اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Jan 2019

Ramzan Ki Khabar Dene Wali Hadees Ki Haqiqat


Sawal: Assalaamu alaikum shaykh. Ummeed hai ki aap khairiyat se honge. Mera aapse ek sawal hai ki kya koi aesi hadees hai ki Ramzan ki jisne khabar di, toh jahannam ki aag us par haraam ho jayegi. Mera dusra sawal ye hai ki kya shaitan jhuti hadeese bayan kar sakta hai? Guzarish hai ki daleel ki roshni me iska jawab irshad farmaye, Allah apko ajar se nawaze.

Alhamdulillah..

Mere mahdud ilm me aesi koi hadees nahi hai jisme RasoolAllah ya kisi sahabi ne ye farmaya ho ki 'Ramzan ki jisne khabar di, toh jahannam ki aag us par haraam ho jayegi'.

۩ Shaykh Assim al Hakeem se jab ye sawal kiya gaya toh unhone kaha, “Ye manghadant aur ek jhut hai”.


۩ Islamweb Fatawa Center se jab ye sawal kiya gaya toh unhone kaha, “Jo hadith ka matlab apne bayan kiya hai, hame kisi bhi ulema ke kitab me uski majudgi nahi mili hai, jiski badi tadad hamare hath me hai..”


Lihaza aesi koi hadees nahi hai lekin hame ek dusri hadees milti hai jo ishara karti hai ki hame logo ko Ramzaan ki khush-khabri dene ki ijazat hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Ae logo ye barkat wala mahina tumhare nazdeek aa raha hai aur Allah ne ye hukm diya hai ki tum is mahine me roze rakho. Is mahine me Jannat ke darwaze khol diye jate hai aur jahannam ke darwaze band kar diye jate hai aur shaitano ko jakad diya jata hai. Aur is mahine me ek raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Jo is mahine me Allah ki barkat se mahroom raha wo sach me ek mahrum shaks hai (yaani wo badi khair se mahrum rah gaya).”

Musnad Imam Ahmad, hadith- 7148. Ise Shaykh Shuayb Arnout ne sahih karar diya hai.

Isi silsile me ek baat waazeh ho jaye ki RasoolAllah ﷺ ki taraf wo hadees ya baat nisbat karna jo unhone kisi bhi hadees ke zarye farmaya hi nahi hai, ye gunahe kabeera hai jiska anjaam aag hai.

۩ Ali r.a. khutbah dete hue kahte hai RasollAllah ﷺ ne farmaya, “Mujh par jhoot mat bandho, jo shaks meri taraf jhut mansub karega wo jahannam me dakhil hoga.”

Sahih Muslim (Muqaddamah ke hisse me), hadith- 1.

Dusre sawal ka jawab ye hai ki shaitan jhuti hadeese bayan kar sakta hai:

۩ Abdullah bin Masood r.a. se marwi hai ki, shaitan insani shakl wa surat me qaum ke pas aa kar unse koi jhuti hadees bayan kar deta hai aur jab log muntashir (depart) ho jate hai toh un me se ek shaks kahta hai ki Maine ek shakhs se yeh hadees suni he jis ki shakal pahchanta hu lekin us ka naam nahi janta. [yani wo admi jo hadith bayan karta hai darasal shaitan hota hai].

Sahih Muslim (Muqaddamah ke hisse me), hadith- 17.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Kisi shaks ke jhutha hone ke liye yahi baat kafi hai ki wo har suni sunai baat ko aage bayan karde.”

Sahih Muslim (Muqaddamah ke hisse me), hadith- 6.

Allah se dua hai ki wo hame sidhi raah dikhaye. aameen.

•٠•●●•٠•