اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Aug 2018

Madkhali Bhaiyo Ko Ulema Ke Taraf Se Dawat e Islah

hi  -
Assalaam alaykum.

Alhamdulillah wassalaato wasasslaaam ala RasoolAllah.

Agar ap is field me ilm rakhte hai to apko pata hoga ki badkismati se hamare salaf ke manhaj ke manne walo me bhi firqe ban rahe hai kuch saalo se. Aur is baat ka saaf taur par Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee ne apni kitab 'Have mercy upon Salafiyyah' ke page no-11 me zikr kiya hai, Ye shaykh bin Baaz ke senior student hai aur Markaz Ad-Da’wah, Taaif, Saudi Arabia ke head hai.

To Salafi jamaat maise ek jamaat hai jisko aam taur par Madkhali salafi kaha jata hai. Kuch log inlogo ko aur naam bhi dete hai, jaise ki Shaykh Asim al Hakeem in logo ko 'Neo Salafi' ke naam se zikr karna pasand karte hai.

To mai ab fark bata du taaki koi shak wa shubah na baaki rahe. Ek to hamare Salafi bhai hai jo ki aam taur par mukhlis hote hai, sahaba aur salaf ke tarike par zindagi basar karne ki koshish karte hai alhamdulillah aur hamlog ka aur inlog ka manhaj ek hi hai ki Quran aur Sunnat ko salaf ke fahm se samajhna hai.
Aur jo madkhali log hai inlogo ka rawayyat kaafi alag hai. Mai apne comments ke bajaye apko ulema e haq ke comments bataunga in shaa Allah.

Toh ye jo Madkhali Jamaat hai inlogo ne is darje ke amal kiye hai ki hamare mohtaram ustaad, Shaykh Zubair Ali Zai, Shaykh Fawzan, Shaykh ibn Uthaymeen, Shaykh Asim al hakeem, wagaira ko khud maidaan me aakar inka radd karna pada aur ye batana pada unhe ki jo ye log jis tarha ki harkat karte wo salaf ka manhaj bilkul nahi hai balki inhone salafiyat ka rasta hi chor diya hai. Aur in logo ke kartut ke wajah se hamare salafi manhaj ko nuksan pohch raha hai.

Fatwe to fatwe, hamare ulema e karaam ko in logo ke khilaf kitaabe tak likhni padi inlogo ki harkato ke wajah se. Kuch mashhoor kitabo ke ye naam hai:

۩ Salafiyat Par Rahem Kare - Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee [senior student of Shaykh ibn Baaz].
۩ Sunnat Wale log - Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad.
۩ Ye Manhaj e Salaf Nahi - Shaykh Muhammad Bazmool.

Apko ye teeno kitabe is link se download kar sakte hai: https://goo.gl/1PsJUA

Aur inke khilaf jo hamare ulema ke sakht fatwe hai mai apse wo bhi share karunga in shaa Allah. Lekin usse pahle apke zahen me ye sawaaal aa raha hoga ki ham un salafio ko pahchane kaise kyuki aksar wo khud ko sirf salafi hi kahte hai kyuki unko pata hai ki unka radd kiya hua hai hamare ulema e karaam ne. Toh jo in kitabo me unki nishaniya batayi gai hai mai us par roshni daal kar apko fark waazeh karunga in shaa Allah.

۩ Pahli baat: Jo salafi honge unko ap is masrufiyat me payenge ki wo logo ko Quran aur sunnat ke taraf aur Tawheed ki taraf bulane me masroof rahenge, ye log dusro par aam taur par tanqeede nahi karte. Jab ki jo Madkhali salafi honge wo log din bhar bas ahle ilm ki galtiya nikalne aur un par hamla karne me masroof rahte hai.

Shaykh Abdul Azeez bin Abdullah (grand mufti of saudi arabia) kahte hai:

"Talib E Ilm Is Tarhan Fula Fula Logo Par Hamla Karte Hue Khud Ko Masroof Nahi Karte. Lekin Woh Achi Tarha Se Islaah Aur Khair Ke Taraf Logo Ko Bulane Me Masroof Rahte Hai."


