اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 May 2018

Raheem Naam Rakhna Kaisa Hai ?


Hamare muashre me ye galat fehmi hai ki Raheem ya Kareem ya isi tarha dusre naam nahi rakh sakte hai kyuki ye Allah ka naam hai. Aiye dekhte hai ki iski haqiqat kya hai.

Alhamdulillah..

Raheem ya Kareem ya Rahman ya isi tarha ka dusra naam rakhne me koi harj nahi hai. Ye baat sahih nahi hai ki ye tamam alfaz Allah ke naam hai. Balki Allah ka naam Ar-Rahman, Ar-Raheem, aur Al-Kareem hai. Aur in dono alfaz yaani Raheem aur Ar-Raheem me boht fark hai. Ek lihaj se ye samajh lein ke Raheem Ism-e-Nakrah (Common Noun) hai aur Ar- Raheem Ism-e- Maarfah (Proper Noun) hai. Toh Ism-e-Nakrah se Ism-e-Maarfa banane ka tarika ye hai ki Kisi bhi Ism par Alif-Laam laga dene se wo Ism-e-Maarfah ban jaata hai. To Allah ka naam Ism e Maarfa se hi hoga. Rahmaan Ism e Nakrah hua lekin Ar-Rahmaan Ism e Maarfah hua.

Rahmaan ka matlab hota hai raham karne wala. To ye koi bhi ho sakta hai jo raham kare. Ek insan agar raham karta hai to use bhi Rahmaan kah sakte hai. Lekin Ar-Rahmaan sirf Allah ho sakta hai.

Quran me khud Nabi ﷺ ko Raheem kaha gaya hai

Allah pak farmate hai,

لَقَدْ جَاءَكُمْ رَسُولٌ مِّنْ أَنفُسِكُمْ عَزِيزٌ عَلَيْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِيصٌ عَلَيْكُم بِالْمُؤْمِنِينَ رَءُوفٌ رَّحِيمٌ-

Tumhare Paas Ek Aise Rasool Tashrif Laye Hai Jo Tum Maise Hi Hai. Jin Ko Tumhari Takleef Boht Hi Dushwaar Guzarti Hai; Jo Tumhari Bhalaai Ke Bade Qhwahish Mand Rahte Hai. Eeman walo Ke Sath Bade Hee Shafeeq Aur Raheem Hai.


Surah At-Tawba (9), Ayat- 128.

Is ayat me khud Allah ne Rasool ﷺ ko Raheem kaha hai. 

Isi Tarha, RasoolAllah ﷺ ke Damad (son in law) aur ek bade Sahabi e Rasool, Hazrat ‘Ali ibn Abi Taalib, inka naam Ali hai aur apko pata hona chaiye ki Al-Ali Allah ka bhi naam hai. [Daleel: Quran, Surah 42 Ayat 4]. 

To isse bhi saaf zahir hota hai ki Rahman, Raheem, Kareem, Ali, ye tamam naam rakhne me koi harj nahi hai bas in naamo ke sath khas sifat wale huruf naa ho jaise AR ya AL ya Ash wagairah.

Aur Allah sabse behtar janta hai.
Read More »

12 May 2018

Namaz Me Khushu Aur Khuzu


Allah Ta’ala farmata hai:

قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُ - الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِم خَاشِعُونَ

Beshak Momin Kamiyab Hogae Jo Apni Namaz Qhushoo Aur Qhuzoo Ke Saath Ada Karte Hain.

(Surah Al Mominoon, Ayat - 1 & 2) 

Umar bin Khattab r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke ‘Ehsaan ye hai ke tum Allah ki ibaadat is tarha (dil laga kar) kar jaise ke usko dekh rahe ho aur agar ye na ho sake to ye khayal karke ki Allah Ta’ala tumhe dekh raha hai.’

 Sahih al Bukhari, Al Eeman 50 ; Sahih Muslim, 8. 

