اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Maa Baap Ki Itaat Allah Aur Uske Rasool Ke Baad


Allah pak Quran me boht se jagah apne hukuk ke fauran baad walidain ke hukuk ki baat karte hai. Allah swt farmate hai

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap me se ek ya dono budhi umr par pahoch jaye toh unhe uff tak na kahna aur na hi unse jhirag ke baat karna lekin unse husne suluk ke saath pesh aana aur ye dua karna ki Aye hamare Rab hamare maa baap par raham kar jis tarah inhone rahmat o shafqat ke sath mujhe bachpan me paala tha.

Surah Isra ﴾17﴿, ayat- 23-24.

Aur jab hum ne bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook karna ...

[Quran 2:83].

Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero...

[Quran 4:36].

Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath bhalai karo.

[Quran 6:151].

Lekin sath me Allah pak ne ye bhi batlaya hai ki agar Allah ke hukm aur walidain ke hukm me Takraao ho to Allah ka hukm manna chaiye. Allah pak farmate hai:

Hum ne her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh kosish keren kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka aap ko ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna meri hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay thay tumhen khabar doon ga.

[Quran 29:8 and 46:15].
Read More »

Hazrat Abu Hurairah r.a. Ki Waleda Ka Qubool E Islam


Abu Hurairah r.a. Ki Waleda Islam nahin laayi thi , Abu Hurairah r.a. Waleda ko Islam ki Dawat dete to woh Inkar kar deti, Ek Din Abu Hurairah r.a. ne Waleda se Israr Kiya ke Islam Qaubool karlein is per Gusse main Aakar Waleda ne Rasool ﷺ ko bura bhala keh diya.

Abu Hurairah r.a. Bahot ranjeeda hue aur rote rote Rasool ﷺ ki khidmat Main gaye aur Arz ki : Aiy Allah ke Rasool ﷺ Main Apni Waleda ko Islam ki dawat deta rehta hoon aur woh inkar karti rehti hain , aaj fir mene unhe Islam ki taraf bulaya to unhone Aap ke baare main ghalat baatein kahin , Aiy Allah ke Rasool ﷺ Allaah se Dua kijiye Woh Umme Abu Hurairah r.a. ko Islam ki Hidayat de,

Rasool ﷺ Ne unke Liye Dua ki, Abu Hurairah r.a. ghar Wapas Aaye Darwaza kholna chah to wo band tha Dastak dene per waleda Ne Darwaza khola aur sath hi kaha : Ash hadu Anna Laa ILAHA ILLALLAHU Wa Ash Hadu Anna Mohammed ur Rasool Allah

Abu Hurairah r.a. ne yeh kalmaat waleda ki zuban se sune to foran Wapas Rasool ﷺ ki khidmat main hazir hue, unki aankhon main Khushi ke aansoo they unhone kaha : Aiy Allah ke Rasool ﷺ khush ho jaiye Allah ne aapki Dua Qubool karli hai.

Abu Hurairah r.a. ne Arz ki: Aiy Allaah ke Rasool ﷺ Allah se Dua Kijiye ke woh apne momin bando ke dilon main meri aur meri waleda ki mohabbat daalde aur unhe hamare liye mehboob bana de ,

Rasool Allah ﷺ ne Dua ki: Aiy Allah  apne is pyare bande aur iski waleda ko apne momin bando ka mahboob bana de aur momino ki mohabbat inke dilon main daal de "

Sahih Muslim, hadith-2491.
Read More »

Jahez- Ek Islami Nazarya


Lafz "jahez" Arabi lafz h jiske m'aani h tayyari karna, jis tarah Surah Yousuf me hai "Wa lamma Jahazahum bi jihazihim" aur jb unho ne unke liye samaan tayyar rakha.

Goya "jahez" tayyari ko kehte h aur yeh shadi par jayiz hai lakin yeh jahez ladke ke zimmah hai kyunki shadi ki saari tayyari ussi ko karni hoti h, jis tarah Nabi saw ne Ali r.a. ki zirah bech kar us se Ali r.a. ke liye tayyari ki jis ko jahez kehte hai aur yeh shar'ii jahez h.

LEKIN jis ko barr e sageer me jahez kehte hai woh yeh hai ki Ladki apne ghar se woh samaan tayyar kar k lati hai jis ke liye ladke walo ki taraf se pehle hi list diya gaya hota h lakin iski sharyat me koi hasiyat nahi aur yeh ladke ki begairti ka saboot hai aur hinduwo se mushabihat hai kyunki Hindu isse hi Kanya-daan kehte h...