۩ Dusri baat: Jo Salafi hote hai wo ahle sunnat ke logo ki galtio se deal karna aur ahle biddat ke logo ki galti se deal karne me fark karte hai. Yaani jo shaks shirk aur biddat karta hai aur jo Tawheed parast hai jo biddat nahi karta in dono se islah karne ke rawayyo me fark karte hai. Isi liye apko ye pata hoga ki Dr. Zakir, Dr. Israr wagaira ki galtiyo par hamare ulema itna sakht tabsirah nahi karte aur aksar ulema to inki galtiyo par kuch comment hi nai karte kyuki unhe pata hai ki ye ahle ilm shirk aur biddat me mulawwis nahi hai ha ijtihadi agar koi galti ho jaye to isme koi badi baat nahi hai wo kisi se bhi ho sakti hai.
Lekin jo Madkhali honge wo in ahle ilm aur inke students ko zero se multiply kar denge jaise wo shirk aur biddat me dube hue logo ke sath karte hai, aur un par gumrah, manhajless, biddati, pata nahi kya kya kahenge.

Shaykh Bazmool farmate hai: Yeh Mahajj se Salaf maise nahi ki ahle sunnat ke logo ki galtiyo se waise hi deal kiya jaye jaise ki ahle biddat ki galatiyo se deal kiya jata hai. Beshak Adam ki har aulad se galti hoti hai, is liye logo ka manhaj dekha jayega (ki wo ahle biddat hai ya ahle sunnat) aur uski galti par usi tarah deal kiya jayega.

Kitab - Ye Salaf ka Manhaj nahi, page-3.

۩ Teesri Baat: Madkhali log, logo ki galti par unhe naseehat karne ke bajaye ye unki galti ko logo me aam kar dete hai aur ye logo ki galti par unhe samjhane ke bajaye unhe boycott karna shuru kar dete hai ki inhe mat suno, is website se aagah ho jao, inke pas baitho mat, inko padho mat, wagaira.
Jab ki jo Salafi hote hai wo in sab chizo me nahi padte hai kyuki wo jante hai ki Quran me Allah pak ne bas hame haq baat batane ki zimmedari daali hai na ki logo ko hidayat dene ki.

Shaykh Fawzan kahte hai:

“Aur jhagde ko chor de, jo talib e ilmo ke bich ho gayi hai, (ek dusre se) nafrat karna, lanat karna, logo ko ek dusre ke khilaf karna, jab tak ke wo ummat aur talib e ilmo ko apas me baant na de, (aur unka kahna ki): "In in logo se khabardaar ho jao! fula aur fula ke sath baitho mat! fula aur fula ko mat padho!" - Iski ijazat nahi hai.

Agar fula aur fula ne galti ki hai, toh ek ek karke unhe naseehat kare, jab ki isko (unke galtiyo ko) logo me faila dena aur inke khilaf logo ko aagah karna jab ke wo alim hai, ya talib e ilm hai, ya koi nek shaks hai jisne galti ki hai, iski zarurat nahi hai ki un galtiyo ko logo me failaya jaye

Jo zaruri hai wo ye ki ap imaandaari se ek dusre ko naseehat kare, jo zaruri hai wo ye ki ap ek dusre se muhabbat kare, khas taur par talib e ilm se, khas taur par ulema se, ulema ki izzat ki jaye, aur na ki unko ek dusre ki khilaf kiya jaye, aur na hi un logo se aagah kiya jaye, Ye boht si buraai ki wajah hai, jhagda aur nafrat ki wajah hai, fitnah ki wajah hai - in sab chizo ko (sahih) raste par laaya jaye.”