Jab insan namaz mein ye tasawwur karega ke main Allah Ta’ala ko dekh raha hu’n ya kam azkam Allah Ta’ala mujhe dekh raha hai to uske dil me Allah Ta’ala ka dar aur ta’azeem paida hoga, wo apni namaz khushoo aur khuzoo ke saath ada karega, namaz me beja harakaat  (T: unwanted/unnecessary movements)  o saknaat nahi karega, be adabi aur bad-tahzeebi ke sath namaz adaa nahi karega. Balki namaz to sukoon aur itmenaan ka naam hai.

Ubada bin Saamit r.a. riwayat karte hain ke maine RasoolAllah ﷺ ko ye farmate hue suna: ‘Allah Ta’ala ne 5 namazei’n farz ki hain, pas jis ne accha wuzu kiya aur isko khusho ke saath padha aur ruku pura kiya to is namazi ke liye Allah Ta’ala ka ahad hai ke wo isko baqsh dega aur jo aisa na kare Allah ka koi ahad nahi, chaahe baqsh de chaahe azaab de. ’ 

Sunan Abu Dawood, as Salah 425. Imam Ibn e Hibban ne ise Saheeh kaha.

Jo shaks namaz me ye tasawwur kare ke wo Rab ke saamne khada hai to wo poori dil jamai  (sole heartedly)  aur huzoor e qalb ke saath namaz ada karega. Ye mumkin hi nahi ke iska jism mutaharriz rahe, kabhi ek pair par zor de kabhi doosre pair par, kabhi daadhi se khelna shuroo kare aur kabhi baghair zaroorat khujli karta rahe aur kabhi kameez ki silwatei’n door karta rahe .

Allah Ta’ala irshad farmata hai:

حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ وَالصَّلَاةِ الْوُسْطَىٰ وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ
  
‘Aur Allah Ke Saamne (Namaz Me) Adab Se Khade Raho.’  

(Surah al Baqra, Ayat- 238)

Bilaa zarurat harkat karna adab aur ta’azeem ke manaafi hai. Rasool Allah ﷺ ne ye ta’aleem di hai ke namazi ke saamne koi aise cheez nahi honi chaahiey jo is ki tawajjoh namaz se hata de
aur is tarha is ke huzoor e qalb me farq aae.

Ummul Momineen Aaisha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne ek chaadar me namaz padhi jis me naqsh o nigaar tha, fir farmaya: ‘Meri is chaadar ko Abu Jahm ke paas le jaao aur unki chaadar mere paas le aao, is (chaadar ki dhaariyo’n) ne mujhe namaz me khushoo se gafil kar diya.’ 

 Sahih al Bukhari, as Salah 373 – Sahih Muslim: al Masaajid 556. 

Ummul Momineen Aaisha r.a. ne ghar me ek parda latka rakha tha, Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Ye parda hataa do, is ki tasweerie’n namaaz me mere saamne aati hain.’

Sahih al Bukhari, al Salah 374.

In ahadees e mubaaraka se ye baat nikalti hai ke namaz me kamil huzoor aur khuzoo laazmi hai aur jo cheez aadmi ko namaz me apni taraf mutawajjeh karte isko door kar dena chahiye, magar afsos aaj masjido’n me mobile me ringtones ki awaazei’n goonjti hain hatta ke khana e Ka’aba bhi is tarha ki music se mahfooz nahi raha. Is tarha ye log apni aur dusre logo’n ki bhi namazo’n ke Khushoo aur Khuzoo ko kharab karte hain. Isle alaawa azeei’n masjido’n ke mehrab aur deewaro’n ko araasta kiya jaata hai, in par naksh o nigar banaye jaate hain, masjid ki qaleen aur jaye-namaz par naqsh o nigar banae jaate hain, halaa’nke masaajid saadgi ka namuna honi chaahiey, taake namaz me sukoon aur itmenaan aur poori tawajjoh ke sath ek musalman namaz adaa kar sake.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Mujhe ye hukam nahi diya gaya ke main masjido’n ko sajaya  (T: Beautify)  karoo’n.’ 
Ibn e Abbas (sahabi) Is hadith ki Tafseer me farmate hain: Albatta tum bhi masaajid ko sajaoge jaise inko Yahood o Nasaara sajaya karte the.

