اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Mar 2019

Is Ummat Ke Gareeb

hi   -
Allah ﷻ farmate hai,

Har jaan ko maut ka maza chakhna hai aur qayamat ke din tum apne badle pure pure diye jaoge, pas jo shaks aag se hata diya jaaye aur jannat me daakhil kar diya jaaye, be-shak wo kamyaab ho gaya aur dunya ki zindagi to sirf dhoke ka sauda hai.

Surah aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 185.

Aakhir kaar jab wo kaan bahre kar dene wali aawaaz buland hogi. Us din aadmi apne bhai se aur apni maa aur apne baap se. Aur apni biwi aur apni aulaad se bhagega. Un maise se har shaks par us din aesa waqt aa padega ke use apne siwa kisi ka hosh na hoga.

Surah Abasa ﴾80﴿, ayat- 34-37.

RasoolAllah ﷺ ne hame is ummat ke gareeb ya diwaliya (bankrupt) ki sifat batayi hai,

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.
Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of knship ﴾45﴿, hadith- 6579.

Isi liye RasoolAllah ﷺ ne hame ek faydeman aur khubsurat naseehat ki hai:

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Agar kisi shaks ka zulm kisi dusre ki izzat par ho ya kisi tarike (se zulm kiya ho) toh aaj hi, us din ke aane se pahle muaf kara lo, jis din na (toh) deenar honge, na dirham, balki agar us ka koi nek amal hoga toh us ke zulm ke badle me wahi le liya jayega aur agar koi nek amal us ke paas nahi hoga toh us (mazlum) ki buraiya us par daal di jayengi.”

Sahih al Bukhari,  Book of oppressions ﴾46﴿, hadith- 2449.

Isi mauzu se mutallik, RasoolAllah ne qayamat ke din aane wale ek dusre shaks ka zikr kiya hai.

۩ Saubaan r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai apni Ummat me se aese logo ko janta hu jo qayamat ke din Tihamah ke pahado ke barabar nekiya le kar ayenge. Allah ta'la in (nekiyo) ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega.
Saubaan r.a. ne arz kiya, Allah ke Rasool! un logo ka haal ham se bayan farmaye aur khol kar bayan farmaye taakeh la-ilmi aur jahalat ke wajah se ham un me se na ho jaye.
Aap ﷺ ne farmaya, “Jaan lo wo tumhare bhaiyo mai se hi hai, aur tumhari qaum mai se hi, wo bhi raato ko isi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho, lekin wo aese log hai ke jab tanhaai me honge toh haraam kaamo ka irtikaab karenge.”

Sunan ibn Majah, kitab al Zuhd ﴾37﴿, hadith- 4245. Is hadees ko Buwaysari ne Misbaah al-Zujaajah (4/246) me sahih karaar diya hai.

۩ Ibn Hajar al-Haythami is hadees ke talluk se farmate hai, “Upari taur par nek hone ka dikhawa karna aur Allah ke muqaddas hudud ko todna; akele me gunah e sageera (chota gunah) karne ko kuch bada samjha jata hai, (aur fir inhone ek hadees ko daleel bana kar kaha hai) Ek shaks jisko nek banne ka dikhawa karne ki adat ho aur apni buri chizo ko chupane ki, ye musalmano ko zyada nuksan aur gumrah karti hai, kyuki uske paas na neki hai aur na hi Allah ka khauf.” End quote.

Al-Zawaajir (3/49).

Aur isi tarha RasoolAllah ﷺ ne hame ek teesre kism ke logo ka amal bataya hai jo akhirat me barbaad ho jayega:

۩ Natil ne Abu Hurairah r.a. se kaha, Aye Shaykh! Mujhe aisi hadees sunaye jo ap ne RasoolAllah ﷺ se suni ho.
Abu Hurairah r.a. ne kaha: Haan, Mai ne Rasool ﷺ ko yeh farmate hue suna: “Qayamat ke roz sab se pahla shakhs jis ke khilaaf faisla aeyega, woh hoga jise shaheed kar diya gaya. Use pesh kiya jayega. Allah taala use apni (ata kardah) nemat ki pahchan karayega toh woh use pahchan lega. Woh (Allah) puchenge tum ne is nemat ke sath kya kiya?
Woh kahega: Mai ne Ap ki raah me ladayi ki hatta ke mujhe shaheed kar diya gaya.
(Allah taala) farmayega, tum ne jhoot bola. Tum is liye lade the ke kaha jaye: yeh (shakhs) bahadur sipahi hai. Aur yahi kaha gaya, fir is ke bare me hukum diya jayega toh is aadmi ko munh ke bal ghasita jayega yahan tak ke aag mein daal diya jayega.

Fir woh aadmi jis ne Ilm padha, padhaya aur Quran ki qirat ki, use pesh kiya jayega. (Allah taala) use apni nematon ki pahchan karayenga, woh pahchan kar lega, (Allah) farmayenge: Tum ne un nematon ke sath kya kiya? Woh kahega: Maine ilm padha aur padhaya aur teri khatir Quran ki qirat ki, (Allah) farmayega: Tum ne jhut bola, tum ne is liye Ilm padha ke kaha jaye (yeh) aalim hai aur tum ne Quran is liye padha ke kaha jaye: yeh qaari hai, (aur) woh kaha gaya, fir is ke bare me hukum diya jayega, use munh ke bal ghasita jayega hatta ke aag me daal diya jayega.

Fir woh aadmi jis par Allah ne wusat ki aur har qism ka maal ata kiya, use laya jayega. Allah taala use apni nematon ki pahchan karayenge, woh pahchan lega. Allah farmayenge: Tum ne un me kya kiya? (wo) kahega: Maine koi raah nahi chori jis (raah) me apko pasand hai ke maal kharch kiya jaye magar har aisi raah me kharch kiya. Allah farmayenge: Tum ne jhoot bola hai, tum ne (yeh sab) is liye kiya taake kaha jaye, woh sakhi hai, (aur) aisa hi kaha gaya, fir is ke bare mein hukum diya jayega, to ise munh ke bal ghasita jayega, fir aag mein daal diya jayega.

Sahih Muslim, book on government ﴾33﴿, hadith- 4923.

•٠•●●•٠•

Allahumma ajirni minan naar. aameen.