اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Jan 2018

Achha Akhlaq - Deen Ki Ek Nayab Chiz


Ek accha akhlaq wo chiz hai jise hamare Deen ne sabse zyada pasand kiya hai. Is chiz ki bar-bar quran aur sunnat ne yad-dhihani karayi hai. Is chiz ko Allah pak ne hamare Deen ka ek maqsad banaya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai sirf isliye bheja gaya hu taaki mai acche akhlaq ko kamil (perfect) kardu.”

Al adab al-mufrad, hadith- 273. [Sahih]

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ  se ye pucha gaya ki wo kaun si chiz hai hai jo sabse zyada logo ko jannat me dakhil karwaegi? To Rasoolallah ﷺ ne farmaya, Allah ka khauf aur achha akhlaq.

Jamia Tirmizi, hadith- 2004. Imam Tirmizi ne ise saheeh gareeb karar diya hai.

۩ Allah pak farmate hai,

"Qad aflaha man tazakka"

"Jis ne apne apko pakeeza kar liya, wohi falaah payega"

Quran, 87:14.

Aur isme khas taur par dilo aur nafs ki pakeezgi ki baat ho rahi hai. Nafrat, jhagda, bughz, fasaad, ilzam-tarashi se pak hona.

۩ Rasool ﷺ achhe akhlaq ke liye dua bhi manga karte the ye kah kar "Aye Allah tune mere bahari-shakl ko khubsurat banaya hai toh mere akhlaq ko bhi achha kar de."

Sahih ibn Hibban (3/239). Ise Shaykh Albani ne Irwa’ al-ghaleel (75) me sahih karaar diya hai.

۩ Quran kahta hai ki RasoolAllah ﷺ hamare liye ek behtareen misaal hai (quran, 33:21). Allah ta'la Rasool ﷺ ko mukhatib hokar farmate hai,

“Aur beshak, Aap akhlaq ke buland darje par fa'iz hai”.

Quran, 68:4.

۩ Masruq riwayat karte hai, ham Abdullah bin Amr r.a. ke sath baithe hue the jo hame hadees suna rahe the. Unhone kaha Allah ke Rasool ﷺ na to fahish the aur na hi mutafahhish, aur wo (RasoolAllah) kaha karte the ki tum maise sabse behtareen wo hai jo akhlaq me sabse achha ho.

Sahih al-bukhari, kitab ul adab, hadith- 6035.

۩ Amr ibn shu'ayb riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, “Kya mai tumhe batau ki tum maise mai sabse zyada kisse muhabbat karta hu aur jo qayamat me mere se sabse zyada nazdeek baithega? Log khamosh the isliye huzur ﷺ ne ye baat do ya teen martaba dohraya. Fir logo ne kaha, "Ha RasoolAllah". Toh ap ﷺ ne farmaya, "Tum maise jo akhlaq me sabse behtar ho.”

Al adab al mufrad, hadith- 272. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Kya mai tumhe aese logo ki khabar na du jo jahannam ki aag par ya jahannam ki aag un par haraam hai?
Jahannam ki aag logo ke kareeb rahne waale, aasani karne wale, aur naram akhlaq waale par haraam hai.”

Jamia Tirmizi, hadith- 2488, chapters on the description of the day of judgement, ar-riqaq, and al-wara' ﴾37﴿. Ise imam tirmizi ne hasan gareeb karar diya hai.

۩ Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.

Al adab al mufrad, hadith- 277. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, ek shaks jise acche akhlaq ke liye jana jata hai uska wahi martaba hai jaise koi shaks raat ko namaz me khada rahta ho.

Al adab al mufrad, hadith- 284. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

Ye hai hamare deen me akhlaq ki ahmiya jo hamari aksar ummat bhula chuki hai.

Hamare sahaba aur salaf ka akhlaq bhi buland martabe par tha. Imam Bukhari ne toh 'al adab al mufrad' naam ki ek puri hadith ki kitab hi likh di jisme unhone sirf akhlaq ke upar hadeeso ko jama kiya hai.