Sunan Abu Dawood: al Salah 448. Imam Ibne Hibban aur Shaykh Albani ne Saheeh kaha.

Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Qayamat ki nashaniyo’n me se ek nashaani ye hai ke log masjido’n par fakhr karei’nge.’ [Yaani Masjido ki khubsurat banawat par]

Sunan Abu Dawood: 449. Imam Ibne Qhuzaima ne (V3 P-281) Saheeh kaha.

Namaz padhte hue nigahei’n neechi rahni chaahiye, ye baat namaz me Allah ke saamne adab se khade hone ke khilaaf hai ke namazi nazro’n ko ooncha kare ya idhar udhar dekhe.

Ummul Momineen Aaisha r.a. bayan kari hai ke main ne Rasool Allah ﷺ se namaz me idhar udhar dekhne ke bare me sawal kiya to Aap ﷺ ne farmaya: ‘Namaz me idhar udhar dekhna bande ki namaz me shaitaan ka hissa hai.’  

Sahih al Bukhari: al Adhaan 751.

Anas bin Maalik   bayan karte hain ke Rasool Allahﷺ ne farmaya:  ‘Logo’n ka kya haal hai ke wo namaz me apni nigahei’n upar uthaate hain. Aap ﷺ  ne saqht tambeeh karte hue farmaya:
Log aisa karne se baaz aajaaei’n warna inki nazrei’n uchak lee jaei’ngi. (They will becom blind)’ 

Sahih al Bukhari: 750.

Namaz me tawajjo aur huzoor e qalb barqaraar rakhna itna hi zaroori hai ke Aap ﷺ ne neend ki shadeed talab ki maujoodgi me nawafil padhne se man’a farmaya. 

Aaisha r.a. farmati hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs namaz mein aunghaye use chaahie ke let jaae yaha’n take ke iski neend poori hojaae, jo koi neend mein namaz padhega to isko ma’aloom nahi ho sakta ke wo Allah se ma’afee maang raha hai ya
apne apko bad dua de raha hai.’ 

Sahih al Bukhari: al Wuzu 212 – Sahih Muslim: al Salah lil Musaafireen 786.

Isi tarha agar bhook lagi hai aur khaana bhi maujood ho to namaz me khaane ka khayal aasakta hai, jis ki wajah se dil jamai ke saath namaz adaa karna mushkil hota hai toh Rasool Allah ﷺ ne pahle khaana khaane ka hukam diya.

Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tumhare saamne raat ka khana rakha jaaye aur udhar namaz ke liye jama’at bhi khadi ho jaaye to pahle khaana khaao aur namaz ke liye jaldi na karo yaha’n tak ke khane se faarigh ho jaao.

Nafi (Tabaeen) is hadith ki tafseer me kahte hai ki Ibne Umar  ke liye khaana laaya jaata aur jama’at bhi khadi hojaati toh wo namaz ke liye nahi jaate the yahaa’n tak ke khane se faarig hojate, hala’nke wo Imam ki qirat ki awaaz bhi sun rahe hote the.’  

Sahih al Bukhari: al Adhaan 673 – Sahih Muslim 559.

Namaz me dil jama’ai hi ki khaatir Aap ﷺ ne hukam diya ke pakhana ya peshab ho to pahle is se faraagat haasil karo.

Aaisha r.a. bayan farmati hain ke Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Jab khana maujood ho aur pakhana o peshab ki haajat ho to namaz nahi hoti.’ 

Sahih Muslim: al Masaajid, Baab: Karahatis salah bi hazarit ta’am 560.

Abdullah ibn ash-Shikhkhir  riwayat karte hai Rasool Allah ﷺ ki namaz me khashiyat Ilaahi ka you’n muzaahera hota tha ke ‘Aap namaz padhte to Aap rone ki wajah se Aapke seene se chakki ke chalne ki see awaaz aati thi.’

 Sunan Abu Dawood: al Salah 904. Classed as Sahih by Shaykh Albani.

