اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jun 2018

Nawafil Amal Se Behtar Achha Akhlaq Hai


Abu Huraira r.a. kahte hai: Nabi ﷺ se arz kiya gaya, ya RasoolAllah ﷺ ! Fula Aurat raat ko nawafil padhti hai fir din ko roza rakhti hai, digar nek kaam karti hai aur sadaqah bhi deti hai lekin zuban se apne padosio ko tang karti hai. Toh RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Us me bhalayi maujud nahi, wo dozakhi hai."

Logo ne arz kiya: Ek aurat hai jo farz namaz hi padhti hai (sirf) aur sadaqah wa khairaat thoda karti hai aur kisi ko takleef bhi nahi pohchati, (is par) Aap ﷺ ne farmaya, wo Jannat me jayegi"

Al-Adab Al-Mufrad, Hadith- 119. Classed as Sahih by Sheikh Albani.

Is Hadith se hame pata chala ki achhe akhlaq ki kitni zyada ahmiyat hai hamare Deen me ki ise nawafil amal se upar rakha gaya hai. Aur RasoolAllah ﷺ ache akhlaq ki behtareen misaal the:

Allah Ta'la Rasool ﷺ ko mukhatib hokar farmate Hai,

"Aur beshak, Aap Akhlaq ke buland darje par fa'iz hai".

Quran, 68:4.

Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine Das (10) saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone Mujhe kabhi 'Uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.
Narrated By Al-Bukhaari In Al-adab Al-mufrad (277) And Classed As Saheeh By Al-albaani.

Abu ad-Dardh r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Qayamat ke din Momin ke liye sabse bhari chiz jo (aamaal ke) tarazu me tauli jaegi wo uska Akhlaq hoga."

Jamia at-Tirmidhi, Chapters on righteousness and maintaining good relations with relatives, hadith- 2002. Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai.

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, Tumhe maaloom hai Gareeb kaun hai? Sahaba r.a. Ne arz kia, hum to gareeb us ko samjtay hain jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.

Toh Aap ﷺ ne farmaya, Meri Ummat mein gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaaz, roza aur zakaat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di ho gi, kisi par jhuta-ilzam lagaya ho ga, kisi ka maaal hadap kiya ho ga, kisi ka khoon bahaya ho ga, kisi ko maara ho ga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhain us ki nekiya de di jaain gi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir un logon ke gunaah la kar us par laad diye jayenge. Aur usey jahannum (dozakh) mein phaink diya jaay ga.

Sahih Muslim, The book of virtue, Enjoining good manners, and joining of the ties of kinship, hadith- 2581.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame behtar akhlaq se nawaze. aameen.