اقرأ باسم ربك الذي خلق

12 Dec 2018

Tassub - Ek Bimari


Allah farmate hai:

Beshak Allah Ke Nazdeek Deen Islam Hi Hai Aur Ahle Kitab Ne Apne Paas Ilm Aa Jaane Ke Baad Aapas Ki Sarkashi Aur Hasad Ke Bina Par Hi Ikhtilaf Kiya Hai, Aur Allah Ki Aayato Ke Sath Jo Bhi Kufr Kare Allah Us Ka Jald Hisaab Lene Wala Hai.

Surah aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 19.

Tassub ek aesi bimari hai ki baaz auqat bade se bade insan ko bhi pata nahi chalta hai ki wo isme mubtala ho chuka hai. Jab kisi shaks se ap ikhtilaf kare to ilmi ikhtilaf kare daleel ke sath. Iske bajaye us shaks ki niyat par hamla karna aur uski zaati zindagi ko bich me le ana ya usko zero se multiply kar dena ye ilmi jahalat hai. 

Aiye sahaba ke tarike par roshni dalte hai. Sahaba e karaam me apas me bade bade ikhtilaf hue, yaha tak ke us masle me bhi ikhtilaf hue ki agar wo masle me koi aj hamse ikhtilaf kare to use ham apne manhaj se hi nikal denge. Rasool ko Allah ka dekhna, kabr me murde sunte hai ya nahi, Rasool zinda hai ya nahi. in sab chizo me bhi ikhtilaf hua. Lekin sahaba ka amal dekhye kya unhone ikhtilaf ke waqt ye kaha ki Abu Bakr ko mat suno Umar ko mat suno, inse dur raho unse dur raho, ya fula gumrah ho gaya hai, nauzbillah. Balki unhone daleel ke roshni me ek dusre se baat ki. Hamara bhi yahi manhaj hona chahiye, par afsos ye manhaj boht kam logo ka hai aj ke zamane me. 

Allah pak farmate hai,

'Logo Ko Apne Rab Ke Raastey Ki Taraf Hikmat Aur Khubsurat Nasihat Ke Sath Bulaiye Aur Unse Behtareen Tareeqe Se Bahes (Guftagu) Karye.'

Surah Nahl, ﴾16﴿, ayat- 125. 

Hamesha yaad rakhein ki kisi ka ahtaraam apko yaha tak na le jaye ki ap uski galti ko bhi defend karne lage aur kisi shaks ki tanqeed apko yaha tak na le jaye ki ap uska wajibi ahtaraam bhi karna chor dein.

Allah farmate hai,

'Aye eeman walo! Allah ki raza ke liye Adl wa insaaf ke sath dat kar gawahi dene wala bano. Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai aur Allah se darte raho, beshak Allah tumhare aamaal ki puri khabar rakhta hai.'

Surah Maida ﴾5﴿, ayat- 8.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame tassub, hasad, bughz aur in jaisi shar wali chizo se mahfuz rakhe. aameen.
M Shoaib Ansari said...

JajakAllah kahiran bhai khoobsurat naseehat