اقرأ باسم ربك الذي خلق

13 Aug 2018

Aashura Ya Arafa Ke Din Ke Roze Ko Qaza e Ramzan Ke Rozo Ke Sath Jama Karna

ur     hi     en -
Ahle ilm ke yaha ye masala ibadaat me shirkat ya tadakhul (pairing or combining acts of worship) ke naam se pahchana jaata hai, aur iski bahut saari surate hai jin me ye surat bhi shamil hai ke waajib aur mustahab ko ek hi niyat me jama kiya jaye, chunanche jis ne mustahab roze ki niyat ki to wo roza  farz roze ke liye kafi nahi hoga, lihaza jis ne aashura ki niyat se roza rakha to ye Qaza-e-Ramzan ke roze ke liye kafi nahi hoga.

Aur jis ne ramdaan ke qaza ke roze ki niyat se roza rakha aur ye aashura wale din rakhha toh ye Qaza-e-Ramzan ka roza to sahih hoga, lekin ise aashura ka roza nahi kaha jayega, baaz ahle ilm ke yahan ye umeed rakhi ja sakti hai ke isse aashura ke roze ka bhi sawaab hasil hoga. 

۩ Ar Ramli r.h. kahte hai:

“Aur agar wo Shawwaal me Qaza-e-Ramzan ya fir nazar wagaira ke roze rakhe, ya isi tarah Yaum-e-Aashura me to use iske nawafili roze ka bhi sawaab hasil hoga, jaise ke mere waalid r.h. ne Baarizi, al-Asfooni, an-Naashiri, faqeeh ‘Ali ibn Saalih al-Hadrami wagaira ki raaye par amal karte hue fatawa diya hai.

Lekin isse usko muqammal sawaab hasil nahi hoga jo akela aashura ka roza rakhne ka sawaab hai, khaas kar jiska Ramzan ka roza chhut gaya hai aur usne uske badle shawwaal me roza rakha hai”. End quote.

Dekhein: Nihaayat al-Muhtaaj (3/208).

Aur Mughni al-Muhtaaj (2/184) aur Hawaashi Tuhfat al-Muhtaaj (3/457) me bhi isi tarah ki raaye darj hai.

۩ Aur Shaykh Ibn ‘Uthaymeen r.h. kahte hai:

“Jis ne Yaum-e-Arafa ya Yaum-e-aashura ka roza rakha aur uske upar Ramzan ki qaza roze bhi baaki ho to uska roza sahih hai, lekin agar wo is din Qaza-e-Ramdaan ke roze ki niyat karta hai to ise dono ajar Youm-e-Arafa aur Youm-e-Ashura ke sath Qaza-e-Ramdaan ke roze ka bhi ajar milega.

Ye to sirf nawafili roze ke mutallik hai jo Ramdaan-ul-Mubarak ke sath koi talluq nahi hai, lekin Shawwal ke chhe 6 roze to Ramdaan-ul-Mubarak ke sath jude hai aur ye Ramdaan-ul-Mubarak ke roze mukammal hone ke baad hi honge.

Is liye agar koi shaks ramdaan ke rozon ki qaza se pahle hi Shawwal ke roze rakhta hai to ise Shawwal ke che 6 rozon ka ajar hasil nahi hoga, kyunki Rasool ﷺ ka farmaan hai: "Jis ne Ramzan ke roze rakhe aur fir uske baad Shawwal ke che 6 roze rakhe to goya ke is ne saare saal ke hi roze rakhe".

Ye maloom hai ke jis ke zimme Ramzan ke rozon ki qaza ho ise to ramzan ke saare roze rakhne wala shumaar hi nahi kiya jayega, hatta ke wo ramdaan ke roze mukammal karle.” End quote.

Dekhein: Fataawa as-Siyaam (438)

Isliye insaan ko apne zimme rozon ki qaza ki adayegi karne me jaldi karni chahiye, kyunki ye nawafli rozon se zyada zaruri hain, lekin agar iske liye waqt tang ho aur wo qaza ke saare roze na rakh sake aur use khadsha ho ke agar wo qaza ke saare roze rakhega to ek fazilat wale din ke roze ka ajar o sawaab hasil nahi kar sakega maslan Youm-e-aashura ya Youm-e-Arafa toh is din qaza ki niyyat se roza rakhle, ummeed hai ke wo Youm-e-Ashura aur Youm-E-Arafa ka ajar o sawaab bhi hasil kar sakega, kyunki Allah Subhan o taala ka fazal o karam to bahut wasee' hai.

•٠•●●•٠•
source: Islamqa.info