Hamei’n bhi namaz mein ye tasawwur dil o dimagh mein bithana chaahiey ke ham Allah Ta’ala ki baargah mein khade hain, zaahiri aur baatini taur par Allah ki taraf mutawajje rahna chaahiey aur gar shaitan hamei’n hamari namaz se ghaafil karna chaahe to Aauzu Billah keh kar baaei’n  (T: Left Side)  3 baar thuthkaar kar shaitan ko bhagana chahiey.

Usmaan bin Abil A’aas ne Rasool Allah ﷺ se dariyaft kiya ke Aye Allah ke Rasool ﷺ, Shaitaan meri namaz aur meri qirat ke darmiyan haael ho jaata hain aur qirat me iltebaas paida karta
hai?
Aap ﷺ ne farmaya: ‘Is shaitan ka naam Qhanzab hai, jab tumhe is ka khayal aaye to Aauzu Billah ke kalimat padho aur baaei’n  (T: Left Side)  3 baar thuthkaaro’.
Usmaan bin Abil A’aas   bayan karte hain ke main ne aisa hi kiya, chunache Allah Ta’ala ne ise (shaitaan ko) mujhe se door kardiya.

Sahih Muslim: al Salaam 2203.

Note: This will be dry spit and not wet spit.

Hamei’n namaz bohot hi khoobsurati ke saath padhni chahiye, ba’az namazi raful yadain karte hue hatho’n ko kandho’n tak buland nahi karte sirf haath ya ungliyo’n ko zara si harkat dena hi kaafi samajhte hain, ba’az namaz ki haalat me kabhi aastinei’n (T: Sleevs) utaarte hain aur kabhi is haalat mein namaz padhte hain ke inki aastinei’n oopar chadhi hui hoti hain, gharz namaz me la ibaaliyat aur be adabi ka mukammil muzahera kar rahe hote hain aur yahi log duniyawi hukumrano’n ke saamne jab khade hote hain to bade adab aur ehteraam se khade hote hain. 

Kya Allah Ta’al ke darbar me be adabi jaaez ho sakti hai? 

Abu Huraira r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne ek din namaz padhane ke ba’ad farmaya: ‘Aey Falaa’n! Tum apni namaz husn o khoobi ke saath kyou’n adaa nahi karte? Namazi jab namaz padhta hai to wo is baat ko kyou’n mad‐de nazar nahi rakhta ke wo kis tarha namaz padh raha hai? Halaa’nke namazi apne faaede ke liye namaz padhta hai, aur Allah ki kasam! Mai jis tarha aage dekhta hu’n isi tarha peeche dekhta hu’n.

Sahih Muslim: as Salah 423.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham sabko khushu aur khuzu ke sath namaz padhne ki tufeek ata kare. aameen.
Read More »

13 Apr 2018

Kya Haiz Me Pahne Gaye Kapde Napak Hote Hai ?


Alhamdulillah..

Ek khwateen jiske haiz khatam ho gaye hai, agar wo wahi kapde pahne jo usne haiz ki halat me pahne the to isme koi burai nahi hai, jab tak ke wo kapde saaf aur paak ho aur usme haiz ka koi khoon na laga ho.

Lekin agar haiz ka koi khoon kapdo ke kisi hisse me lage ho, to us hisse ko dhona zaruri hai us kapde me namaz padhne se pahle.

Asma r.a. riwayat karti hai ke Ek Aurat ne Rasool ﷺ ki khidmat me haazir ho kar arz kiya ke hum me se kisi Aurat ke kapdo mein haiz aa jaye (to) woh kya kare? Aap ﷺ ne farmaya ke use (khoon ke daag ko) khurcho (scrach it), fir pani se ragdo aur pani se dho daalo aur isi kapdo me namaz padh lo.

Narrated by al-Bukhari (227) and Muslim (291). 

Toh RasoolAllah ﷺ ne kapdo ko paak karne ka hukm diya hai Namaz padhne se pahle.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

source: Islamqa.info
•٠•●●•٠•

Related : Halat E Haiz Me Quran Padhne Aur Zikr Karne Ke Ahkaam
Read More »

23 Mar 2018

Aurat Ka Kin Logo Se Parda Na Karna Jaiz Hai ?


