اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Jun 2018

Kya Ruku Aur Sujud Ki Tasbeeh Sirf Taak (Odd) Baar Kah Sakte Hai ?


Ham logo me ye galat fehmi hai ki ruku aur sujud ki tasbeeh sirf taak (odd) number me ho sakti hai. Aesa nahi hai balki ruku aur sujud ki tasbeeh juft (even) number me bhi ho sakti hai.

أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ رَافِعٍ، قَالَ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ إِبْرَاهِيمَ بْنِ عُمَرَ بْنِ كَيْسَانَ، قَالَ حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ وَهْبِ بْنِ مَانُوسٍ، قَالَ سَمِعْتُ سَعِيدَ بْنَ جُبَيْرٍ، قَالَ سَمِعْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ، يَقُولُ مَا رَأَيْتُ أَحَدًا أَشْبَهَ صَلاَةً بِصَلاَةِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم مِنْ هَذَا الْفَتَى - يَعْنِي عُمَرَ بْنَ عَبْدِ الْعَزِيزِ - فَحَزَرْنَا فِي رُكُوعِهِ عَشْرَ تَسْبِيحَاتٍ وَفِي سُجُودِهِ عَشْرَ تَسْبِيحَاتٍ

Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai Maine is jawan ladke yaani Umar bin Abdul-aziz r.h. ke alawa kisi aur ko nahi paya jiski Namaz RasoolAllah ﷺ itni zyada milti ho. Aur hamne ye andaza lagaya ki jab wo ruku me jate toh Das (10) martaba Tasbeeh kahte aur jab wo sajde me jate toh Das (10) martaba Tasbeeh kahte.

Sunan an-Nasai, Kitab At-Tatbiq (12), hadith- 1135. Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai.

Note: Imam Nasai ne is hadith par baab bandha hai jiska naam hai "عَدَدِ التَّسْبِيحِ فِي السُّجُودِ" yaani "Sajdo Me Tasbihaat Ki Tadad". Iska matlab wo bhi is hadith ka wahi fahem le rahe hai jo fahem ham le rahe.

Note: Yaha Ruku aur Sujud ki Tasbeeh se muraad Subhaana rabbiyal a’alaa aur Subhaana Rabbi Al-Azeem ya isi tarha ki dusri sabit tasbeeh hai.

Aur rahi baat ki kamazkam kitne bar aur zyada se zyada kitne bar ruku aur sujud ki tasbeeh kahi jaye to kamazkam kitne bar kahne me ahle ilm me ikhtilaf raha hai, Ibn Qudaamah apni kitab Mughni me kahte hai ki kamazkam ek bar kahna hai jabki Imam Ahmad kahte hai ki Imam Hasan kahte hai ki kamazkam teen baar kahe jaye. To jisko jo raaye behtar lage wo us par amal kare, mere mutabik ehtiyat karte hue kamazkam teen baar to padhni hi chaiye. Aur ahle ilm kahte hai ki zyada se zyada kahne me koi pabandi nahi hai, namazi jitni bhi bar padhna chahe padh sakta hai.
Jitne zyada baar padhenge utna zyada sawab hai.

•٠•●●•٠•

Allah hame amal ki taufeek ata kare. aameen