اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 Dec 2018

Us Shaks Ki Tawba Jisne 99 Aur 1 Katl Kiye

   en     ur     hi -
Abu Sa'id al-Khudri r.a. riwayat karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Tum se pahle logo me se ek (1) shakhs tha, Us ne ninanwe (99) qatal kiye, fir is ne zameen par basne walon mai se sab se bade aalimo ke baare mein pucha (ke woh kaun hai). Use ek (1) Rahib (monk) ka pata bataya gaya. Woh us ke paas aaya aur pucha ke maine ninanwe (99) qatal kiye hain, kya uske liye Tawba (ki koi gunzaish) hai? Us (rahib) ne kaha, 'Nahi'. Toh us ne use bhi qatal kar diya aur is (ke qatal) se sao (100) qatal pure kar liye.
Us ne fir ahle zameen me se sab se bade aalim ke baare me daryaft kiya. Use ek aalim ka pata bataya gaya. Toh is ne (ja kar usse) kaha, 'Mai ne sau (100) qatal kiye hain, kya is ke liye tauba (ka imkaan) hai? Us (aalim) ne kaha: 'Haan', tumhare aur tawba ke darmiyan kaun aa sakta hai? Tum fulaa fulaa sar-zameen par chale jao, wahan (aise) log hain jo Allah taala ki ibadat karte hain, tum bhi un ke sath Allah ki ibadat mein mashgool ho jao aur apni sar-zameen par wapis na aao, yeh buri (baton se bhari hui) sar-zameen hai.

Woh chal pada, yahan tak ke jab aadha rasta taye kar liya to use maut aa gai. Is shaks ke baare mein rahmat ke farishtay aur aazaab ke farishte jhagadne lage. Rahmat ke farishto ne kaha, Yeh shakhs tawba karte hua apne dil ko Allah ki taraf mutwajjah (mod) kar ke aaya tha aur aazaab ke firshton ne kaha, is ne kabhi neki ka koi kaam nahi kiya. Toh ek farishta aadmi ke roop me un ke paas aaya, un (farishto) ne use apne darmiyan (faisla karne wala) muqarrar kar liya. Us (farishte) ne kaha, Dono zameeno ke darmiyan faasla naap lo, woh dono me se jis zameen ke zyada qareeb ho toh woh usi (zameen ke logon) maise hoga. Unhone faasle ko naapa toh use us zameen ke qareeb tar paaya jis ki taraf woh ja raha tha, chunanche rahmat ke firshton ne use apne hatho me le liya.”

Hasan (basri) ne kaha: (Is hadees me) hame bataya gaya ke jab use maut ne aa liya tha to isne apne seene se reng kar khud ko (gunaaho bhari zameen se) dur kar liya tha.

Sahih Muslim, Kitab al Tawba ﴾50﴿, hadith- 7008.

•٠•●●•٠•

Aye Allah ham apne gunaho se tawba karte hai, hame muaf farma dein. aameen.