اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Aug 2018

Eid Ki Namaz Ke Baad Mubarakbaad Dena, Hath Milana Aur Gale Lagne Ke Ahkaam

en     ur     hi -
Allah pak Quran me farmate hai,

Aur jab tumhe salamti ki koi dua (greeting) di jaye toh tum usse behtar salamti ki dua do ya utna hi lauta kar do. Yakeenan Allah taa'la hamesha se har cheez ka pura hisab karne wala hai.

Surah Nisa, Ayat-86. [Tarjuma: Nighat Hashmi]

۩ Haafidh Ibn Hajr Al-Asqalani kahte hai,

"Ham ne Mahaamiliyaat me hasan sanad ke sath riwayat kiya hai Jabyr ibn Nufayr se jo kahte hai ki Jab RasoolAllah ﷺ ke sahaba Eid ke din ek dusre se mulaqat karte the to wo ek dusre se ye kaha karte the: “Taqabbal Allahu minna wa minkum [Allah hamare aur apke taraf se (ibadat ko) qubul farmaye]”.

Fath ul Bari, volume-2, page-446.

۩ Shaykh Ibn Uthaymeen se pucha gaya, "Eid ki mubarakbaad dene ke ahkaam kya hai aur kya koi khas alfaz hai jinko istemal kiya jaye?"

Shaykh  Ibn Uthaymeen kahte hai:

“Eid ki mubarakbaad dena jaiz hai, aur is ke liye koi jumla makhsoos nahi hai, balki logo ka jis tarha se mubarakbaad dene ka riwaj ho wahi jaiz hai jab tak usme koi gunah shamil na ho.

Baaz Sahaba karaam se bhi Eid ki mubarakbad dena sabit hai, aur agar farz karye sabit nah bhi ho to is waqt yeh ek riwaaj (custom) ka muamla ban chuka hai jis ke log aadi hain, aur Ramadan al mubarak ke muqammal hone par aur qiyam ke baad eid ke roz ek dusre ko mubarakbaad dete hain.”

Shaykh se pucha gaya gaya:

"Namaz eid ke baad musafah karne, gale milne aur mubarakbaad dene ka kya hukm hai?"

Toh Shaykh ka jawab tha:

"In chizo me koi harj nahi hai, kyuki log use bataur Ibadat aur Allah taala ka qurb samajh kar nahi karte hai, balki log ye bataur riwaaj (custom) aur izzat o ikraam aur ehtram karte hai, aur jab tak shariyat me kisi rasm-riwaj ki mumaniyat (manaahi) na aaye to bunyadi usool ye hai ki us chiz ki ijazat hoti hai."

Majmoo’ Fataawa Ibn ‘Uthaymeen, 16/208-210.

•٠•●●•٠•