اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Jul 2018

Kya Saare Nek Ustaad Salafi Hote Hai ?

en     hi - 
۞ Aaiye ye sawal khud salafi alim Shaykh Saleh al Munajjid se puchte hai,

Shaykh Saleh al Munajjid salaf ka raasta samjhate hue kahte hai:

"... Lekin iska matlab ye nahi hai ki saare nek shaykh (ustaad) salafi hote hai ya fir saare salafi nek hai aur dusre log nek nahi hai, Nahi ! Ye muamla nahi hai.

Taqwa ka matlab wo amal karna jiska Allah aur uske Rasool ﷺ ne hukm diya hai aur us chiz se ruk jana jis chiz se Allah aur uske Rasool ne roka hai. Har shaks jo Allah aur uske Rasool ki itaat karta hai aur unki nafarmani se bachta hai wo Allah ki roshni ki pairwi kar raha hai aur wo muttaqi (pious) hai. Har shaks jo Allah ki nafarmani karta hai uski parhezgari me utni kami hai jitna wo nafarmani ya gunah karta hai.

Agar Taqwa se yahi murad hai to wo itni aasani se, khud ko salafi ya kuch aur kahne se hasil nahi hogi, ya kisi Jamaat (group) me shamil hone se. Balki ek shaks jitna zyada Taqwa ki wujuhat ko hasil karta hai - jaise Allah ke bareme (ilm) sikhna aur uske shariyat (law) ke bareme aur us par amal karna - utna zyada usko Taqwe ka hissa milega aur Islam me utna hi zyada uska darja buland hoga. 

... Jaise ki Islam aur Musalman jo karta hai isme fark karna zaruri hai, (isi tarha) Salafi manhaj aur Salafio me fark karna zaruri hai."


Shaykh ke is raaye ka khulasa (conclusion) yahi hua ki zaruri nahi ki apke Ustaad wahi ho jo apne apko salafi kahte ho balki agar koi apne apko salafi na kahe to wo bhi nek ustaad ho sakta hai kyuki amal zaruri hai naam nahi. Allah ke hukm par amal karna aur uski nafarmanio se bachna, iske zarye faisla hoga qayamat ke din na ki naamo se faisle hone hai qayamat ke din.

۞ Ek dusre alim aur Muhaddis Shaykh Zubair Ali Zai ki bhi kuch aesi hi raaye hai, aaiye dekhte hai:

Shaykh Zubair Ali Zai ek hadees ko samjhate hue kahte hai:

"Is Silsile Me Dr. Farhat Hashmi Ki Takreer "Ar Rijalu Qawwamuna Alan Nisayi" Ke Mauzu Par Bohut Mufeed Hai Jo Ki Cassette Ki Surat Me Market Me Dastiyab Hai."

Mahnama al Hadith Hazro by Shaykh Zubair Ali Zai, volume-50, page -13.
[scan: full page, specific paragrah].

Ab jaise ki apke ilm me hoga ki Dr. Farhat Hashmi apne apko Salafi kahna pasand nahi karti, wo apne apko sirf Muslim hi kahna pasand karti hai fir bhi Shaykh Zubair Ali Zai unki taareef karte hai aur unse Deen ka ilm lene ki salaah dete hai.

۞ Ek aur (salafi) Alim hai jinka naam Shaykh Asim Al Hakeem hai. Unse bhi jab ek shaks sawal puchta hai ki kya Dr. Farhat Hashmi se ilm le sakte hai toh wo kahte hai ki agar unke taqreer me badi galtiya nahi paayi jati hai to unse Deen ka ilm le sakte hai. [source]

Zara gaur kare ki Shaykh ye nahi kahte hai ki kyuki wo salafi nahi hai isliye unse Deen ka ilm hasil na kiya jaye.

Aur yahi tarika shuru se hamare ahle ilmo me raha hai. Abu Bakr, Umar, Usman, Ali, Hasan al-Basri r.h. , Ata ibn Abi Rabah r.h. , Imam Abu Haneefah, Imam Shafi, Imam Ahmad, Imam Malik, Imam Tabari, Imam Bukhari Imam Muslim, Imam Tirmidhi, Imam ibn Hajr asqalani, Imam Nawawi, Imam ibn Kaseer, ye sab bade Ustaado maise hai aur inlogo ne khud ko kabhi bhi salafi nahi kaha. Aur ye log ham sab ke, yaha tak ke khud salafi bhaiyo ke bhi ustaad hai aur ham sab inse Deen sikhte hai. Jab in logo se deen sikhne me hame ye nazar nahi aata ki ye salafi hai ya nahi fir aj ke zamane me ham kyu ye kahte hai ki agar koi salafi nahi to unse Deen ka ilm nahi le sakte. Kuch logo ko ye galat-fehmi ho sakti hai ki us zamane me firqe nahi the. Aesa nahi hai, Firqe to sahaba ke zamane se hi banna shuru ho gaya the aur Khawarij uski ek misaal hai jiska zikr Bukhari aur Muslim me hai.

•٠•●●•٠•