اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Nov 2018

Sach Ka Koi Firqa Nahi Hota


Hamare muashre me gumrahi ki ek badi wajah ye bhi hai ki aksar ham sirf ek taraf ki baate sun kar faisla kar lete hai ki kaun sahih hai kaun galat aur fir is tarike par chalte hue baaz auqat ilm rakhne wale log bhi aasani se bewakuf ban jate hai.

Sahaba ka tarika dekhye, pahle wo Muslim nahi the lekin jab un tak Rasool ki dawat pohchi toh unhone kya rawayya ikhtiyar kiya? Kya unhone Rasool ﷺ ko ye kaha ki hamare ulema to apko gumrah kahte hai toh apki baat ham kaise sune? aesa kaha kya?

Nahi! balki unhone dono taraf ki baate suni aur fir haq ko qubul kiya.

Salman e Farsi r.a. ki seerat padh lijiye, pahle wo atish-parast the, fir wo Isaai hue aur fir unhone Islam qubul kiya. Agar wo sirf ek tarfa baate sunte to unhe haq kaise milta?

Afsos ki baat hai ki hamare daawe to bade-bade hai lekin amal zero. Sahaba ki baate to ham karte hai lekin unke nakshe-qadam par chalne ko tayar nahi hai.

Mai agar apni baat karu to mai shirk aur biddat karne wale ghar me pala-badha. Uske baat jab ek ahle ilm ki baat mujh tak pohuchi to maine dono taraf ki baate sun kar haq qubul kiya aur shirk aur biddat ko teen talaq de diye. Agar mai sirf yahi kahta ki hamare ulema to inlogo ko gustakh e rasool kahte hai fir inki baat kyu kar sunu, to zara ap sochye kya aj mai isi muqam par hota jaha aj hu. Allah hamare amal ke sath sath hamare ilm ka bhi imtehan le raha hai, isse ham aksar anjaan hai.

Mai jis masjid me namaz padhne jata hu waha do tarha ke log aate hai, ek to wo hote hai jo nange sar namaz padhte hai aur dusre wo hote hai jo sar ko dhaanp ke (topi, imamah, wagaira se) namaz padhte hai. To ab is ikhtilaf par mujhe dono taraf ki daleele sunni hai taaki mujhe haq pata chale.

Isi tarha masjid me ek log aese hote hai jo rafa yadain kar ke namaz padhte hai aur ek aese hote hai jo bina rafa yadain ke namaz padhte hai. Is par bhi mujhe dono taraf ki baate sunni hai agar mujhe haqiqat ko janna hai.

Toh kabhi bhi sirf ek tarfa baat sun kar faisla nahi karna chahiye, dono taraf ki daleele sune aur fir faisla kare. Aur Agar dono taraf RasoolAllah ki ahadith maujud hai to ye dekhye ki hamare salaf (sahaba, tabayeen, tabe-tabayeen) ne us chiz ke bareme kya kaha aur unhone us chiz ko kaise samjha kyuki wahi log hai jinhone RasoolAllah ki baat hamse behtar tarah se samjhi hogi.

Log kahte hai ki kuch logo me tahkeek karne ki salahiyat nahi hoti ki wo faisla kar sake ki sahih baat kya hai. Lekin ye baat sahih nahi hai. Kyuki jin logo ki baat ap kar rahe hai ye wahi log hai jo market me agar vegetables khareedne jate hai to 10 shop par jate hai taaki sabse behtar quality ke sabse kam price me unhe mile. Ye wahi log hai ki agar koi property khareedenge toh 10 log se mashwara lenge. Toh dunya me to itne hoshiyar hote hai ye log fir Deen me inki saari hoshiyari kaha chali jati hai. Deen ke muamle me bhi unhe chahiye ki zara Quran ka saada tarjuma padh kar dekhe, zara 2-4 ahle ilm se mil kar dekhe. Baat to unhe samajh me aani hi hai kyuki sach me itni taqat hoti hai ki wo hukumate gira deti hai. Sach ko mamuli mat samajhye. Aur Allah Quran me khud wada karta hai ki agar ap haq ko dhudenge toh Allah apko sach ka rasta zarur dikhayega [Quran, 29:69]. Sach toh kafir ko bhi mil jati hai jo ki bilkul hi Islam se anjaan hota hai to apne toh ma shaa Allah ek musalman ke ghar me wiladat payi hai. Baat ye hai ki sach ko talash karne ke liye apko thodi mehnat karni padegi aur log is mehnat se bachna chahte hai. Toh bina hath pair hilaye to khana bhi hamare jism me nai pohchta fir ye to sach ki baat hai.

Ek baat aur hai ki baaz auqat log sach ki talash me gumrah bhi ho jate hai, lekin ye unki khud ki problem hai, Allah kabhi kisi sachhe dil se haq talash karne wale ko gumrah nahi karta hai. Jab Allah ne apke dil me koi haqiqat khol di hai lekin iske bawujud ap us tarike par nahi chalna chahte kyuki apki kuch zaati cheeze apse dur ho jaengi jisse apko sach se zyada muhabbat hai, misaal ke taur par kisi ko apne buzurg se muhabbat hai kisi ko maal o daulat se, kisi ko apne ulema se ya kisi khas fikr ya firqa se itni muhabbat hai ki ap sach ko janne ke bawujud bhi sach ko thokda dete hai. Toh Allah ki hidayat itni sasti nahi hai ki ap baar-baar use thokar marte rahe fir bhi wo apko mil jaye. Sach toh sachhe dil se haqiqat ko talash karne walo ko hi milta hai.

Sach ka koi firqa nahi hota! Agar apne ye faisla kar liya hai ki bas ham hi sahih hai, hamare hi groh haq par hai toh apne islah ke tamam darwaze apne liye band kar liye hai aur islah tabhi mumkin hai jab ap ye samjhe ki insan hone ke naate apse bhi kisi masle me galti ho sakti hai. Nubuwat ap par khatm nahi hui hai ki jo apne raaye ikhtiyar karli ab usme galti nahi ho sakti, nubuwat RasoolAllah par khatm hui hai, ham sab toh unki baato ko samajhne me masruf hai aur aiye ap bhi sath shamil ho jaiye.

•٠•●●•٠•

Prepared by: Faisal Khan.