source : https://youtu.be/LtG6F5mEPtM

Toh ye bunyaadi teen fark the jinke zarye ap unhe pahchan sakte hai. Ab mai in Madkhali hazraat ki ek baat aur batata hu. Ye log ahle ilm ki galti nikalne aur unhe out of context quote karne me expert hote hai, chahe wo shaks kitna hi Tawheed-parast aur sahih aqeede ka kyu na ho, bas agar apne in Madkhaliyo se zara sa koi ikhtilaf kar diya to ye apko na samjhayenge na islah karenge. Ye khamoshi se pahle apki choti choti galtiya talash karenge, agar galti na mile to ye apki baato ko galat aur out of context quote kar ke unhe jama karenge, aur fir ye is chiz ko logo me ya apni websites me faila denge taaki ek aam salafi bhi confuse ho jaye ki ye banda ya ye ahle ilm to Quran aur sahih hadith se baat karta hai, shirk aur biddat ke bhi khilaf hai, fir aesa kyu hua?

Aur ye log din bhar baith kar bas yahi kiya karte hai, inka main Islam yahi hai. In logo ne Dr. Zakir Naik, Dr. Israr, Dr. Farhat Hashmi, aur yaha tak ke Shaykh Zubair ali zai ko bhi nahi baksha jo ki ek boht bade aalim aur muhaddis hai. Ab ap khud soche jab ye itne bade alim ko nahi bakshte to ye hamare aur ap jaise talib e ilm ko kaise baksh denge:

Shaykh Zubair Ali Zai kahte hai:

"England wagaira ke taqleedi Salafiyo ne kazb (jhut) wa iftira (bohtan lagana) aur tashaddud (extreme) ki raah apnate hue Ahle Hadees Ulema wa aawaam par radd shuru kar rakhen hai. Zara si baat ya ijtehadi khata par wo logon ko salafiyat se bahar nikal dete hai. Is tarah ke log purane jamane me bhi the jin ke baare me Hafiz Zahabi r.h. likhte hai:

'Ye Ashaab e Hadees nahi hai balki wo faajir wa jaahil hai. Allah unke shar ko dur kare.'

(Siyar A'lam al-Nubala, 17/460).

Unhi kazzabeen (liars) maise Abu Khadija Abdul Wahid bin Muhammad aalam meerpuri, Yasir Ahmad bin Khushi Muhammad aur Abu Yusuf Abdur Rahman haafiz, teeno kazzab wa iftara (bohtan lagane) me bohot mashoor hai."

Al Hadith Hozro, volume-11, page-42.

Inka fitna shuru me to sirf england wagaira me tha lekin kuch saalo se ye hamare sub-continent me inka fitna kaafi fail gaya hai. Ap dekh sakte hai ki shaykh zubair kitne sakht alfaz me in logo ka radd kar rahe hai. Shaykh Zubair ki dua par ham aameen kahte hai.

Aur isi tarha se Shaykh Fawzan,  Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad, Shaykh Asim al Hakeem jaise ulemao ne in logo ka radd kiya hai. Niche diye gaye 2 links me ap in ulema ka radd padh sakte hai:


Aur akhir me mai apne mohtaram Ustaad Shaykh ibn Uthaymeen ka fatawa pesh karna chahunga jo ki unhone Madkhaliyo ke bareme kaha hai:

“Hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya hai jis tarha se dusre groh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye ki Salaf as saaleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne par inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli (weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch bhi lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI."” End quote. 

Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246.

Aur akhir me, in sab ka maqsad kisi ki burai karna, ya kisi ko sunne se rokna nahi hai. Balki jo log confuse hote hai unki harkato se unki confusion dur karna hai. Aur mai unlogo ke tarha ye bhi nahi kahunga ki in logo ko ap sunna band karde ya inlogo ke liye galat zuban istemal kare, balki jab bhi apko aese log mile toh Ap muskura kar ache akhlaq se unhe Quran aur sunnat ki roshni me bataye ki ye jo amal karte hai ye sahaba nahi kiya karte the aur ikhtilaf ki halat me salaf ka rawayya kya hua karta tha. Aur unhe upar zikr karda fatawa dekar samjhaye ki unhone kaha par salaf ka rasta chor diya hai, kyuki wo hamare hi Musalman bhai hai jinko galti lag gayi hai.

•٠•●●•٠•