اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 Feb 2019

Jahannam Me Aurato Ki Aksariyat Kyu?

hi   -
Alhamdulillah..

Nabi ﷺ se ye sabit hai ke Jahannam mein aurato ki aksariyat hai.

۩ Imran bin Husayn r.a. bayan karte hain ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Maine jannat mein jhanka toh us mein aksar log fuqara (gareeb) the aur maine jahannam mein jhanka toh us mein aksar aurte thi.”

Sahih al Bukhari, kitab badi al khalq ﴾59﴿. hadith- 3241.

۩ Aur is sabab ke mutalliq Nabi ﷺ se pucha gaya toh Aap ne woh bhi bayan farmaya hai. Abdullah ibn Abbas r.a. bayan karte hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: 'Mujhe aag dikhayi gayi toh main ne aaj jaisa khaufnak manzar kabhi nahi dekha aur maine jahannum me aksariyat aurton ko hi dekha hai. Toh sahaba kahne lage, aye Allah ke Rasool woh kyun? Toh Nabi ﷺ ne farmaya: Apne kufr ki wajah se. Toh Aap se yeh poocha gaya ki kya woh Allah taala ke sath kufr karti hain? Toh Nabi ﷺ ne farmaya, khawind aur ahsaan ( good treatment) ki nashukri karti hai, agar ap un mein se kisi ke sath zindagi bhar ahsaan karte raho toh fir woh ap se koi khilaaf e mizaaj cheez dekh le to yeh kahti hai ke maine saari zindagi tum se koi khair hi nahi payi.'

Sahih al Bukhari, kitab al kusuf ﴾16﴿, hadith- 1052.

۩ Abu Saeed khudri r.a. bayan karte hain ke Nabi ﷺ Eid ul azha ya eid ul fitr ke liye Eidgaah ki taraf nikle toh aurton ke paas se guzre, toh farmane lage: 'Aye aurton ki jamaat sadqa o khairaat kiya karo beshak mujhe dikhaya gaya hai ke tumhari jahannam mein aksariyat hai. Toh woh kahne lagi Aye Allah ke rasool woh kyun? Toh Nabi ﷺ ne farmaya, 'Tum laanat bahut karti ho aur khawind ki nafarmani karti ho. Maine Deen aur aqal mein naaqis tum se zyada koi nahi dekha. Tum mein se kuch ek ache bhale shakhs ki aqal kharab kar sakti ho.' Woh (aurte) kahne lagi, 'Aye Allah ke Rasool toh hamare deen aur hamari aqal mein nuqs kya hai?' Nabi ﷺ ne farmaya: 'Kya aurat ki gawaahi mard ki gawaahi ke nisf (aadhi) nahi?' Toh woh kahne lagi, 'kyu nahi!' toh nabi ﷺ ne farmaya toh ye uski aql ki kami hai. Aur kya jab kisi ko haiz aaye toh woh namaz aur roza nahi chorti? Toh woh kahne lagi, Ji Ha! Toh Nabi ﷺ ne farmaya, 'Ye uske Deen ka nuqsaan Hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al haiz ﴾6﴿, hadith- 304.

۩ Jabir bin Abdullah r.a. bayaan karte hai ke main Nabi ﷺ ke sath eid ke din namaz mein hazir tha toh Aap ne khutba se pahle bagair azaan aur Iqamat ke namaz padhayi, fir namaz ke baad Bilal r.a. par tek laga kar khade hue aur Allah taala ka taqwa ikhtiyar karne ka hukm diya aur uski itaat karne par ubhara aur logon ko waaz o naseehat ki fir aurton ke paas aaye aur unhe waaz o naseehat ki aur kahnay lage: Aye aurton! sadqa o khairaat kiya karo kyunke tumhari aksariyat jahannam ka indhan hai toh aurton ke darmiyan se ek siyah dhabbe ki rukhsaro (dark spot on cheeks) waali aurat uth kar kahne lagi, 'Aye Allah ke Rasool wo kyun?' Toh Nabi ﷺ ne farmaya: 'Isliye ke tum shikwa aur shikayat bohut zyada karti ho aur khawind ki nafarmani aur na-shukri karti ho.'
Jabir r.a. bayan karte hai ke fir wo log apne zewraat mein se sadqa ke liye apni anguthiyan aur baaliyan Bilal r.a. ke kapde mein daalne lagi.

Sahih Muslim, kitab salaat al eidain ﴾8﴿, hadees- 2048.

Isliye un musalman bahno par jo is hadees ko janti hai zaruri hai ke un ke muamlaat bhi sahabiyaat ki tarah hon ke jab unko iska ilm hua toh unhone khair aur bhalai ki, jo ke Allah taala ke hukm se unhein us aksariyat se dur le jayegi aur woh jahannum mein dakhil hone se bach jayengi.

To bahno ko hamari ye naseehat hai ke woh Islam ke shi'aar aur faraiz par amal karein aur khaas kar namaz padhe aur un cheezo se dur rahen jo ke Allah taala ne haraam ki hai khaas kar shirk se jo ke aurton ke andar mukhtalif suraton mein faila hua hai. Aur galat kaamo me mulawwis hone se bachna jaise Allah taala ke alawa dusro se haajat puri karwana aur jaadugaron aur najumiyo ke paas jana, chugal khori ya geebat karna, ya fir gair-mahram ke hatho se churi pahenna, wagaira.

Wa Allahu alam.
•٠•●●•٠•

Ham Allah ﷻ se dua karte hain ke wo hame aur hamare sab bahan-bhaiyo ko aag se dur kare aur aise qawl o amal karne ki taufeeq de jo Allah taala ke qareeb kare.