اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Jun 2018

Padosi Ka Internet Connection Istemal Karna


Padosio ka Internet connection istemal karne ki Do (2) surate ho sakti hai:

1. Agar Usne Ijazat De Rakhi Ho

2. Agar Usne Ijazat Na De Rakhi Ho
___________________________________________________________

1.۞ Agar Usne Ijazat De Rakhi Ho

Padosi ke ijazat se uska internet connection ko use karne me koi harj nahi hai. Aur sirf internet connenction hi nahi balki unki koi bhi chiz jise hamare Deen ne halal kiya hai wo istemal karne me koi harj nahi hai. Is par Ummat ka Ijma hai. Yaani dusre ki malkiyat ki chiz uski ijazat se istemal karne se hamare Deen ne mana nahi kiya hai.

Internet connection ke maa'no me ijazat do tarha se diya ja sakta hai. Pahla ye ki usne internet connection par security (password) rakhi ho aur usne apko iska password bataya ho Internet istemal karne ke liye.
Dusra ye ki usne apne internet connection par security (password) hi na rakhi ho jo ki is taraf ishara hai ki usne kisi ko bhi apna internet connection istemal karne ki aam ijazat de rakhi hai jaisa ki public places jaise Shopping Malls wagaira me hota hai.

2.۞ Agar Usne Ijazat Na De Rakhi Ho

Agar Padosi ne apna intenet connection istemal karne ki ijazat na de rakhi ho fir apko iski ijazat nahi ki ap uska internet connection istemal kare wo chahe jitni bhi badi neki ke liye hi kyu na ap istemal kar rahe ho kyuki ab wo iski malkiyat (property) hai jise istemal karne ki ijazat usne apko nahi di hai.

۩ Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Bila shubah, Allah ne tum par ek-dusre ke liye tumhara khoon, maal aur izzat haraam kiya hai."

Sahih al Bukhari, Kitab al Adab, hadith- 6043. summary of the hadith.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Kisi shaks ke liye uske bhai ki malkiyat (property) maise kuch bhi us ke ijazat ke bagair halal nahi."

Musnad Imam Ahmad, hadith-20180.

Agar usne internet connection par security (password) lagai hui hai aur usne apna password aawaam (public) me aam nahi kiya hai to ye maana jayega ki usne iski ijazat apne padosio ko nahi di hai. Agar apko kisi ke zarye uska security key (password) pata bhi chal jata hai tab bhi apko internet istemal karne ki ijazat nahi hogi jab tak wo khud apko na bata de ya fir ap unse istemal karne ki ijazat na lele.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•