اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Oct 2018

Libas Ke Napak Hone Ka Shak

en     ur     hi -
Sawal: Mai gair mulq mein padhta hu, aur apna aksar waqt duty par guzarta hu, aur zarurat padne par mai khade hokar peshab karta hu, kyu ke mujhe mahsoos hota hai ke bait ul khala me nasb kursi par najasat lagi hui hai, aur waise bhi mera is par baithne ko dil bhi nahi karta, sath me mai yeh bhi puri koshish karta hu ke peshab ke cheente mujhe na lagen, aur peshaab karne ke baad tissue paper se istinja karta hu, toh peshab ke un chote chote chhinto ka kya hukum hai jo khade hokar peshab karne se meri shalwar ko lag jate hain, mai un se bachne ki mukammal koshish karta hon? Isi tarhan mai yeh bhi janna chahunga ke cheente lagne ke baarey me gumaan, aur yaqeen dono mein farq hoga? aur kya peshab ke cheente lagne ki mutawaqqa jagah ko sirf pani ke cheente ya geelay haath se saaf karna kaafi hoga? Aur kya un umoor ke baarey mein kasrat se sawal karna was-wase me shumaar hoga?

Alhamdulillah..

Sunnat ye hai ki insaan baith kar peshab kare, aur agar khade ho kar peshab kare toh isme koi harj nahi hai jab tak jism aur kapdo ko najasat se paak rakha ja sake.

Aur agar us insaan ne khade ho kar peshab kiya, aur use peshab ke kuch chinte bhi lag gaye toh jis jagah chinte lagi hai us jagah ko dhona laazmi hai, aur us par paani ke chinte marna ya geela haath wagaira ferna kaafi nahi hoga, balke najasat ko dhone ke liye us par paani bahana zaruri hoga. 

Aur agar insaan ko shak laa haq ho jaaye ki kya uske kapdo ko peshab laga hai ya nahi, toh aisi surat me us kapde ko dhona laazmi nahi hai, kyuki asal (usool) ye hai ki kapde paak hote hai jab tak ke insaan ko yaqeeni taur par maloom na ho jaaye ki waqayi usme najasat lag gayi hai.

Fatawa al-Lajnah ad-Daa'imah ke Ulema e karaam ka kahna hai ki:

“Jab apko achchi tarah yaqeen ho jaaye ki (peshab ka) katra nikal gaya hai toh ap par istinja karna, namaz ke liye wuzu, aur jaha kapde par peshab ka katra laga hua hai use dhona laazmi hoga aur agar sirf shak ho toh aisi surat me ap par kuch nahi hai.

Aur ap shak wa shuba me padne se bache, taaki Ap waswasa ki bimari me mubtala na ho jaaye.” End quote. 

Fatawa al-Lajnah ad-Daa'imah (5/106).

Agar insan faydemand Deeni masail puche toh ye na to ayeb hai aur na hi waswasah balki kamaal talb karne ka zariya, aur neki ki hirs hai.

Allah se dua hai ki hame aur apko har achha kaam karne ki taufeeq de. Beshak woh is baat par qadir hai. 

Wa Allahu alam.
•٠•●●•٠•
source: Islamqa.info