اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 Nov 2018

Gumrah Ulema

en  -
Jaha par Quran aur sahih hadees me Ulema e haq ki taareefe ayi hai, wahi par Quran aur sahih hadees me gumrah ulema se RasoolAllah ﷺ ne aagah bhi kiya hai:

۩ Abu Zarr r.a. ne kaha, Mai ek din RasoolAllah ﷺ ke sath tha aur maine unse ye baat suni, “Mai apni Ummat ke liye Dajjal se zyada ek chiz se darta hu”.
(Raawi kahte hai) Mai ye sun kar dar gaya toh maine pucha: 'Aye Allah ke Rasool ﷺ wo kaun si cheez hai'?
RasoolAllah ﷺ ne is par farmaya, “Gumrah Ulema”.

Musnad Imam Ahmad, hadith - 21334 aur 21335. Shaykh Shuayb Arna'ut ne ise Musnad Imam Ahmad ki tahkeek me Sahih li gayrihi karaar diya hai.

۩ Saubaan r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai apni Ummat ke liye sirf Gumrah Aimmah se darta hu.”
Raawi kahte hai ki RasoolAllah ﷺ ne kaha, 'Meri Ummat se ek Jamaat hamesha haq par rahegi aur unko chorne wale unka kuch nuksan nahi pohcha sakenge jab tak ke Allah ka hukm na aajaye.'

Sunan Tirmizi, Kitab al Fitan (33), hadith - 2229. Ise Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame gumrah ulema se mahfuz rakhe. aameen.
Read More »

23 Nov 2018

Juma Mubarak Kahna Biddat Nahi Hai


Biddat ki aam wazahat (defination) ye hai:

۩1. Kisi naye amal ko Deen samajh kar kiya jaye aur
۩2. Us amal par sawab ki ummeed ki jaye.

Lihaza jis kaam ko karne se sawab ki ummeed na ho wo biddat nahi hogi. Baaz chize rasm me shumar hoti hai to baaz chize riwaj me shumar ho jati hai. Isi liye har chiz biddat nahi hogi jab tak wo in Do (2) shara't ko pura na kardein.

Is usool ki roshni me, juma mubarak kahne se koi sawab ki ummeed nahi rakhta hai wo sirf mubarakbaad dene ke liye kahta hai ek khushi ke izhaar ke liye. Isi liye Ramzan ki mubarakbaad dena bhi biddat nahi hai aur Eid ki mubarakbaad dena bhi biddat nahi hai. Ye ek rasmi chiz hai, in chizo ki mubarakbaad dene par koi sawab ki ummeed nahi rakhta hai.

Kuch ulema ise biddat kahte hai lekin wo galti par hai. Aur yahi wo ulema hai jo Ramadan mubarak aur Eid mubarak ko jayz kahte hai, ye ajeeb baat hai. Mere eemaan ka hissa hai ki jab kisi ulema ki koi baat Quran aur sunnat ya usool e deen se takraye to use chor diya jaye.

۞ Imam Malik r.h. farmate hai: “Mai sirf ek insan hu, Kabhi meri baat sahih hoti hain aur kabhi galat. Toh tum meri us baat ko jo Quran aur Hadees ke mutabik ho le liya karo aur us baat ko jo is ke khilaf ho chor diya karo (yaani meri Taqleed Mat karo).”

Ibn `Abdul Barr in Jaami’ Bayaan al-‘Ilm (2/32).

Darasal kaafi log is baat se anjaan hai ki Allah hamare amal ke sath sath hamare ilm ka bhi imtehaan le raha hai.

۞ Allaamah Abdur-Rahmaan Bin Yahyah Al-Mu’allimee r.h. kahte hai:

Aur ye baat jaan lo ki Allah kuch mukhlis (sincere) logo se galtiya karwata hai dusre logo ke imtehan ke liye ki wo (log) haqiqat ko manenge aur us (mukhlis) shaks ki baat ko chor denge ya fir us nek shaks ki neki aur uske muqam se dhoka kha jayenge. Wo (nek shaks) apni galti par sirf muaf hi nahi kar diya jata hai balki use is ijtihad ke liye aur nek niyat ke wajah se sawab bhi milta hai aur na hi us (alim) ke rutbe ya izzat me koi kami hoti hai. Albatta jo shaks us (alim) ke rutbe ke dhoke me aakar unki pairwi karta hai bina Allah ki kitab aur RasoolAllah ﷺ ki sunnat ke asal dalail ke taraf mutawajje hue, uske liye muafi nahi hai balki wo ek bade khatre (danger) par hai.”