Alhamdulillah 

Aurat Apne Mahram Mardon Se Parda Nahi Karegi.

Aur Aurat ka Mahram woh hai, jis se is ka Nikah qaraabat daari (close blood relationship) ki wajah se hamesha ke liye haraam ho (maslan baap, dada aur isse bhi upar wale, beta pota aur in ki nasal, chacha, mamu, bhai, bhatija, bhanja) ya fir raza'at (breast-feeding) ke sabab se nikah haraam ho. [maslan razaai bhai, aur razaai baap) ya fir mushahirat (shadi) ki wajah se nikah haraam ho jaye (maslan walidah ka khawind, sasur, agarchey is se bhi upar wali nasal ke ho aur khawind ka beta aur is ki nasal)].

Zail mein (niche) hum yeh mauzu bil tafseel pesh karte hain :

۞ Nasbi Mahram :

Nasbi taur par Aurat ke mehram ki tafseel ka bayan Surah Al-Noor ki niche di hui Ayat me bayan hai :

Farmaan e Baari ta'ala hai :

Aur Apni Zeenat Zaahir Na Karo Siwaye Is Ke Jo Zahir Hai, Aur Apne Girebanon Par Apni Odhni (Shawl, Dupatta) Daaley Rakhen, Aur Apni Zaib o aaraish Ko Kisi Ke Samne Zahir Na Karo Siwaye Apne Khawindo Ke Ya Apne Waalid Ke Ya Apne Sasur Ke Ya Apne Ladko Ke Ya Apne Khawind Ke Ladko Ke Ya Apne Bhaiyon Ke Ya Apne Bhatijon Ke Ya Apne Bhanjon Ke Ya Apne Mel Jol Ki Aurto Ke Ya Ghulamon Ke Ya Aisey Naukar Chaakar Mardo Se Jo Shehwat Wale Na Hon, Ya Aisey Bachho Ke Jo Aurto Ke Parde Ki Baato Se Mutla' (ilm wale) Nahi ... 

Surah Noor, Ayat-31. 

Mufassireen Hazraat (Commentators of Quran) ka kahna hai ke, Nasb (ties of blood) ki bina par Aurat ke liye jo mahram hain is ki sarahat is Ayat me bayan hui hai, woh niche hain :

۩1. Aaba wa ajdad (forefathers) :

Yaani Aurat ke walidain ke aaba wa ajdad aur upar ki nasal masalan waalid, dada, nana aur rahi baat unke shauhar ke baad dada ki to wo sasurali mahram me shamil hai jisko aage bayan kiya jayega.

۩2. Beto (son) :

Yani Aurton ke bete jis mein bete, pote, aur is tarhan naati yani beti ke bete aur in ki nasal, aur Ayat e kareema mein jo ( khawind ke beton ) ka zikar hai woh khawind ki doosri biwi ke bete hain jo ke mahram mein shamil hai, aur isi tarhan sasur bhi mahram masahrat (mahram by marriage) mein shaamil hai, na ke mehram nasbi (mahram by blood) me. Hum ise bhi aage chal kar bayaan  karenge.

۩3. Aurat ka bhai :

Chahe woh saga bhai ho ya fir sautela bhai ho, chahe sirf waalid ki taraf se ho ya fir sirf walida ki taraf se ho, sabhi isme shamil hai. 

۩4. Bhanje aur Bhatije yani Bhai aur Bahan ke bete aur in ki naslen .

۩5. Chacha aur Mamu :

Yeh dono bhi Nasbi Mahram mai se hain. In ka aayat mein zikar nahi hai kyuki ye dono maa-baap ke tarha samjhe jate hai, aur logo mein bhi walidain ki jagah par shumaar hote hain, aur baaz auqaat chacha ko bhi walid kah diya jata hai, jaisa ke Allah ta'ala ka farmaan hai :

"Kya Tum Yaqoob (Alaihe Salam) Ki Mout Ke Waqt Moujood The? Jab Unhone Apni Aulaad Ko Kaha Ke Mere Baad Tum Kis Ki Ibadat Karogey ? To Sab Ne Jawab Diya Ke Aap Ke Mabood Ki Aur Aap Ke Walid Ibrahim, Ishhaaq aur Ismail Ke Mabood Ki, Jo Mabood Ek Hi Hai Aur Ham Isi Ke Farmanbardar Rahenge."

