اقرأ باسم ربك الذي خلق

17 Jul 2018

Islah Aur Haq Ka Raasta


Islah ka rasta kabhi bhi phool bhara rasta nahi hoga apke liye. Isme hamesha apko takleef aur tanz ka saamna karna padega. Kyuki insani fitrat hi aesi hai ki jab bhi ap kisi ko us raste ki taraf bulaoge jis par wo ya unke baap-dada na chale ho to wo itni asani se us raste ke taraf aamaada nahi hote. Badle me wo apne alawa baaki rasto se ikhtilaf karenge, apko baate sunanege, apko tanz karenge, ap par ilzam lagayenge.

Aur ye Allah ka aesa qanun hai ki isse Ambiya e karaam bhi na bach sake hai. Ambiya e karaam ko bhi inhi takleefo se guzarna pada hai. Wo isliye bhi kyuki agar apko ek badi manzil paani hai to apko mehnat aur qurbani to deni padegi. Ambiya e karaam, sahaba e karaam aur hamare aslaaf ki zindagi is qurbani aur takleefo se bhari padi hai. Sahaba ne to apni jaane bhi luta di is raste ke liye.

Hame unki zindagi se ye sikhna hoga ki ham kabhi bhi haq ke khilaf koi sauda na kare. Ham hamesha haq ka parcham lahraaye, wo kyuna kitni hi museebato, takleefo, tanz aur ilzamo ka samna karna pade. Agar ap bas apne logo ko khush karne me lage rahenge to kabhi bhi ap haq nahi kah sakte, wo baat alag hai ki haq ko untak behtreen akhlaq aur aadab e islah ko nazar me rakh kar pohchaya jaye jaise hamare Rasool aur aslaaf pohchaya karte the. Lekin agar ap haq is liye na bole ki apke chahne wale apse naraz ho jayenge, ap par taan o tashnee shuru kar denge, ap par ilzam tarashi shuru kar denge to ye soch le ki ap kabhi bhi haq ke musafir nahi ban sakte, ap kabhi bhi hamare Nabi aur aslaaf ke tarike par nahi ho sakte.

Zindagi me hamesha apke raste me Do (2) mod (turn) ayega. Ek mod to ye hoga ki us par phool ke raste biche honge, us par na apko taan o tashnee sunni padegi na hi khud par jhute ilzamaat sunna padega aur na hi apko koi qurbani deni hogi lekin us raste par apko kabhi haq ka koi musafir nahi milega, us raste par sirf khawhishe hongi.

Ek dusra rasta hoga jo kaanto se bicha hoga us raste par safar karna mushkil dikhyai dega jo ki takleefo se bhara hoga, us raste par apko apno ki narazgi leni padegi, apko taan o tashnee sunni padegi apko mushkilo ka samna karna padega. Lekin apko us raste par RasoolAllah ki sohbat milegi, apko us raste par sahaba e karaam milenge, apko us raste par nek aslaaf milenge. Aur us raste ke aakhir me apko Allah ki Jannat aur usse badi chiz apne Rab ki raza milegi jo apse kah raha hoga ki tumhara imtehan ab khatm hua, Tum mujhse raazi the aur ab mai tumse raazi hua. Tumhare liye ab Jannat me hamesha ki zindagi hai jinke niche nahre bah rahi haii, jaha par tum ko paak biwiya milengi. Aur yahi asal qamyabi hai.

Jinhone haq ka sath diya aur haq ke sath khade hue, apne logo ki mukhalifat ki parwaah kiye bagair wo Abu Bakr aur Umar kah laaye. Aur jin logo ne haq ka inkar kiya wo Abu Jahal kah laaye. Ab apko ye taye karna hai ki apko kiska sath dena hai. Apko kiske sath rahna hai akhirat me.

Ap jitne bhi unche muqam par pahuch jaye, apko hmesha ilm ke imtehan se guzarna padega. Apko us unche muqam ko chor kar aur zyada uncha muqam milega agar ap us ilm ke imtehaan me qamyab ho gaye. Us unche muqam par fir apko unlogo ka sath chorna hoga jinka sath aapne apno ko chor kar pakda tha, kyuki ye dunyawi imtehan ka sirf ek mod nahi hai, har raste me Allah apko aazmayega aur isi liye Jannat me 7 darje hai. Iski misaal Salman Farsi r.a. hai jo ki sabse pahle aatish-parast the fir wo Isaai hue aur fir wo Muslim hue. Jitni zyada mahnat, jitni zyada qurbani, jitna zyada Taqwa, utna hi bada darja jannat me. Hamesha khud se ye sawal puchte rahe:
۩ Kya Humne Apne Apko Taa'subaat Se Pak Karne Ki Koshish Ki Hai ?
۩ Kya Hum Ab Bhi Jazbaat Main Beh Jate Hein ?
۩ Kya Ab Bhi Hum Usi Jagah Par Khade Hain Ke Pahle Agar Ek Shakhs Ki Aqeedat (Andhi-takleed ; Blind-following) Main Mubtala The Toh Ab Kisi Doosray Shakhs Ki Aqeedat Main Mubtala Hogye Hain ?
۩  Kya Is Ilm Ke Safar Main Waqayi Ab Hum Khalis Daleel Ki Bunyaad Par Cheezo Ko Samjhte Hain ?
۩ Agar Koi Hamari Maani Hui Raa'ye Se Mukhtalif Cheez Ki Taraf Humain Bulaye To Hamara Response Gair Tassubana Hota Hai ?
۩ Kya Hum Aj Bhi Poori Tawajjoh Se Uski Bat Sun'nay Ke Liye Amaa'da Hojaty Hain ?
۩ Kya Hamary Andar Ye Cheez Moujood Hai Ke Agar Hamari Ghalti Hum Par Waa'zeh Ki Jayegi Toh Hum Haq Ko Maan Lenge ?
Abu Hurairah r.a. riwayat Karte Hai aur wo Kahte Hai Ki, Log Kahte Hai Ke Abu Hurairah Bohot Haadeese Bayaan Karte Hai. (Aur Mai Kahta Hu Ke) Quran Me 2 Aayate Na Hoti To Mai Ek Bhi Hadith Bayan Na Karta. [fir Ye Aayat Padhi, (Tarjuma)].. “Jo Log Allah Ki Naazil Ki Hui Daleelo Aur Aayato Ko Chupate Hai…( Aakhir Aayat, رحيم) Tak.” [surah Baqara, Ayat- 159 And 160].
(Waqya Ye Hai Ke) Humare Muhajireen Bhai To Bazaar Ki Khareed O Farokht Me Lage Rahte The Aur Ansaar Bhai Apni Jaayedado (properties) Me Mashgool Rahte The Lekin Mai (Abu Huraira) Rasool ﷺ Ke Sath Jee Bhar Kar Rahta Aur Un Majliso Me Hazir Rahta Jinme Dusre Haazir Na Hote Aur Wo Baate Mahfooz Rakhta Jo Dusre Mahfoz Nahi Rakhte The.”

Sahih Al Bukhari, Kitab al Ilm, Hadith-118.

Zindagi apki, Faisla apka, Amal apka, Kabr me hisaab apse, aur Jaza ya saza bhi ap hi se.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Ilm ke safar ka sachha musafir banaye rakhe. aameen.