اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jul 2018

Samandari Jaanwaro Ko Khane Ka Hukm


Allah ka shukr hai ki usne hamare is Deen ko Deen e fitrat banaya hai aur is deen me boht aasani rakhi hai. Allah ka jitna shukr kiya jaye utna hi kam hai ki usne ham par wo bojh nahi dala jisko uthane ki hamme takat nahi hai. Allah ne ham par boht si chize halal kari hai jo pichle Nabiyo ki shariyat me haraam thi. Allah farmate hai,

"Allah tumhare liye aasani chahta hai, aur wo tumhare liye chizo ko mushkil nahi banana chahta".

Surah Baqarah (2), Ayat-185.

Isi wajah se, Allah ne samandar ke sabhi khaye jane wale ashya ko halal kiya hai chahe wo samandari janwar ho ya samandari ped-paodhe ho, chahe wo zinda ho ya murdaar. Allah farmate hai,

"Tumhare Liye Darya Ka Shikaar Pakadna Aur Us Ka Khaana Halaal Kiya Gaya Hai, Tumhare Fayde Ke Liye Aur Musaafiro Ke Liye..."

Surah Maida, Ayat-96.

Ibn Abbas r.a. is ayat ki tafseer me kahte hai, " 'Sayduhu' ka matlab jo (samandar se) zinda nikala jaye, aur ta’aamuhu ka matlab wo murdaar jo samandar ke kinare pahuch jaye".

Tafseer ibn Kaseer (5:96).

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai, ek shaks ne RasoolAllah ﷺ se pucha, 'Aye Allah ke Rasool, ham samandaro me safar karte hai aur ham apne sath thoda hi pani lekar jaate hai lekin agar ham ise wuzu ke liye istemal karle to ham pyase ho jayenge. Kya ham samandar ke pani se wuzu kar sakte hai?' RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Iska paani tahaarat (purification) ka zarya hai aur iske murda gosht ko (khane) ki ijazat hai."

 Sunan an-Nasa'i, Kitab at Taharah, hadith-59. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Ahle Ilm kahte hai ki saare samandari jaanwar khane ki ijazat hai aur khane ke aetbar se samandari jaanwar wo hoga jo samandar se bahar nikalne par mar jaye, ye zaruri nahi ki wo fauran hi mar jaye, agar wo kuch ghanto baad bhi marta hai to use samandari janwar hi kaha jayega khane ke aetbar se. Aur niche zikr kiye gaye janwaro ko khane ki ijazat nahi hai kyuki agar unko samandar se bahar nikala jaye to wo marte nahi hai:

۩ Magarmach [Crocodiles]
۩ Mendhak [Frogs]
۩ Samandari-Saanp (Jo saanp samandari na ho unhe bhi khane ki ijazat nahi hai)  [sea-snake]
۩ Sag aabi aur kachwa [Otters and turtles]
۩ Aur har wo chiz jo khane ke baad hamare jism ko nuksan pohche (al-Nisa’ 4:29, al-Baqarah 2:195).

Isi tarha hamare muashre me jhinga, kekda aur whale machli ko khane par log shak me mubtala hai. Hamare Deen ne hame ye teen chiz khane ki ijazat di hai kyuki ye samandari khane ke taareef (defination) me shamil hai. Aur koi sahih hadith bhi nahi hai jinme in teeno chiz ko khane se roka gaya ho.
Ab apko ek dilchasp manzar ke taraf le chalte hai jaha par sahaba e karaam Whale machli ka gosht aur uski charbi se fayda utha rahe the:

Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai, Rasool ﷺ ne 300 sawaroon ke sath hame muhim (campaign) pe rawana farmaya. Hamare ameer Hazrat Abu Ubaida b. al-Jarrah r.a. the. Hame Quraish ke qafile ki ghaat lagani thi. Ham (takreeban) aadha maheena sahil-e-samandar par thahre rahe. Hame shadeed bhook ka saamna karna pad raha tha, hatta ke ham ne (darakhto ke) patte khaye. Isi liye is lashkar ka naam "Jhade hue patton ka lashkar" pad gaya. Samandar ne hamare liye ek janwar nikal kar fenka jis ko 'anbar (whale)' kaha jata tha.
Ham aadha mahine tak is ko khate rahe aur is ki charbi ko [tel (oil) ke taur par apne jism par] malte rahe, yahan tak ke hamare badan asal halat me laut aye.

Abu Ubaida r.a. ne is ki ek pasli (pet ka kanta) le kar use nasb karaya (fixed that up), fir lashkar me sab se lamba admi aur sab se uncha oont (camel) dhunda aur us admi ko us par sawar kiya to woh (oont) us (badi machli) ke niche se guzar gaya, aur us (badi machli) ke ankh ke halqe (eye-socket) me boht saare aadmi baith sakte the, aur ham ne us ki ankh ke dheele se boht saare matke charbi nikali.

(Ye badi machli milne se pahle) Hamare sath chote-chote bore khajooro ke the. Abu Ubaid r.a. hame ek muthhi khajoor dete the. (Aur jab khajure kam padne lagi) Fir wo hame ek khajoor dene lage. Jab (yah bhi milna) band ho gaya toh ham ne samjh liya ki woh bhi khatam ho gaya hai.

Sahih Muslim, The Book of Hunting, Slaughter, and what may be Eaten, hadith- 4999.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamare sath akhirat me asani ka muamla kare aur hame jahannam ke aag se bacha le. aameen.