اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 Sept 2018

Shahadat e Hussain Par Rasoolullah Ko Gam Aur Aap Ke Aansu


۩ Abu Abdullah (Tabaeen) ke bete Abdullah bin Nujayy apne walid se bayan karte hai ki wo Ali bin Abu Talib ke liye (safar me) saamaan e taharat ka bandobast karte the ki wo Ali r.a. ke sath ek safar me the, Jab Ap Siffeen ko jaate hue (muqam) Neenawa ke barabar pahuche toh Ap ne buland aawaaz se kaha, “Aye Abu Abdullah! (ye Hussain r.a. ki qunyat thi) Faraat (ek jagah) ke kinare sabr karna, Aye Abu Abdullah! Faraar ke kinare sabr karna. Maine (Ali r.a.) se pucha, 'Kya (khaas) baat ho gai'?
Ali r.a. ne farmaya, “Ek din mai RasoolAllah ﷺ ke paas hazir hua, toh (dekhta hu ki) Aap ﷺ ki mubarak aankho se aasu bah rahe the, Maine (bechain) hokar pucha, 'Kya Aap ko kisi ne naaraz kiya hai? Aap ki mubarak aankho se aasu kyu bah rahe hai?'
RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya, “Nahi! balki abhi abhi Jibreel a.s. mere paas se uth kar gaye hai aur unhone mujhe (Allah ki taraf se) ye khabar di hai ki beshak Hussain a.s. ko Faraat ke kinaare katl kar diya jayega. Fir unhone pucha ki kya mai Ap ko us jagah ki mitti dikhau jaha Hussain r.a. girenge? Maine kaha Haa dikho, chunanche unhone mitti ki ek mutthi bhar kar mujhe di, toh is par mai apne aasu na rok saka.”

Musnad Imam Ahmad, hadith- 648. Silsila al hadees as saheeha, hadith-822. Shaykh Zubair Ali Zai ne is riwayat ko Fazail e Sahaba aur Shaykh Albani ne is riwayat ko Silsila al hadees as saheeha me sahih karar diya hai.

۩ Abdullah ibn Abbas r.a. bayaan karte hai ki Ek din maine dopaher ke waqt RasoolAllah ﷺ ko (khwab me) dekha, (is haal me) ki Aap ﷺ ke baal mubarak bikhre hue, aur Aap ﷺ par gard lagi hui hai aur Aap ﷺ ke paas ek shishi hai, jisme khoon hai. Maine arz kiya: “Aye Allah ke Rasool ﷺ ! Ye kya maajra hai?”
RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya: “Ye Hussain r.a. aur unke sathiyo ka khoon hai jise mai aj subah se ikhatta kar raha hu.”
Ammaar (Tabayeen) ka bayan hai: “Hamne wo khwab wala din yaad rakha, aur fir (baad me) hamne tasdeek karli ki usi (61 Hijri me 10 Muharram ul Haraam ke) din wo (Hussain r.a. maidaan e karbala) me katl kiye gaye the.”

Musnad Imam Ahmad, hadith-2165. Is hadees ko Shaykh Shuaib Arnaoot ne aur Shaykh Zubair Ali Zai ne Fazail e sahaba me sahih karar diya hai.

۩ Ammar riwayat karte hai ki Umm Salamah ne unse kaha: “Maine Jinno ko suna ki wo Syedna Hussain r.a. ke liye ro rahe hai.”

Imam Tabrani ki Al Mojam Al Kabir, hadith- 2867, Sheikh Zubair Ali Zai ne is hadith ko Fazail e Sahaba me sahih karar diya hai.

۩ Ibraheem Nakhi (Tabayeen) kahte hai, “Agar (bil-farz) mai unlogo me hota jinhone Hussain r.a. ko katl kiya tha, fir (qayamat) ke din meri magfirat bhi kar di jati, aur mai jannat me dakhil bhi ho jata, toh us waqt (jannat me) bhi RasoolAllah ﷺ ke paas guzarne se sharm karta ke kahee Ap ﷺ meri taraf dekh na le (aur mujh se puch na lein ke tum dunya me Hussain ke katilo ke haami the!)”.

Imam Tabrani ki Al Mojam Al Kabir , volume-3, page-112, hadith-2829. Is hadith ko Shaykh Zubair ali zai ne Fazail e sahaba me Hasan karar diya hai.

•٠•●●•٠•