اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 Jun 2018

Kya Ulti (vomit) Aane Se Roza Tut Jata Hai

hi    

Bunyadi usool ye hai ki Agar kisi shaks ne jaan bujh kar ulti (kay) kari to uska roza tut jayega aur us par is din ki qaza me roza rakhna lazim hai. Lekin agar ulti us par galib aa jati hai aur uske ikhtiyar ke bagair (anjane me) ho gai toh uska roza sahih hai aur us par koi kaffara nahi hoga. Iski Daleel ye hai:

۞ Kisi bhi wajah se jaan-bujh kar ulti karna:

Isme ye chize shamil hai: Jaanbujh kar apni ungli ko apne muh me daal kar, ya apne pet ko daba kar, ya jaan-buj kar gandi mahek sungh kar, ya ulti laane wali chiz jo lagataar dekhte rahne se ulti kari. Toh uska roza tut gaya aur us par iski qaza lazim hai.

Ma'dan bin Talhah riwayat karte hai ki Abu Darda r.a. ne mujh se kaha ki RasoolAllah ﷺ ko ulti ayi aur unhone roza tod diya.

Sunan Abu Dawud, hadith-2381. Jamia Tirmizi, hadith-87.  Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai (Tirmizi) and Sahih by Shaykh Albani (Abu Dawud).

Note: Is baat par Ijma bhi hai.

•٠•●●•٠•

۞ Khud Ke Ikhtiyar ke bagair (anjaane me) ulti aana

Iske mutallik hame RasoolAllah se to koi hadith nahi milti lekin hame Sahih al Bukhari me  Abu Huraira r.a. ka Qawl milta hai:

Imam Bukhari r.h. farmate hai, 

وَقَالَ لِي يَحْيَى بْنُ صَالِحٍ حَدَّثَنَا مُعَاوِيَةُ بْنُ سَلاَّمٍ، حَدَّثَنَا يَحْيَى، عَنْ عُمَرَ بْنِ الْحَكَمِ بْنِ ثَوْبَانَ، سَمِعَ أَبَا هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ إِذَا قَاءَ فَلاَ يُفْطِرُ، إِنَّمَا يُخْرِجُ وَلاَ يُولِجُ‏.‏ وَيُذْكَرُ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّهُ يُفْطِرُ‏.‏ وَالأَوَّلُ أَصَحُّ‏.

"Abu Hurairah r.a. ne farmaya ke jab koi ulti kare to is ka roza nahi tut ta kyunki usme bahar nikalta hai kuch dakil nahi hota. Abu Huraira hi se manqul hai ke is ka roza jata rahta hai (yaani tut jata hai). Lekin pahli baat (yani roza nahi tut ta) hi sahih hai."

Sahih al Bukhari, Kitab al Saum, Under Chapter: Cupping and vomiting in Saum (fast), Baab no: 32.

•٠•●●•٠•

Sunan Abu Dawud (hadith-2380) aur Sunan Tirmizi (720) me Abu Huraira r.a. se ek riwayat milti hai ki wo kahte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Jisko khud-bakhud ulti ajaye to us par qaza nahi lekin Agar jo jaanbuj kar ulti kare to wo roza qaza kare.

Lekin ye hadith zaif hai kyuki is hadith ka ek raawi 'Hishaam bin Hassaan' Mudallis hai aur wo 'An' se riwayat kar raha hai, aur sama ki tashree maujud nahi hai. Aur Muhaddiso ka ye bunyadi usool hai ki Mudallis ki 'An' wali riwayat zaif hoti hai jab tak ke sama ki tashree na ho jaye. Shaykh Zubair Ali Zai ne bhi is riwayat ko Zaif karar diya hai.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•