اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Aug 2018

Jamaatul Jarh Wa Ta'deel

en -
Shaykh Fawzan se sawaal kiya gaya:

"Ek Jamaat maujud hai jo khud ko "Jarh wa Ta'deel" wale log ya "salafi" kahte hai aur unka kaam hi yahi hota hai ki wo Ustaado ki ya Daayi ki galti talash karte rahte hai aur uske baad wo unhe Biddati kahte hai aur unlogo se baaki logo ko aagah karte hai"

Shaykh Fawzan jawab dete hai:

"Jarh wa Ta'deel karna Muhaddiseen (Hadith ke Ulema) ka kaam hota hai aur ye Isnaad ke ilm maise hai. Aur jaha tak logo ke bareme bolne ka sawal hai, toh ye Jarh wa Ta'deel nahi balki 'Geebat' aur 'Nameemah' (chugli) hai.

Isliye unlogo ko Allah ﷻ se tawbah karni chahiye aur is amal ko chor dena chahiye. Unlogo ko dusro ke ayeb (flaws) dekhne se pahle khud ko paak karna chahiye."

[source]

Note: Shaykh Fawzan kahte hai 'Nameemah' ka matlab ye hai ki Logo ki baat ek dusre tak unme rishte kharab karne ki niyat se pohchaya jaye. [At-ta-thab-but Fil-Akhbaar Wahtiraam Al-Ulamaa Wabayaan Makaanatihim Fil Ummah; page: 34].

•٠•●●•٠•