Qurani Aayat Aur Ahadees Se Wazeh Hota Hai Ki Shadi Ek Sadgi Ka Naam Hai Shadi Se Muashra Sudharta Hai Do Khandan Aabad Hote Hain, Nayi Nasl Ki Shuruat Hoti Hai. Aur Aisi Koi Aayat Nahi hai aur Na Hi Hadees Hai Jisme Hai Ke Ladki Ko Dahej Dena Chahiye Sare Dalail Yehi Kar Keh Rahe Hain Ki Ladke Ko Mahr Dena Chahiye Allah Ka Farman Bhi Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ka Qaul Bhi Aur Sahaba Ikram Ki Jamat Bhi.

Allah SWT ka farman hai-

Mard Aurat per haakim hai,Isliye ke ALLAH SWT ne ek ko dusre per fazilat di hai,aur iss wajah se ke mardo ne apne maal kharch kiye hain.[Surah Nisa 34]

Aur ek jagah farmaya-

Aur Aurton ko unke Maher raazi khushi dedO.[Surah Nisa 4]

Aur Farmaya-

Aur jO kuch tum unhe de chuke ho Usme se kuch bhi wapas lena tumhare liye Halal nahi.

[Tafseer Ibne Kaseer 1/474]

Sheikh Abdullah Bin Qaud kahte hain-

Maher lena biwi ka haqq hai,isse muqarrar karna wajib aur zaruri hai,Biwi aur Iske ghar walO per kOi chiz dena wajib nahi Lekin agar wo khushi se dena chahe to unki marzi.

Inn ayaton se ye zahir hOta hai ke mard aurat ko Maher ada krega nake aurat Mard ko.

Ab ahem muazu ki taraf aate hain Islam me dahej ki kya haqeeqat hai kya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hamare Nabi hain rasul hain rehnuma hain qudwa hain ideal hain unki pairvi se hi jannat milsakti hai unki itaat se hi Allah razi hota hai to kya unhone dahej liya Allah ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ne 11 shadian ki kisi ek se bhi apne dahej liye gaur Karen doston agar kisi k paas koi daleel hai to pesh Karen aur apke baad apke sahaba khulafaye rashideen ne bhi ek se zyada shadian ki kisi ne dahej liye nahi aap puri tareeq utha kar dekhen aur unhone apni betion ki bhi shadian ki ya kisi ko dahej diye Allah ke liye gaur Karen sochen apni islah Karen, muashre ki islah Karen.

Ab Aayiye Us Baat Ki Taraf Jo Ye Jhoota Dawa Karte Hain Aur Isse Hi Samaj Me Bigad Phaila Jahez Ka…. Wo Ye Ke Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ne Hazrat Fatima R.A Ko Jahez Diya, Ye Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Par Tohmat Hai Aur Isko Darr Na Chahiye Allah Se Uske Azaab Se Aur Loog Jo Is Wahem Me Mubtila Hain Unko Tahqeeq Karna Chahiye Andhi Taqleed Gumrahi Hai, Is Haqeeqat Par Nazar Dalte Hain... Hadees Is Tarah Se Hai:

Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ke Paas Abu Bakar Siddiqe R.A, Umar Farooq R.A, Usman Gani R.A Aate Hain Aur Ali R.A Ke Nikah Ke Bare Me Baat Rakhte Hain Aur Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Puchte Hain Kya Ali Razi Hain To Kehte Hain Haan Wo Razi Hain. To Phir Baat Tai Huyi Jab Hazrat Ali R.A Samne Aaye To Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ne Pucha Ali Apke Paas Fatima Ko Dene ke liye Maher Me Kya Hai To Ali R.A Kehte Hain Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Main To Bachpan Se Apke Paas Raha Hun Mere Paas To Kuch Bhi Nahi Haan Jung E Badar Me Ye Zira Mujhe Mili Thi Ek Talwar Aur Dhal To Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam ne Kaha Talwar Aur Dhal To Kaam Aayegi Isko Rakhlo Aur Ye Zira Bech Kar Iski Keemat Leke Aau Yehi Apka Maher Hoga Aur Ussi Se Apka Nikah Hoga, Phir Ali R.A Gaye Bechne Usman R.A K Paas Wo Us Zira Ko Khareed Liye 400 Dinar Me Phir Unse Kaha Kya Ab Main Is Zira Ko Kise Bhi Dedun Ali R.A Ne Kaha Ab Ye Apka Hai Aap Jo Chahen Karen To Usman R.A Ne Ali Ko Hi Wo Tohfeh Me Dedi Phir Ali R.A Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Jakar Sab Bayan Kiye Phir Aapne Unse Wo Paise Lekar Unka Maher Tai Kiya Aur Ussi Paison Se Do Chakhiyan Lin, Ek Chatai Li, Aur Ek Sahabi K Makan Me Apka Intezam Kiya Aur Kuch Khane Pakane Ki Cheezon Ko Bhi Apne Kharid Kar Diya Wo Isliye Ke Ali R.A Shuru Se Hi Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam K Paas Rehte The To Unke Paas Koi Saman Nahi Tha To Inhi Ki Zira Bech Kar Inhi Ke Paison Me Se Liya Gaya Hai…. Subhan Allah