Surah Baqarah, Ayat-13.

Jab ki Ismail a.s. Yaqoob a.s. ke beto ke Chacha the.

Tafseer al-Raazi, 23/206; Tafseer al-Qurtubi, 12/232, 233; Tafseer al-Aaloosi, 18/143; Fath al-Bayaan fi Maqaasid al-Qur’aan by Siddeeq Hasan Khan, 6/352.

۞ Razaat (Breastfeeding) Ki Bina Par Mahram :

Aurat ke liye razaat ki wajah se bhi mahram ban jate hain, Tafseer Al Aloosi me hai :

"Jis tarha nasbi mahram ke samne Aurat ke liye parda na karna mubah hai isi tarhan razaat ki wajah se mahram ban'nae wale shakhs ke samnay bhi is ke liye parda na karna mubah hai. Is tarha Aurat ke liye, is ke razaai beto ya razaai walid se bhi parda na karna jaiz hai."

Tafseer al-Aaloosi. 18/143.

Is liye ke razaat ki wajah se Mahram hona bhi nasbi mahram ki tarhan hi hai jo ke hamesha ke liye Nikah haraam kar deta hai.

Imaam al-Jassaas r.h. ne is Ayat ki tafseer karte hue isi taraf ishara karte hue kaha hai,  "Jab Allah ta'ala ne walid ke sath un mahram ka zikar kiya jin se un ka Nikah hamesha haraam hai, jo ke is par dalalat karti hai ke jo is tarha ki hurmat wala hoga is ka hukum bhi unhi hukum ke barabar hai, maslan aurat ki maa, aur razaai mahram wagaira".

Ahkaam al-Qur’aan by al-Jassaas, 3/317 .

Aur Sunnat e Nabawi ﷺ mein bhi is ki daleel milti hai :

Nabi ﷺ ka farmaan hai, "Razaat bhi Wahi haraam karti hai jo Nasab karta hai."

To is ka matlab ye hua ke Jis tarha aurat ke nasbi mahram honge isi tarha razaat ke sabab se bhi mahram honge. Sahih al Bukhari mein niche di hui hadees warid hai :

Ammi Aisha r.a. bayan karti hain ke, Parda ka hukm nazil hone ke baad Abu Qu’ayss ke bhai Aflah jo ki Ap ke razaai chacha the, Aaye aur andar aane ki ijazat talab ki, toh maine ijazat dene se inkaar kar diya, aur jab Rasool e Akram ﷺ  ghar tashreef laaye to maine jo kuch kiya tha Ap ﷺ ko bataya, toh Nabi e Kareem ﷺ ne hukum diya ke mai unhe andar aane ki ijazat de doon.

Sahih al-Bukhaari bi Sharh al-‘Asqalaani, 9/150.

Imam Muslim r.h. ne bhi is hadees ko riwaayat kiya hai jis ke alfaaz ye hain :

Urwah r.a. bayan karte hain ke Ammi Aisha r.a. ne inhe bataya ke, un ke razaai chacha jin ka naam Aflah tha, unhone andar aane ki ijazat talab ki, to maine unhe ijazat na di, aur unse parda kar liya. Fir iski khabar Allah ke Rasool ﷺ ko di toh Aap ﷺ ne unse farmaya, Un se parda na karo, is liye ke razaat se wo sabhi rishte (Nikah) haraam ho jate hai jo nasab se haraam hote hai..

Saheeh Muslim bi Sharh al-Nawawi, 10/22.