Ek baat aur gaur kare ki akhlaq ka matlab sirf 'ji, janab' se baat karna nahi hota hai balki har amal me aklaq ka hona zaruri hai. Aur Imam Bukhari ki us kitab me har mahol aur amal me kaisa akhlaq hona chaiye is par raushni dali gai hai hadeeso ke zarye.

Islah ke dauran achhe akhlaq ko banaye rakhna ye boht zaruri hai. Ap kisi se bugz rakhte hai, ap kisi ke upar ilzam-tarashi karte hai, ap ikhtilaf ki surat me gandi zuban istemal karte hai, ye sab bure akhlaq hai. Agar apke andar ye sab maujud hai to apko khud ko tassubaat se paak karna hoga. Ye sab tassubaat aur taqabbur ki alamat hai. 

Insan ke akhlaq aur kirdar ka asal imtehan hi ye hai ki wo is ikhtilaf ko kaise bardash karta hai aur apne se alag raaye (opinion) rakhne walo ke liye wo kaisa rawayya ikhtiyar karta hai! Badkismati se hamare muashre mein logo ko ikhtilaf bardasht karne ki taaleem nahi di jaati! Jis mahol, jis firke, jis mazhab, jin riwayato me ham pale-bade hote hum uske khilaf ek lafz sunna bhi bardasht nahi karte! Hum sirf apne mazhab, apne firke, apni riwayat ko hi durust samjhte hai! Ye baat ek achhe akhlaq ke khilaf hai. Yahi wo rawayya hai jiski quran aur sunnat jagah jagah mukhalifat karta hai!

Aur akhir me mai ye kahna chahta hu ki hamara ye farz hai ki ham nabi ﷺ ke akhlaq ko apnaye. Agar hamne apni akhlaqi pakeezgi ki islah nahi ki to hamne islam ke sabse bade maqsad me naqamyabi hasil ki aur iska ehsaas hame qayamat me hoga.

۩ Abu ad-Dardh riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, “Qayamat ke din momin ke liye sabse bhari chiz jo (aamaal ke) tarazu me tauli jaegi wo uska akhlaq hoga.”

Jamia Tirmizi, chapters on righteousness and maintaining good relations with relatives, hadith- 2002. Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.

Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of kinship ﴾45﴿, hadith- 6579.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamare akhlaq ko behtar kare. aameen.

Recommended Articles:
Read More »

16 Jan 2018

Sabr Ki Fazilat Aur Ahmiyat

۝  Quran

Allah ﷻ farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ

Aye Eemaan walo ! Sabr aur Namaz ke zarye madad mango. Beshak, Allah sabr karne walo ke sath hai.

Surah Baqara, Ayat 153.

۩ Sabr karne waalon ko unki mazdoori be-hisaab milegi.

Surah Az-Zumar, Ayat 10.

۩ Aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge.

Surah Daher, Ayat 12.

۩ Aur Allah sabr karne waalon se Muhabbat karta hai.

Surah Aal e Imran, Ayat 146.

Saabiron ke liye nek anjam aur behtareen thikaana hai, Qayamat ke din unka shumar muttaqiyon me hoga. Allah taala ka farman hai,

"Jo Tang'Dasti, Dukh, Dard aur Ladaayi ke waqt sabr kare, yahi sacche log hain aur yahi parhezgaar hai."

Surah Baqarah, Ayat 177.

۝  Sunnah 

Rasool Allah ﷺ ne farmaya ki Momin ka ajab (boht achha) haal hai ke jab Allah usey nemat bakshta hai to wo shukr karta hai aur ispe isko sawab milta hai aur jab Allah use aazmata hai aur uspe taklif dalta hai tab wo sabr karta hai aur ispe bhi isko sawab milta hai.

Sahih Muslim, The Book of Zuhd and Softening of Hearts, Hadith -7138.

Hazrat Syedna Abu Umamah r.a. farmate hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke Allah subhanahu wa ta'aala farmate hai, "Aye Ibn e Aadam ! Agar tu sadmein (grief, sorrow) ke shuru me Sabr kare aur sawab ki niyat rakhe to Mai tere liye Jannat se kam ajar pasand nahi karunga.

Sunan Ibn Majah, Kitab al Janaiz, Hadith-1597. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai.

