اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jun 2018

Mayyat Ko Dafan Karne Ka Nabawi Tarika


۩ Uqba bin Aamir r.a. kahte hain ke: ‘Rasool Allah ﷺ ne Teen  (3) auqaat mein namaz padhne aur murdo’n ko dafan karne se mana farmaya:
1. Tuloo e Aftaab ke waqt hatta ke (suraj) buland ho jaae.
2. Jab Suraj dopaher ke waqt aen sar par ho hatta ke (sar se) dhal jaae [till it passes over the meridian].
3. Guroob e aftaab ke waqt hatta ke guroob hojaae.’

Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith- 831.

۩ Nafi riwayat karte hai ki Ibn e Umar ne farmaya ke Namaz e Janaaza, Namaz e Fajr aur Namaz e Asr ke baad adaa ki jaa sakti hai agar ye (namaz) apne waqt se ada kiye gaye ho.

Muwatta Imam Malik: al Janaaez, Hadith, hadith- 543.

۩ Abdullah bin Yazeed r.a. ne Haaris r.a. ka namaz e Janaaza padhaya fir mayyat ko paou’n ki taraf se kabr mein daakhil kiya aur farmaya ke 'Ye (Nabi ﷺ ki) sunnat hai.  

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3211. Imam Baihaqi ne ise Saheeh kaha.

۞ Mayyat Ko Qabar Mein Rakhte Waqt Ki Dua:

Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke Nabi e Rahmat ﷺ jab mayyat ko Kabr mein rakhte to kahte:

بِسْمِ اللهِ وَعَلَى سُنَّةِ رَسُولِ اللهِ صلى الله عليه وسلم

Bismillaahi wa ‛alaa Sunnati Rasoolillaah Sallallahu A’alaihe Wasallam

Allah Ke Naam Se Aur RasoolAllah ﷺ Ke Tareeqe Par (ise dafar karte hain).

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3213. Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

Afsos ke ye sunnat bhi mit‐ti chali jaa rahi hai kyou’nke logo’n ne iske muqable me dusri dua dhoondh rakhi hai jo sabit hi nahi hai, yaani kalma shahaadat: "Ash Hadu An Laailaaha Illallah"

۞ Qabar Par Mitti Daalna:

Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne Janaaza ki namaz padhi fir Kabr ke paas aaye aur sar ki taraf se 3 lap (T: 3 times with both hands) mitti daali.

Sunan Ibn e Majah: al Janaaez, hadith- 1565. Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai.

۞ Qabar Par Mitti Daalte Waqt "Minha Khalaqnakum..." [Quran, 20:55] Padhna

Kabr par mitti dalte waqt Surah Taha (20) ki Ayat 55 padhna daleel ki roshni me sabit nahi hai. Ye hadith Sunan Kubra Baihaqi aur chand ek dusre kitab me milti hai. Lekin Is hadith ko khud Imam Baihaqi ne Sunan Kubra Baihaqi, hadith-6973 me Zaif kaha hai. Aur dusre Muhaddiseen jaise Shaykh Zubair Ali Zai ne bhi is hadith ko Tafseer ibn Kaseer (20:55) me zaif karar diya hai. Albatta Mayyat ko kabr me dalte waqt ka zikr zarur padhna chaiye jiska zikr upar kiya gaya hai. [Is mauzu par tafseel ke liye ye pdf file padhe]

۞ Mayyat Ke Liye Duae Karna

Usman bin Affan r.a. se riwayat hai ke Nabi e Rahmat ﷺ Jab mayyat ke dafan se farig ho jaate to waha kuch der rukte aur farmate: ‘Apne bhai ke liye bakhshish aur saabit qadmi ki dua karo kyunki ab is se sawaal kiya jayega.’

Sunan Abu Dawud: al Janaaez, hadith- 3221. Imam Haakim aur Haafiz Zahabi ne ise Saheeh kaha.

Amr b. al-As r.a. apni wafat ke waqt apne bete se kahte hai, "Jab mai mar jau to koi noha karne wali wali mere sath na jaye, na hi aag sath ho. Aur jab tum mujhe dafan kar chuko to mujh par ahista ahista mitti dalna, fir mere kabr ke pas itni der (dua karte hue) thaherna jitni der me oont (camel) zabah kar ke uska gosht takseem kiya ja sakta hai, taake mai tumhare (dua ke) wajah se maanus ho jao aur dekh lu ki mai apne Rab ke farishto ko kya jawab deta hu.

Sahih Muslim, hadith-228.

Note: Hamare Ilm me dafnane ke fauran baad ijtemai dua kisi Sahih hadith se sabit nahi hai na hi infiradi dua sabit hai, ye isliye bhi kyuki Mayyat ke haq me dua namaz e janaza me hi ho jati hai.
Aur jo Dua upar ki hadith me zikr hai wo unke liye hai jo Mayyat ke kareebi rishtedar/dost hai jaise bhai, beta, walid, wagaira. Kyuki upar ki hadith kahti hai ki ye dua kabr ke sawaalo ke jawab ke aasani ke liye hai aur Sunan Abu Dawud ki hadith no. 4753 (read) ke mutabik Mayyat se kabr ke sawal tab shuru hote hai jab mayyat ko dafan kar ke log kuch dur chale jate hai aur mayyat logo ke kadmo ki awaz sunta hai. To isse saaf pata chala ki jaise hi log mayyat ko dafna kar jaane lag jaye fir dua padhni chaiye us rishtedar/rishtedaro/dost ko kyuki tabhi kabr ke sawal-jawab shuru hone wale hote hai.
Dua zaruri nahi ki Arabic me hi ho, khud ki zuban me mayyat ke bakhshish aur kabr ke sawal ke jawab ki saabit qadmi aur aasani ki duae kare.

۞ Qabar Par Bataur Alaamat Patthar Nasab Karna:

Anas bin Maalik r.a. se riwayat hai ke Nabi e Akram ﷺ ne Usman bin Mazo’on ki qabr par alaamat ke taur par Ek (1) patthar nasab farmaaya.

Sunan Ibn e Majah: al Janaaez, hadith- 1561. Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai.

Lekin Kabr ko pakka karna ya us ke upar imarat banwane se RasoolAllah ﷺ ne mana farmaya hai. (Daleel)

•٠•●●•٠•