Aurat ke razaai mahram bhi uske nasbi mahram ki tarhan hi hain :

Fuqaha e karaam ne jo kuch Quran Majeed aur Sunnat e Nabwi ﷺ se saabit hai us par amal karte hue is baat ki sarahat ki hai ke aurat ke razaai mahram bhi is ke nasbi mahram ki tarha hi hai, lihaza is ke liye razaai mahram ke samne zeenat ki cheeze zahir karna jaiz hain jis tarha ke nasbi  mahram ke samney karna jaiz hai, aur in ke liye bhi aurat ke badan ki woh jagah dekhni halal hain jo nasbi mahram ke liye dekhni halal hain.

۞ Sasurali Rishte Ki Wajah Se Mahram : (Yani Nikah Ki Wajah Se)

Aurat ke liye sasurali rishte ke wajah se mahram woh log hai jin par usse Nikah karna hamesha ke liye haraam hai, jaise, waalid ki biwi, betay ki biwi, saas yani biwi ki walida. 

Sharh al-Muntahaa, 3/7

To is tarha walid ki biwi ke liye mahram woh beta hoga jo us ki doosri biwi se ho, aur bahu yani beta ki biwi ke liye shauhar ka baap yani sasur mahram hoga, aur saas yani biwi ki maa ke liye khawind yani damaad mahram hoga .

Allah ajjawazal ne Surah Al Noor ki Ayat mein zikr karte hue farmaya hai :

Aur Apni Zeenat Zaahir Na Karo Siwaye Is Ke Jo Zahir Hai, Aur Apne Girebanon Par Apni Odhni (Shawl, Dupatta) Daaley Rakhen, Aur Apni Zaib o aaraish Ko Kisi Ke Samne Zahir Na Karo Siwaye, Apne Khawindo Ke Ya, Apne Waalid Ke Ya Apne Sasur Ke Ya Apne Ladko Ke Ya, Apne Khawind Ke Ladko Ke Ya, Apne Bhaiyon Ke Ya, Apne Bhatijon Ke Ya, Apne Bhanjon Ke Ya Apne Mel Jol Ki Aurto Ke Ya Ghulamon Ke Ya Aisey Naukar Chaakar Mardo Se Jo Shehwat Wale Na Hon, Ya Aisey Bachho Ke Jo Aurto Ke Parde Ki Baato Se Mutla' (ilm wale) Nahi ... 

Surah Noor, Ayat-31. 

To is me sasur, aur khawind  ke beta aurat ke liye sasurali rishte ki wajah se mahram hai, aur Allah ta'ala ne inhen un ke bapon aur beton ke sath zikr kiya hai aur unhe hukum me bhi barabar qarar diya hai, ke un se parda na karna jayz hai.

Al-Mughni, 6/555.
  •٠•●●•٠•
۩ Hindi     ۩ Urdu     ۩ English
                    ٠
Read More »

16 Mar 2018

Kya Nakhun Ke Niche Jama Mael Wuzu Me Khalal-Andaz Hoti Hai


Alhamdulillah

الحمد للہ و الصلاۃ والسلام على رسول اللہ و بعد

Chalees (40) yaum (days) guzarne se pahle Nakhun taraashne wajib hain, Kyuki Rasool ﷺ ne logo ke liye Nakhun taraashne aur zair e naaf (below navel) baal mundne aur baglo (armpit) ke baal ukhedna aur munche kaatne ke liye zyada se zyada waqt chalees yaum muqarrar kiya gaya hai, ke yeh chalees yaum se qabl kaate jaye, Nabi ﷺ se ye isi tarha saabit hai (Saheeh Muslim, 258).

Is liye Mardo aur Aurto par wajib hai ki woh is muamle ko madd e nazar rakhte hue nah to apne Nakhun lambay kare, aur na hi munche aur na hi zair e naaf baal badhne de, aur na hi baglo ke baal, un ki hadd sirf chalees yaum hai .

Nakhuno ke neeche jama honae wali mael (dirt) ki soorat me wazu sahih hai kyuki ye boht kam hoti hai aur mazur hai (it is excused) .

Majmoo’ Fataawa al-Maqaalaat Mutanawwi’ah li Samaahat al-Shaykh Ibn Baaz (may Allaah have mercy on him), 10/50.

                                                                            •٠•●●•٠•
۩ Urdu      ۩ English
Read More »