azeez, Makhool, al-Zuhri, al-Awzaa’i, Sa’eed ibn ‘Abd al-‘Azeez aur Ishaaq r.h. ki. Ibn al-Mundhir ne inlogo se ye bayan kiya hai aur wo kahte hai ki ye meri bhi raaye hai. Wo mazeed kahte hai ki ye Umar, ‘Ali and Abu’l-Darda’ se bayan kiya gaya hai lekin ye sabit nahi hai. Ye Imam Malik se bhi bayan kiya gaya hai aur Dawud ki bhi yahi raaye hai.

Imam Abu Haneefah, Imam Maalik, Imam Sawri aur Imam Ahmad kahte hai: Jis ne jo jamaat ke sath (rakat) payi woh is ki namaz ka aakhri hissa aur jo baad mein ada ki wo is ki namaz ka pahla hissa hai. Ise Ibn al-Mundhir ne bayan kiya tha Ibn ‘Umar, Mujaahid aur Ibn Sireen r.h. se, wo iski daleel me ye kahte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya hai, "Tum jo paalo wo ada karo, aur jo rah jaye uski qaza karlo". Ise Bukhari aur Muslim ne riwayat kiya hai.

Aur hamare ashaab ne Nabi ﷺ ke is farmaan se Daleel li hai ki (RasoolAllah ﷺ ne farmaya), "Jo tum paalo ada karo, aur jo rah jaye use pura karlo". Ise Bukhari aur Muslim ne boht se raawio se riwayat kiya hai." End quote.

Ye thi Imam Nawawi ki raaye jisme unhone do (2) raaye bayan kiye. Toh jisko jo raaye Quran aur sunnat ke nazdeek lage wo us raaye par amal karle. Allah ya uske Rasool ne apko kisi ek raaye ke sath bandha nahi hai.

Jaha tak hamara talluq hai hame Hasan al Basri aur Imam Nawawi aur inke jaisi raaye rakhne wale dusre ahle ilm ki raaye hi behtar lagi. Iski daleel ye hai:

Asal me Qaza’ lafz (yaani chhuta hua muqammal karna) ka tarjuma hoga "Karlo" na ki "chhuta hua muqammal karlo" kyuki baad wala alfaz Fuqaha ne baad me istemal karna shuru kiya tha jab ki Arab log Qaza ka lafz "Karlo" ke maane me istemal kiya karte the. Jaise ki Allah s.w.t. farmate hai:

۩ "Aur Jab Tum Apne Manaasik (Hajj ke rasam) Ada Kar Chuko [qazaytum]."

[al-Baqarah 2:200].

۩ "Aur Jab Ap Namaz Ada Kar Chukye [qazaytum]"

[al-Nisa’ 4:103].

Upar ke dono Ayat me Qaza lafz "Karlo" ke maane me istemal hua hai na ki pichla chhuta hua muqammal karlo ke maane me.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•