اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 Jun 2018

Qaza Namaz Ke Ahkaam


۩ Anas r.a. riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs namaz bhool jaye (ya so jaye) toh us ka kaffara iske siwa koi nahi ke jis waqt use yaad aaye us namaz ko padh le.’ 

Sahih al Bukhari: hadith- 597. Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 684.

Is hadith ki Tafseer me Muhaddis Shaykh Zubair Ali Zai farmate hai:

"Is hadith se ye malum hua ki agar koi shaks namaz padhni bhul jaye aur us namaz ka waqt guzar jaye to jis waqt yaad aaye, wo us waqt apni namaz padh le aur isi tarha agar koi shaks so jaye aur namaz ka waqt guzar jaye, maslan: Subah aankh hi aesi waqt khule ke suraj tulu ho chuka ho toh jaagne wale ko usi waqt puri namaz (farz aur sunnat) padh leni hai chahiye aur us par kisi kism ka kaffara nahi hai. Qaza e Umri waale masle ki shariat me koi asal nahi, lihaza ye biddat hai."

Namaz e Nabawi by Shaykh Zubair Ali Zai, Page-132.

۩ Abdullah bin Abi Qatada r.a. riwayat karte hai ki mere walid ne kaha ke Ek raat ham Nabi ﷺ ke sath safar kar rahe the. Kisi ne kaha ke Huzoor! Aap (agar) ab padao daal dete to behtar hota. Aap ﷺ ne farmaya ke mujhe dar hai ke kahi namaz ke waqt bhi tum sote na rah jao. Is par Bilal r.a. bole ke Mai ap sab logon ko jaga dunga. Chunanche sab log layt gaye. Aur Bilal r.a. ne bhi apni peeth kajaweh (Rahila) se laga li aur unki bhi aankh lag gayi aur jab Nabi ﷺ bedar hue to Suraj ka upar ka hissa nikal chuka tha. Aap ﷺ ne farmaya, Bilal! Tum ne kya kaha tha? Woh bole aaj jaisi neend mujhe kabhi nahi aayi. Fir Rasool ﷺ ne farmaya ke Allah taala tumhare rooh ko jab chahta hai kabz kar leta hai aur jis waqt chahta hai wapas kar deta hai. Aye Bilal! Utho aur azaan do ! Fir Aap ﷺ ne wuzu kiya aur 2 rakate (sunnat) padhi aur jab Suraj buland ho kar roshan ho gaya toh Aap ﷺ  khade hue aur namaz padhai aur farmaya ki Jo shaqs namaz bhool jaye toh use jab yaad aaye to namaz padh le.’

Sahih al Bukhari: hadith- 595. Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 680. [above hadith is combination of boht hadith of Bukhari and Muslim]

Nabi e Rahmat ﷺ ke amal se bilkul wazeh hai ke neend se bedar hone par fauran namaz adaa ki jaaye. Lehaza qaza namaz ki adaaigi ke liye iske baad wali namaz ke waqt ka intezar nahi karna chahiye balki fauran ada kar leni chahiye.

Namazei’n Majbooran Faut Ho Jaaei’n To Kaise Padhei’n?

۩ Jabir bin Abdullah r.a. se riwayat hai ke ghazwa e khandak ke din Umar r.a. guroob e aftaab ke baad Quraish ko bura bhala kahte hue aaye aur arz ki aye Allah ke Rasool ﷺ maine Asr adaa nahi ki hatta ke suraj ghuroob ho chuka hai. 
Aap ﷺ ne farmaya: Wallah ! Maine bhi namaz e Asr adaa nahi ki. Fir ham sab Muqaam e Bathaan me aaye, ham ne wuzu kiya aur guroob e aftab ke baad pahle namaze e A’asr padhi fir namaz e Magrib adaa ki.’

Sahih Muslim, hadith- 631. 

Maloom hua ke namazo’n ki tarteeb qayam rakhni chahiye.

•٠•●●•٠•

Related: Qaza e Umri