اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Sept 2018

Eidi Dene Ka Kya Hukm Hai?

en  -
Sawal: Hamare muashre me Eid ke mauke par kuch paise diye jate hai jise ham Eidi kahte hai. Kya isme koi harj hai? Ya Kya ye biddat hai? Is rasm ke mutallik kya hukm hai?

Alhamdulillah..

Bunyadi usool ye hai ki har Rasm-riwaj par amal karne ki ijazat hai jab tak ke ye shariat se taqraat na ho.

۩ Shaykh al-Sa’di [d.1376 a.h.] farmate hai:

“Rasm-riwaj ka bunyadi usool ye hai ki iski ijazat hai, jab tak ke kisi shariyat [ke ahkaam] me isko mana na kiya ho [yaani shariat ke kisi ahkaam se takraaye na].”

Risaalah fi Usool al-Fiqh (7).

۩ Standing Committee ka is talluq se ye kahna hai:

“Isme koi harj nahi hai; balki ye ek achha rasm hai jo ki ek Musalman ko khush karta hai chahe wo umr-daraaz ho ya naujawan, aur ye kuch aesa hai jise Islam ne pasand kiya hai.

Aur Allah se sabhi taaqat hai. RasoolAllah Muhammad ﷺ par, unke aal par aur unke sahaba par Allah rahmat aur barkat nazil kare.” End quote.

Fataawa al-Lajnah ad-Daa’imah li’l-Buhooth al-‘Ilmiyyah wa’l-Ifta’ 26/247.

۩ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai,

“Eid ke din log tohfa bhi dete-lete hai yaani wo khana banate hai aur ek dusre ki dawat lete hai unke yaha aakar khane ki aur wo milte-julte hai aur khushiya manate hai. Is rasm me koi harj nahi hai kyuki ye Eid ka din hai. Jab Abu Bakr r.a. RasoolAllah ﷺ ke ghar me tashreef laaye toh unhone waha par do (2) ladkiyo ko maujud paya jo eid ke din par gaa rahi thi (singing). Unhone (Abu Bakr ne) unhe roka lekin RasoolAllah ne kaha, “Unhe rahne do”. Aur unhone ye nahi kaha kyuki wo choti bachhiya thi. Balki unhone kaha, “Unhe rahne do kyuki ye Eid ke din hai.

Isse ye ishara hai ki Islam apne rawadaari (tolerent) aur aasan rawayya ke sath logo ko ye ijazat deta hai ki wo apne khushi ka izhaar kar sake Eid ke din.

Majmoo‘ Fataawa Ibn Uthaymeen, 16/276.