۝  Faidah

In Qurani ayaton aur Hadeeso me jahan Sabr ki fazilat hai waha Sadme ke shuru ke waqt sabr ki takeed (emphasis) bhi hai kyu ki Sabr to Sadme ke shuru hi me hai kyu ki Ek na ek din to sabko hi sabr aajata hai.

Sabir apne sabr ke badle nihayat azeem aur na khatm hone wale inaam ka badla payenge.

Haqiqat toh ye hai ke sabr momin ki shaan hai, kya hi khus-kismat hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur Rab se ajar haasil karte rahte hain. Museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke alawa, basa awqaat duniya me bhi uska badla mil jaata hai.

Jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, woh Allah ka muqarrab banda ban jaata hai, use hamesha ki aakhirat me aisa maqaam wa martaba hasil hoga jise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi.

•٠•●●•٠•

Aye Allah hum sabko Sadme ke agaaz me Sabr karne ki taufeeq dein. Aameen.
Read More »

14 Jan 2018

Isha Ki Namaz Aur Nabi ﷺ Ka Tarika


۩ Abu Barzah al Aslami r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ Isha der se padhna pasand farmate the, aur is se pahle sone aur is ke baad baat-cheet karne ko napasand karte the.

Sunan Ibn Majah, kitab us Salaat, hadees- 701, Sahih (Darussalaam).

۩ Aisha r.a. riwayat karti hai ki Rasoolullah ﷺ Isha ke pahle sote nahi the aur Isha ke baad jaagte na the.

Sunan Ibn Majah, kitab us Salaat, hadees- 702, Hasan (Darussalaam).

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham sab ko Huzur ﷺ ke nakshqadam par chalaye. aameen.
Read More »

11 Jan 2018

Kya Libas Tabdeel Karne Se Wuzu Tut Jata Hai ?


Kya Libaas Tabdeel Karne Se Mera Wuzu Toot Jayega? Aur Kya Mard Aur Aurat Ke Ma-baen Is Hukm Mein Koi Farq Hai ?

Agar Koi Shakhs Taharat Ki Haalat Mein Ho Aur Woh Apna Libaas Tabdeel Kar Le Toh Usse Wuzu Nahi Toot-ta, Kyuki Libaas Tabdeel Karna Wuzu Tutne Mein Shaamil Nahi, Aur Is Mein Mard O Aurat Sab Barabar Hain. Wallaho Aalam .

Wuzu Jin Chizo Se Tut Ta Hai Wo Ye Hai :

1 Aage Ya Piche Ki Sharmgaah Se Kharij Honay Wale Ashye ( Pishaab, Pakhana, Hawa Wagaira ) Lekin Aurat Ki Qabl Se Kharij Hone Wale Hawa Se Wuzu Nahi Toot-ta .

2 Aage Ya Piche Ki Sharmgaah Ke Ilawa Aur Kahi Se Pishaab Aur Pakhana Kharij Hona .

3 Aqal Zael Hona (Hosh-khona), Ya To Mukammal Taur Par Aqal Zael Ho Jaye, Yaahi Majnoon Aur Pagal Ho Jaye, Ya Fir Kisi Sabab Ke Baais Kuch Der Ke Liye Aqal Par Parda Par Jaye, Maslan Neend, Behoshi, Nasha, Wagaira .

4 Azoo E Tanasul (Penis) Ko Chuna :

Is Ki Daleel Basrah Bint Safwaan R.a. Ki Hadees Hai Woh Bayan Karti Hain Ki Mein Ne Rasool ﷺ Ko Ye Farmate Hue Suna :

"Jis Ney Azoo E Tanasul Ko Chuwa Wo Wuzu Kare "

Sunan Abu Dawood, Al-tahaarah, 154. (Albaani Said In Saheeh Sunan Abi Dawood, No. 166, It Is Saheeh). 

5 Oont (Camel) Ka Gosht Khana :

Is Ki Daleel, Jaabir Ibn Samurah Ki Hadees Hai Woh Bayan Krate Hain Ki Ek Shakhs Ney Nabi ﷺ Se Daryaft Kiya Ki Kya Hum Oont Ke Gosht Khane Ke Baad Wuzu Kare ?