Referrence : Tabqat Ibn Saad, Al Jalalain, Tariq Ul Tabri, Ibn Hisham, Sahi Muslim Aur Sahi Bukhari (Baab Al Nikah Me Puri Tafseel Maujood Hai )

to Iski asal shakal ye hai jise tod madod kr pesh karke Jahez ko saabit kiya jata hai.

ALLAH SWT Hum sabko Sunnato per chalne ki tOufeeq ata farmaye.Aur Kahne Sunne se zyada Amal karne ki Toufiq ata farmaye.

Ameen Ya Rabbul Aalameen-

•٠•●●•٠•

Prepared by:- A.Sayed
Read More »

Quran Majeed Me Nazr Ka Bayaan


Isko Arabic zuban me Nazr, faarsi me Niyaaz, aur urdu me Mannat kahte hai.

Qur'an majeed ki 5 ayaton me nazar ka charcha huwa hai

1- "Tumne jo kuch bhi kharch kiya ho aur jo kuch bhi nazr maani, allah ko uska ilm hai aur zaalimon ka koi madadgaar nahi"

(Baqarah 270)

Tashrih: Yaani kharch chaahe Allah ki raah ya shaitaan ki raah me ho aur nazar chaahe Allah ki raah me maani ho ya Allah ke elaawa kisi dusre ke liye, dono sooraton me insaan ki niyat aur use kaam ko Allah bakhoobi jaanta hai, jin logon ne Allah ke liye kharch kiya hoga aur uske liye nazr maani hogi wah uska sawaab paayege..

Aur jin zaalimon ne shaitaani raahon me kharch kiya hoga aur Allah ko chhod kar dusre ke liye nazaren maani hogi ,unko Allah ke azaab se bachane waala koi madadgaar nahi....

2- "Jab imran ki aurat ne kaha ki mere Parwardigaar main us bacche ko jo mere pait(stomach) me hai teri nazr karti hun wah tere hi kaam ke liye qurbaan hoga meri is nazr ko kubool kar tu sunne waala aur jaanne waala hai"

(Aal e Imran 25)

Tashrih: yani hazrat Imran ki wife ne ummeed ke dinon me yah iqraar kiya aiy mere Allah! Main apne paida hone waale bacche ko tere deen ki khidmat ke liye qurban karne ki mannat maangti hun..

3- "Hazrat Maryam ko Allah paak ne farmaya pas tu kha aur pee aur apni aankhen thandi kar phir agar koi insaan tujhe dikhaayi de to usse kah de ki maine Allah ke liye roze ki nazar maani hai, isliye aaj main kisi se baat na karungi"

(Maryam 26)

Tashrih: Allah paak ne huqm diya ki aiy Maryam! Agar koi insan tujhe dikhaayi de to usse baat na karo balki ishaare se samjhaao ki maine Allah ke liye aaj khamosh karne ki mannat maani hai...

4- "Fir wah hajj karne waale apna mail Kuchail(gandagi) door kare aur apni nazaren poori karen aur is puraane ghar ka tawaaf karen"

(al Hajj 29)

5- "(Nek log wo hai) jo apni nazaren poori karte hai aur us din se darte hain jiski buraayi faili hai"

(Dahar 7)

Qur'an majeed ki in ayaton se saabit huwa ki Allah ke bande usi ki nazar maante hai aur dusre ke naam ki nazar nahi maante......

Zaroorat puri karne waali Sirf Allah ki zaat hai, isliye Allah ke siwa kisi dusre ke naam par sadqa wa khairaat karna aur nazar-o-niyaaz dena khula shirk hai, jaise " 11wi ki niyaaz" , imam zaafar ke kunde, bibi ji ka sahnak, shaheedon ki sabeel, hz hussain ra ka khichda, shah madaar ka murga, bari imam ka bakra, haji ghaib ki chaadar etc.

Prepared by:- A.Sayed
Read More »

Gyarwi Shareef ki Sharai Haisiyat


Gyarwi alfaz ek urdu alfaz hai jiska matlab gyara hota hai. Aur isse murad Qamri gyara tarikh hai. Giyarwee Shareef ek khas isale sawab hai Sheikh Abdul Qaadir Jilani (alaihir rahmah) ke liye. Aur kuch bhaiyo ka kahna ye bhi hai ki ham is din Sayyiduna Sheikh Abdul Qaadir Jilani (alaihir rahmah) ko yaad karte hai. Aiye dekhte hai iski kya sharai haisiyat hai Quran wa sunnah me aur Sheikh Abdul Qaadir Jilani (alaihir rahmah) ki amalan zindagi me.

