اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Nov 2018

Gair-Muslim Ko Sadaqah Dena

en     ur  -
Sawal: Gair Muslim ko sadaqah dena ya unki maali madad karna kaisa hai?

Alhmdulillah :

Gair-Muslim gareeb ya miskeen ko nawafili sadaqat o khairaat dena jaiz hai aur khaas kar jab woh  rishtedaar ho lekin shart ye hai ke woh hamare khilaaf jang karne walo me shaamil na ho, aur un me se kisi ne aesi ziyadati na ki jis ki bina par un ke sath ahsaan karna mamnoo thahre, aur farz ki hui zakat inhe dena jaiz nahi hai.

Kyuki Allah ﷻ ka farmaan hai:

Jin logo ne tum se Deen ke baare mein ladaai nahi kari aur tumhe jila-watan nahi kiya un ke sath husn e suluk karne aur insaf ke sath bartao karne se Allah tala tumhe nahi rokta, balke Allah tala toh insaaf karne walon se mohabbat karta hai.

Allah taala tumhe sirf un logon se mohabbat karne se rokta hai jinhone tum se Deen ke baare me ladai kari aur tumhe jila-watan kiya, aur jilaa-watan karne walo ki madad ki, jo log aise kuffaar se mohabbat kare woh qatan zalim hai.

Surah Mumtahinah (60), ayat 8-9.

Note: Jila-watan ka matlab kisi ke watan se usko nikalna.

Asma bint abi Bakr r.a. bayan karti hai, "RasoolAllah ﷺ ke zamane me ek baar meri walida mere paas aayi jo ki Mushrik thi. Toh maine Rasool kareem ﷺ se daryaft kiya: Aye Allah ke Rasool ﷺ mere paas meri walida ayi hai aur wo madad talab karne aayi hai, toh kya mai un ke sath sila rahmi karu? Toh Rasool ﷺ ne farmaya: Haa ! Unse sila rahmi karo."

Sahih al Bukhari, book of gifts, hadith - 2624.

Aisha r.a. bayan karti hai ek Yahudi aurat ne unse bheek manga toh unhone use de diya, to woh yahudi aurat kahne lagi: Allah taala ap ko aazaab e qabar se mahfooz rakhe, toh Aisha r.a. ne unhe ajeeb samjha, jab unhone Nabi ﷺ ko dekha to iske bareme unse pucha.
Toh Rasool ﷺ ne farmaya: Nahi.
Aisha r.a. kahti hain: Fir Rasool ﷺ ne is ke baad hame farmaya ke unki taraf wahee (revelation) aayi hai ke tum apni qabro me azmaish aur fitnah me daale jaoge.

Musnad Imam Ahmad, hadith - 24815.

To ye dono hadees kafir ko nawafili sadqa ya khairaat ya madad dene ke jawaz par dalalat karti hai.

Imam Shafi (tabe-tabaeen) r.h. kahte hai:

"Nafli sadaqa o khairaat maise mushrik ko dene me koi harj nahi, lekin farz kiya hua (zakat) me iska koi haq nahi, aur Allah tala ne aise logon ki tareef bayan karte hue farmaya hai:

Aur woh Allah tala ki muhabbat me khana khilate hai miskeen, yateem aur qaidiyo ko. [al-Insaan 76:8]"

Kitab al Umm, jild-2.

•٠•●●•٠•