اقرأ باسم ربك الذي خلق

12 Nov 2018

Farz Aur Nawafil Namaz Ke Darmiyan Guftagu Ya Jagah Tabdeel Karna Mustahab Hai

en  -
Alhamdulillah..

Mauzu shuru karne se pahle ye jaan lein ki Arabic me Nawafil ka matlab gair-farz hota hai yaani jo farz kiya gaya hai uske alawa. Hamare muashre me nawafil namaz ek alag kism ki namaz ban gai hai jab ki us kism ki namaz ka zikr kitab o sunnat kahi par nahi hai. Misaal ke taur par hamare muashre me log magrib ki sunnato ke baad do rakat aur padhte hai aur use nafil ka naam dete hai jab ki is do rakat namaz ka zikr hi kahi nahi hai.

Isi liye jab Nawafil kaha jayega to isme farz ke alawa jitni bhi kisme hai wo sab isi me shumar honge jaise sunnat namaz aur witr namaz. Ab aiye is baat ki daleel dekhte hai:

حَدَّثَنَا بَيَانُ بْنُ عَمْرٍو، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ جُرَيْجٍ، عَنْ عَطَاءٍ، عَنْ عُبَيْدِ بْنِ عُمَيْرٍ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ لَمْ يَكُنِ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم عَلَى شَىْءٍ مِنَ النَّوَافِلِ أَشَدَّ مِنْهُ تَعَاهُدًا عَلَى رَكْعَتَىِ الْفَجْرِ

Aisha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ Nawaafil (sunnat) mein se kisi cheez par itni muhafizat aur mudawemat nahi karte the jis qadr Fajr ki 2 rakat (sunnat) par karte the.

Sahih al Bukhari, kitab al tahajjud, hadith - 1163.

Is hadith me Ammi Ayesha r.a. ne sunnat ke liye nawafil alfaz istemal kiya hai.

Ab mauzu par aate hai, farz aur nawafil Namaz ke darmiyan guftagu karna ya jagah tabdeel karna mustahab hai. Iski daleele ye hai:

Umar bin Ata r.a. kahte hai ki Nafi bin Jubair ne unhe Al Saib ke paas bheja taaki wo puch sake ki Muawiya r.a. ke namaz me unhone kya dekha.
Toh is par unhone kaha, 'Ji Ha! Maine unke sath Maqsura (Masjid ke hujre) me Juma ki namaz padhi hai aur jab Imam ne salam fera toh mai apni jagah par khada ho gaya aur (sunnat) namaz padhi. Jab Muawaiya r.a. andar dakhil hue toh mujhe bulwaya aur kaha, "Jo kaam tumne kiya hai aaindah na karna. Jab tum Juma padh lo toh use kisi dusri namaz se na milana yahaa tak ke guftagu karlo ya us jagah se nikal jao kyunke RasoolAllah ﷺ ne hame is baat ka hukum diya tha ke hum kisi namaz ko dusri namaz se na milaye hatta ke ham guftagu karlen ya (us jagah se) nikal jaye.

Sahih Muslim, The Book of Prayer - Friday, hadith - 2042.

۩ Imam Nawawi is hadith ki sharah me farmate hai:

"Is hadees me hamare Shafi fuqaha e karaam ke mauqaf ki daleel hai ke sunnat e mua'qqada ya gair muaqqada jo bhi nawafil ho unki adaegi ke liye farz namaz ki jagah se hat jana chahiye, aur afzal yahi hai ke ghar ja kar ada kare, warna masjid me kisi bhi jagah ada kare, taa-keh sajda karne ki jagah zyada ho sake.

Is tarha nawafil aur farz namaz ek dusre se alag ho jayengi, Muawiya r.a. ka ye kahna ke, "Hatta ke hum baat kar lein", is cheez ki daleel hai ke farz aur nawafil me faasla guftagu se ho jayega, lekin ek jagah se doosri jagah muntaqil (shift) hona hamari bayan kardah wajah ke baais mustahab hai. Wa Allahu aalam."

Sharah Sahih Muslim [Imam Nawawi].

۩ Ar-Ramli kahte hai:

"Ye sunnat hai ki nawafil ya farz padhne ke liye us jagah se hata jaye jaha par nawafil ya farz padha gaya ho taake qayamat ke din gawahi dene wali jagaho ki ta'adaad ziyada ho, kyunke jis jagah bhi ibaadat ki hogi wo jagah qayamat ke din us ke liye gawahi degi, nez jagah tabdeel karne par zyada se zyada jaghon par ibaadat ka amal sar-anjaam diya jayega, aur agar koi jagah tabdeel na kare to fir guftugu ke zarye faasla daale." end quote.

Nihaayat al-Muhtaaj (1/552).

•٠•●●•٠•