۞ Quran

Agar ap Quran padhenge to apko  pata chalega ki Quran ki koi ayat nahi jo kahti hai ki ek Muslim ko ghyarwi shareef manana chaiye.

۞ Sunnah

Agar ap Hadiths padhenge to apko malum padega ki koi bhi aisi riwayat nahi hai chahe wo zaif ya maudu hi kyu na ho jisme likha hai ki ek Muslim ko ghyarwi shareef manani chaiye.

۞ Char Imam (4 Imams)

Agar ap 4 Imam ki zindagi ka tazkiya karenge to apko ya malum hoga ki 4 imam maise koi bhi Imam nahi the jinhone Giyarwee Shareef manaya ya manane ka Hukm diya ho.

۞ Sheikh Abdul Qaadir Jilani (raheemullah)

Agar ap Sheikh Abdul Qaadir Jilani (raheemullah) ki zindagi ka mutalla karenge to apko pate chalega ki Sheikh ne kabhi bhi Giyaewee Shareef nahi manaya na hi unhone hukm diya ho ki mere wafat ke baad manana.

Balki Sheikh ne deen me nayi chiz paida karne ko mana kiya tha jo ki aksar Sheikh ke mureed bhul chuke hai:

Sheikh farmate hai  “Tumhare upar Ittibaa lazim hai aur nayi chiz ijaad karna nahi aur tumpar salaf as saaleh ke mazhab (tarike) par amal karna lazim hai aur wahi sidha rasta hai jo tumhe apnana chaiye.”
Al-Fath ur-Rabbaanee (p.35).

Aur jo ahle aql ho unko yaad diladu ki Islam me sirf do hi tewhaar(Festival) hai:

أَخْبَرَنَا عَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ، قَالَ أَنْبَأَنَا إِسْمَاعِيلُ، قَالَ حَدَّثَنَا حُمَيْدٌ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ كَانَ لأَهْلِ الْجَاهِلِيَّةِ يَوْمَانِ فِي كُلِّ سَنَةٍ يَلْعَبُونَ فِيهِمَا فَلَمَّا قَدِمَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم الْمَدِينَةَ قَالَ ‏ "‏ كَانَ لَكُمْ يَوْمَانِ تَلْعَبُونَ فِيهِمَا وَقَدْ أَبْدَلَكُمُ اللَّهُ بِهِمَا خَيْرًا مِنْهُمَا يَوْمَ الْفِطْرِ وَيَوْمَ الأَضْحَى ‏"‏

Anas bin Malik riwayat karte hai ki:

"Jahilliyah ke logo har saal do din khelte the. Jab RasoolAllah s.a.w Al-Madinah aye to unhone kaha: Tumlogo ke pass do din tha jisme tum khelte the, lekin Allah swt ne Muslims ko isse behtar kuch diya hai: Al-Fitr aur Al-Adha ke din."Sunan an-Nasa'i- 1556.

Kuch log kahte hai ki Isme burai hi kya hai. Ham auliya Allah ko yaad hi karte hai aur unko eesal e sawab karte hai. Ye sab neki ke kaam hai. Un ke jawab ke liye Allah ke Rasool ki ek hadith hi kafi hai:

Mohammad ﷺ ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

Is hadith se hame ya pata chala ki jo Amal hume ALLAH ke nazdik lejasake wo Allah ke Rasool ﷺ ne hama bata diya hai. Agar ham koi amal karte hai jiski Dalail Quran wa sunnah me na ho to wo amal hame Allah ke nazdik nahi kar sakti wo kyu na Kitna bhi nek amal ho. Isiliye Rasool ke sahabi Abdullah Ibn UMar(RA) farmate hai:

“TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.

SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138). 

Gyarvi Sharif Ki Niyaz Karnewalo ko samajhna chaiye ki Kya Woh Apne Peer Ke Tariqe Par Hai??? Agar Sheikh Abdul Qadir ne is tarike se eesal e sawab nahi kiya na hi aisa koi din ko khas kiya to ham aisa kar ke kya sabit karna chahte hai??? Kya ham Sheikh se zyada Islam jante hai??? Aur Sheikh ko ek hi din kyu yaad karna?? Hame to har din unke Islam ki Taalimaat ko aam karna chaiye. Sachhi Mohabbat ek din ki nahi hoti.

•٠•●●•٠•

Related Article:- SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (raheemullah) KA AQEEDAH
Read More »