اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jul 2018

Zakhm Ya Plaster Par Wuzu Kaise Kiya Jaye ?


۞ Ibn e Abbas r.a. farmate hai ke sardi ka mausam tha, ek aadmi ko ghusl janabat ki zarurat pesh aai. Us shaks ne is bareme dariyaft kiya to unko ghusl karne ko kaha gaya. Usne ghusl kiya jis se iski maut ho gai. Jab is waaqye ka zikar Rasool Allah ﷺ se kiya gaya to Aap ﷺ ne Farmaya: ‘Un logo’n ne ise maar dala. Allah inko maare, beshak Allah ta’ala ne mitti ko paak karne wala banaya hai (yaani wo Tayammum kar leta).’

Ibn e Khuzaima, vol-1, hadith- 273. Ibn e Hibban, hadith- 2001. Ise Imam Haakim Vol-1 Page-165 aur Imam Hafiz Zahabi ne Saheeh kaha.

Patti par masah karne ki kuch hadeese milti hai lekin wo saari usool e Muhaddiseen ke nazdeek zaif hai. Lekin is par Abdullah ibn Umar ka amal sabit hai sahih hadees ki roshni me:

۞ Imam Bayhaqi farmate hai,

"Nabi ﷺ se is mauzu ke mutallik kuch bhi sabit nahi hai balki ye Tabaeen maise Fuqaha ki raaye hai aur unki bhi jo unke baad aye, is ke sath sath jo Ibn Umar se bayan hai (yaani Ibn Uma ki bhi raaye hai)."
Imam Bayhaqi apne isnaad ke sath zikr karte hai ki Jab Ibn Umar ke hath me patti bandhi hui thi tab unhone wuzu kiya toh patti par masah kiya aur uske alawa baaki chizo ko dho liya. Imam Bayhaqi farmate hai, "Ye ibn Umar r.a. se sabit hai".

Al-Majmoo’, 2/368.

Agar chot par patti nahi lagi hui hai ya sirf marham ya koi dawa lagi hui hai aur us hisse par wuzu karna hai, agar ye dar ho ki wuzu karne se nuksan pohch sakta hai ya dhone se zakhm ko bharne me waqt lag sakta hai to us par masah karne ki ijazat hai (agar masah kar sake) lekin agar masah bhi na kiya ja sake to fir wuzu ke saare hisse dho liye jaye aur zakhm wale hisse par tayammum kar liya jaye.

۞ Shaykh Ibn Uthaymeen kahte hai: Jism ke kisi hisse par agar zakhm hai jis par wuzu kiya jata hai toh ye manzar ho sakta hai:

۩ Wo agar (Plaster, bandage ya patti se) dhaka na ho aur use dhone se nuksan na ho. Is surat e haal me use dhona chahiye agar wo (zakhm) us jagah par ho jo hissa (wuzu me) dhoya jata ho.

۩ Wo agar dhaka na ho lekin dhone se (zakhm par) nuksan pohchega aur masah karne se nuksan nahi pohchega. Is surat e haal me use dhone ke bajaye masah karna chahiye.

۩ Wo agar dhaka na ho lekin dhone aur masah, dono karne se us (zakhm) par nuksan pohchega. Is halat me use tayammum karna chahiye. [Tayammum karne ka tarika]

۩ Wo agar patti (band-aid) ya isi tarha ki chiz jiski zarurat ho usse dhaka ho. Is halat me use jis chiz se wo dhaka hai us par masah karna chahiye aur ye karna kaafi hoga us hisse ko dhone ke bajaye aur use tayammum karne ki zarurat nahi hai.

Majmoo‘ Fataawa wa Rasaa’il Ibn ‘Uthaymeen, 11/121. Ye bhi dekhe: al-Mughni by Ibn Qudaamah, 1/172-173; al-Mawsoo‘ah al-Fiqhiyyah, 14/273.

•٠•●●•٠•