اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 Aug 2018

Zul Hijjah Ke Das Dino Ki Fazilat

en -
Allah paak ka irshad hai:

"Qasm hai Fajr ki , aur Das Raato ki".

Surah al Fajr (89), Ayat- 1-2.

Allah paak inki qasam khate hain, Aur Allah paak ka kisi cheez ke baare me qasam khana, uski ahmiyat aur uske azeem fayde ki nishandehi karta hai. 

۩ Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai,

“Ibn `Abbas, Ibn Zubayr, Mujahid aur salaf maise dusre log aur baad ke deegar logo ke mutabiq ye Zul-Hijjah ke pahle das roz ke baare me irshad hua hai.”

Tafseer ibn Kaseer, Surah al Fajr (89), Ayat- 1-2.

۩ Abdullah ibn Abbas r.a. bayan karte hain ke Rasool ﷺ ne farmaya: “In Ayam (yani Zill Hijja) ke alawa koi aur Ayyam aise nahi jin mein kiye gaye amal-e-saliha Allah Tala ko zyada mahboob ho. Sahaba ne arz kiya, Kya Allah ke liye Jihad karna bhi nahi?
Rasool ﷺ ne farmaya: Naa hi Allah ke liye kiya gaya Jihad, haan siwaye wo shaks jo apna maal aur jaan lekar Jang par nikle aur isme se kuch wapis na laye.”

Sahih al Bukhari, Kitab al Eidain, Hadees no. 969.

۩ Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Allah subhanahu wa tala ke nazdeek koi amal itna mahboob aur ba-azmat nahi jitna wo amal hai jo in das dino ( yani Zul Hijja ke pahle 10 din) mein kiya jaye , isliye tum in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo.”

Musnad Imam Ahmad, 7/224. Ahmad Shaakir ne ise sahih karar diya hai.

۩ Ibn e Abbaas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Allah ke nigaah me koi bhi amal itna zyada mahboob nahi na hi sawab me itna zyada hai jo achha amal Qurbani (Zul Hijja) ke das dino me kiya jaye. Aap ﷺ se pucha gaya, Kya Allah ke liye Jihad karna bhi nahi?
Rasool ﷺ ne farmaya: Naa hi Allah ke liye kiya gaya Jihad, haan siwaye wo shaks jo apna maal aur jaan lekar Jang par nikle aur isme se kuch wapis na laye.”

Reported by al-Daarimi, 1/357; its isnaad is hasan as stated in al-Irwaa’, 3/398.

•٠•●●•٠•