اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Jul 2018

Ilmi Vs Jazbaati Nuqhta e Nazar


Agar ap insaani fitrat ka mut'aala kare to jo chiz samajh aa jaati hai aur wo ye hai ki achhai, Neki, Khair, Sacchai, Diyaanat-daari, Amaanat ye agarche badi mahboob chize hai. Lekin insaan aasani se in ki taraf aamaada nahi hota hai jab ke buraai ek aisi cheez hai ke jiske andar badi kashish hai.

Hazrat Maseeh a.s. ne Injeel me bahut khubsoorat jumla kahaa hai ke 'Neki ki raah tang hai aur is par chalne wale bahut thode hote hai aur burai ki raah badi kushaada hai aur us par jab chahe ap hujoom Ikhatta kar sakte hai.'

To is wajah se Insaan jab is tarha ke muamlat me logon ke jazbaat ka istehsal (extortion) karne ke liye uth khada hota hai to badi aasani se wo apne gird logo ko ikhatta kar leta hai.
Iske bilkul khilaaf agar ap jazbaat ko nahi ubharte, aap logon ki nafsiyaat ka istehsal nahi karte, ap Ilm aur aqal ki baat karte hai toh ap dekh lijiye puri insaani taarikh me, ki bahut kam log aapki baat sunne ke liye tayyaar hote hai.

Yaani humare mulk Nepal, India, Pakistan me tajurba kar ke dekh lijiye ke Ilm o aqal ki baat karne walon ke liye koi gunjaish nahi hai ke wo khade bhi rah sake.  Aur jo log jazbaat ko ubharte hai aur jahaalat par mabani jo chiz, jo baat dil me aati hai, kahte chale jaate hai, us par log '' Subhanallah.. Wah.. Wah.. Kya kahne hai..'' jaise alfaz kahte hai.

To ye hai Insan ke sath muamla agar aisa na hota to fir insan ka imtehan hi kya tha, yahi imtehan hai. Asal mai bahut kam log isko samjhate hai ke imtehan sirf amal ka nahi ho raha balki Ilm ka bhi imtehan ho raha hai Allah ke taraf se. Yaani:

۩ Kya Ham Sachhai Ko Janna Chahte Hai ? 
۩ Kya Sachhai Ko Janane Ki Humare Andar Sachhi Talab Hai ? 
۩ Kya Hum Sachhai Ko Jazbaat Se Alag Ho Kar Bhi Sun Sakte Hai ?
۩ Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?

Mai hamesha apne talib e Ilmo ko bhi yahi kahta hu ke ap Ilm ke baargaah me dakhil ho to jazbaat darwaaze par rakh aaye. Isliye ke Ilm ki baargaah me jazbaat ka koi dakhal nahi hota. Yaha to bada be-rehmana postmortem hoga. Tahqiq ki duniya apke jazbaat ko nahi dekhti, wo to haath mai nishtar (surgeon's knife) pakadegi aur har chiz ko udhed ke rakh degi aur batayegi ke 'Asal Haqeeqat Ye Hai' lekin asal Haqeeqat ko toh log dekhna hi nahi chahte.

Mere ustaad kahte hai ki jab unhone Deen par ibtida me jab tahqeeq ka kaam shuru kiya tha to unki ek choti bahen thi jinki wafat ho gayi hai. To ek din unki bahen bahut hi aazurda ho kar ustad sahab se kahne lagi ki : ''Tumhari baaten to bahut maakul (munasib) lagti hai magar saari mazhab ki rangeeni khatam karti chali jaa rahi hai..''

To insaan ko rangeeni ki badi talaash hai, aur wo ya burai me milti hai, ya jahaalat me milti hai, ya jazbaat ko ubhaar kar milti hai.

•٠•●●•٠•