To Rasool ﷺ Ne Farmaya: "Ji Haan".

Sahih Muslim, Al-hayd, Hadith- 539.

Yahan Ek Cheez Note Karna Zaruri Hai Ki Aurat Ke Jism Ko Chune Se Wuzu Nahi Toot-ta, Chahe Shehwat (Feelings Of Desire) Ke Sath Ho Ya Baghair Shehwat Lekin Is Ke Nateeje Mein Agar Koi Cheez Kharij Ho To Phir Wuzu Toot Jayega.

Mazeed Tafseel Ke Liye Sheikh Ibn ‘Uthaymeen, R.h. Ki Kitab Al-sharh Al-mumti’ Vol. 1, P. 219-250 Aur Fataawa Al-lajnah Al-daa’imah, Vol. 5, P. 264 Ka Bhi Muta'la Zaroor Kare.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Read this article in:


۩ Urdu
۩ English
۩ Hindi


Related: Wuzu Todne Wali Chize

Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Read More »

Islah Me Sabr Aur Akhlaq Ki Ahmiyat


Ham aur ap jaise log jinke aqeede quran wa sahih hadees ke mutabiq hote hain aur hum biddat(innovation) se bachne ki bharpur koshish karte hai aur biddat ko pehchanthe( identify) bhi hain, hum jaise log apne mulk mai din raat hone wali bidat'o ki khilaf kya karte hai?

Facebook jihadi bankar lambi lambi post karte hain- ye haraam wo haraam. Kisi mahfil mai bidat dekhli to wahi shor barpa kiya aur fir do fareekh (opponent) bana kar ladai(fight) shuru.

Koi ahle biddat sms bheje to jawab me garma garam message bhej diya. Mai batau ke mere mulk ka aik(1) bada tabka bidati kyun hai? Wo biddati hai mere jaise quran wa sahih hadees ke pairokaron(followers) ki waja se. In ahle biddat muslmano ko agar kisi cheez ka ilm na tha , woh agar apnay maa baap kay tareeqay par chal rahe the, lekin humain to ilm tha na humne unko kyun nahi raahe raast par lane ki koshish ki? Aur agar koshish ki to kaisi? Tok kar, gussa karke? Tanqeed(critisize) karke? Khud ko durust sabit  karne ki zid mai bahes karke? 

Hum wo log hai jo andhere mai baithe logo ko chilla chilla(shout) kar andheri khaiyon (deep excavation) se khabardar karne ki koshish kar rahe hai. Chillane se sirf itna hoga ke wo log zara der tharain ge, uljhen ge, magar fir jitna unki ankhe dekhne ki adi ho chuki hain, utne ko bohut samajh kar chalte jainge.

Andheron mai cheekha chillaya thodi na jata hai balkay roshni laayi jati hain. Roshni aay gee to andhera khud ba khud khatam ho jayega. Haq ayega to batil jay ga. Hum musalman yeh baat kyun nahi samjhtay kay bahas, zid, ladayee say koi theek nahi ho sakta. Uloom e hadees seekhne me sahih, hasan, zaeef aur mauzu hadees ka farq aur raawi ki sharait jaannay aur seekhnay me aik arsa lagta hai hum quran o sahih hadees seekhne wale kayi saal laga kar deeni course karte hain, diplomas lete hain, magar doosre se yeh umeed kartay hain ke jo baat  hame khud kayee saal (years) laga kar samjh ayee woh doosra shaks chaar line ke aik sms me samjh jaye. Chillanaa asaan hai per roshni lana mushkil hai. "Amr bil maroof " (yani neki ka hukum do) pahlay ata hai aur "Nahi ‘anil munkar mukir" (burayee se roko ) ka doosra number hai. Ahista ahista narmee se tahammul (patience) se logon ko taleem dee jaye to woh hum se achhe sunnat ke pairokaar (followers) ban saktay hain. Lekin hum Musalman yeh tahammul laye kahan say..
Islah Sirf Alfaz Nahi Hota, Tareeqa Hota Hai Tableegh Ka Jo Sidha Dilon Par Asar Karta Hai.
Read More »