اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Feb 2019

Roze Ki Niyat

hi  -
Sawal: Barr e sagheer hind o pak me saher me roze ki niyyat is tarah ki jaati hai:
"Aye allah mai tere liye yaqini roze ki niyat karta hu mere agle aur pichle gunah muaf farmade."
Aur ye bhi kaha jata hai..
و بصوم غد نويت شهر (mai ramzan ke kal k roze ki niyat karta hu).
Mujhe is ke maani murad ka ilm nhi, lekin kya ye ye niyat karna sahih hai aur agar aisa karna sahih hai to ap se guzarish hai ke is ke maani ki wazahat kare ya fir quran o sunnah se sahih niyat bataye.
..........................

Alhamdulilah..

Koi bhi Ibadat chahe wo Roza ho ya Namaz, niyat ke bagair sahih nahi hai kyu ki Nabi ﷺ ka farman hai, “Aamaal ka daar o madaar niyat pe hai aur har shakhs ke liye wohi hai jo wo niyat karta hai.”

Sahih al Bukhari, kitab al wahee ﴾1﴿, hadith- 1. (source)

۩ Ibn Qudamah r.h. kahte hai,

“Agar roza Ramzan mein rakha ja raha hai ya Ramzan ke rozo ki qaza ya fir nazar aur kaffare ke farz roze rakhe ja rahe hai toh hamare Imam (Ahmed), Malik, aur Shafi r.h. ke nazdeek raat ko hi niyat karna laazmi hai, jab ke Imam Abu Hanifa r.h. kahte hai ke Ramzan ke roze ho ya koi aur irade ke roze, un ke liye din me bhi niyat karna kaafi hai.” end quote.

Al-Mughni (3/109).

Hadees ki roshni me Imam Ahmed, Malik aur Shafi ki raaye zyada mazbut hai.

۩ (Ummul Momineen) Hafsah r.a. kahti hai ki Nabi ﷺ ka Farman hai, “Jo shakhs tulu e Fajar se pahle roze ka irada na kare us ka roza nahi hai.”
Sunan Nasai, kitab al siyam, hadith- 2334. Is hadith ko Imam Ibn Khuzaymah aur Imam Ibn Hibbaan ne sahih aur marfoo karar diya hai. Sunan Tirmizi, hadith - 730.

۩ Sunan Nisaai ke Dusre hadith ke alfaz ye hai, “Jis ne raat hee me roze ki niyat na karli ho toh woh roza na rakhe.”

Sunan Nasai, kitab al siyam, hadith- 2336. [Sahih]

Hadees ke maani ye hai ke jo raat ko Roza rakhne ka irada aur niyat na kare us ka Roza nahi hai. Toh Isliye raat ko fajr se pahle niyat karni chahiye roze ki. Bil ittefaq se agar aankh na bhi khul payi shahri ke liye to hamare roze me fark nahi padega to behtar yahi hoga ki raat ko niyat kar li jaye.

۩ Sunan Tirmizi, hadith- 730 ke tahat, Imam Tirmizi farmate hai,

 “Is ka maane ahle ilm ke nazdeek sirf ye hai ki us ka roza nahi hota, jo ramzan me ya ramzan ki qaza me ya nazar ke roze me roze ki niyat tulu e fajr se pahle nahi karta. Agar us ne raat me niyat nahi ki toh us ka roza nahi hua, Albatta nawafil roze me us ke liye subah ho jane ke baad bhi roze ke niyat karna mubah hai. Yahi Shafi, Ahmad aur Ishhaq bin Rahawayhi ka qawl hai.” end quote.

۩ Mustaqil fatwa committee se sawal kiya gaya ke Insaan ko Ramzan me Roze ki niyat kis tarah karni chahiye?

To Jawab tha,

“Roze ki niyat roze ka iradah karne se hoti hai aur Ramzan me har raat ko Roza ki niyat karna zaruri hai.”

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 10/246.

۩ Kuch Ahle ilm kahte hai:

Lagataar aur dohraaye jaane wale ibadat ke amal me ye kaafi hai  ki wo ibadat ke shuru me hi niyat karle jab tak ke wo kisi wajah se us amal ko karne se ruk jaye, (aur agar wo aesa karta hai) toh use firse niyat karni padegi. Is bunyad par agar insan ramzan ke pahle din ye niyat karta hai ki wo is maheene ka pura roza rakhega to ye niyat uske liye pure mahine ki taraf se kafi hai jab tak ki koi uzr pesh na aa jaye jis se uski jaari amal me rukawat aajaye jaise ki agar wo Ramzan ke maheene ke dauran safar par chala jaye, toh jab wo wapas ayega toh uske upar naye sire se roze ki niyat karni zaruri hoga.”

Dekhe: Al-Sharh Al-Mumti’, 6/369-370.

Toh isse pata chala ki agar kisi shaks ne ramzan ke shuru me hi niyat karli hai muqammal roze rakhne ke toh use har raat niyat karne ki zarurat nahi hai.

Aur ye baat bhi jaan liya jaye ki niyat ka matlab Dil ka iradah hota hai. Hamare muashre me log niyat se murad zuban se niyat ko bolna samajhte hai. Aesa nahi hai. Niyat ka talluq dil se hai jo ek qalbi amal hai. Is ka zuban se koi talluq nahi hai. Is liye Musalman ko dil se irada karna chahiye ke wo Roza rakhega. Aesa nahi hai ke wo zuban se ye kahe ke 'main Roze ki niyyat karta hu' ya is tarah ke dusre alfaz jo logo ne ejaad kar rakhe hai. Ye sab deen me nayi-nayi baate hai jinse har musalman ko Allah ki panah mangni chahiye kyuki RasoolAllah ﷺ ne farmaya tha ki Deen me nayi nayi baate ejaad karne se bachna [Tirmidhee (2676)].

Toh sahih tareeqa ye hai ke insaan dil se irada kare ke wo Roza rakhega.

Roza me niyyat ke alfaz na to RasoolAllah ﷺ ne ada kiya tha na hi sahaba ne. Is alfaz ko baad me ijaad kiya gaya tha.

Wo Alfaz kuch aese hai: 

"Wa bisawmi ghadinn nawaiytu min shahri ramadan"
Tarjuma: "Mai ramzan ke kal ke roze ki niyat karta hu"

Ab jis shaks ne bhi ye dua banayi hai us ko itna bhi nahi pata tha ki Islam me Din ko Allah kaise badalta hai. Islamic shariyat me raat pahle aati hai aur din baad me, isi liye jab Ramzan shuru hota hai tab ham Taraweeh pahle padhte hai aur roza baad me rakhte hai. Arabic me guzre hue kal ko al 'Ams' kahte hai, Aj ke din ko 'al Yaum' aur aane wale kal ko 'Gadan' kahte hai jo ki is niyat ke alfaz me hai. Is niyat ke tarjume ke mutabik wo us din ki nahi jis din wo niyat ke alfaz bolta hai balki wo us ke agle din roze rakhne ki ki niyat karta hai. Deeni lihaz se to ye galat hai hi sath me magrabi ya dunyawi lihaz se bhi galat hai kyuki magrabi lihaz se 12 baje hi din badal jata hai aur ham shehri 12 baje ke baad karte hai. To ye deeni aur dunyawi dono lihaz se galat hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame hamare Rasool ke tarike par har ibadat karne ki taufeek de aur gair tariko se mahfooz rakhe. aameen.