Raf’ul Ish-tibaah, page 152-153. [download arabic pdf]

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Read More »

19 Nov 2018

Namaaz e Janaza Padhne Ka Step by Step Tariqa

Pdf   -
۩1. Wuzu karein. [1]
۩2. Shara'at e Namaz puri karein. [2]
۩3. Qibla rukh khade ho jayein. [3] 
۩4. Takbeer (Allahu Akbar) kahein. [4]
۩5. Takbeer ke sath rafa yadain karein. [5]
۩6. Apna daayan hath apni bayein ziraa' par rakhein. [6]
۩7. Daayan hath bayein hath par, seene par rakhein. [7]

۩8. Ye Padhe [8]

أعوذ بالله السميع العليم من الشيطان الرجيم من همزه ونفخه ونفثه

A’oodhu Billaah il-samee’ il-‘aleem min al-Shaytaan ir-rajeem min hamzihi wa nafkhihi wa nafsihi.

۩9. Ye Padhe: [9]
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem.

Upar zikr karda amal ke Dalail: [click]

•٠•●●•٠•

۩10. Surah e Fatiha padhein. [1]
۩11. Aameen kahein. [2]
۩12. Bismillah Hir Rahman Nir Raheem padhe. [3]
۩13. Ek surat padhe. [4]
۩14. Fir Takbeer kahe aur rafayadain karein. [5]
۩15. Nabi ﷺ par Durud padhe. [6] maslan:

اللهمَّ صلِّ على محمَّد وعلى آل محمَّد، كما صليتَ على إبراهيم وعلى آل إبراهيم؛ إنَّك حميدٌ مجيد. اللهمَّ بارِك على محمَّد وعلى آل محمَّد، كما باركتَ على إبراهيم وعلى آل إبراهيم؛ إنَّك حميدٌ مجيد-

Allaahumma salli ‘ala Muhammad wa ‘ala aali Muhammad kama salayta ‘ala Ibraaheem wa ‘ala aali Ibraaheem, innaka hameedun majeed. Allaahumma baarik ‘ala Muhammad wa ‘ala aali Muhammad kama baarakta ‘ala Ibraaheem wa ‘ala aali Ibraaheem, innaka hameedun majeed. [7]

۩16. Takbeer kahe [8] aur rafayadain karein [9]

Upar zikr karda amal ke Dalail: [click]

•٠•●●•٠•

۩17. Mayyat ke liye khalis taur par dua karein. [1]

Chand masnoon duaein ye hai:

[next page]

۩18. Mayyat par koi dua e muaqqat (khas taur par muqarrar shuda) nahi hai. [4]
Lehaza jo bhi sabit shuda dua karlein jaiz hai.
Sayyadana Abdullah bin Salaam r.a. ke qaul aur Tabayeen ke aqwaal se malum hota hai ke mayyat par kayi duayein jama ki ja sakti hain.

۩19. Fir takbeer kahein. [5]

۩20. Fir dayi (right) taraf salaam fer de. [6]

Upar zikr karda amal ke Dalail: [click]

-Taken from an article of Shaykh Zubair Ali Zai [download (urdu, pdf)]

•٠•●●•٠•
Read More »

12 Nov 2018

Farz Aur Nawafil Namaz Ke Darmiyan Guftagu Ya Jagah Tabdeel Karna Mustahab Hai

en  -
Alhamdulillah..

Mauzu shuru karne se pahle ye jaan lein ki Arabic me Nawafil ka matlab gair-farz hota hai yaani jo farz kiya gaya hai uske alawa. Hamare muashre me nawafil namaz ek alag kism ki namaz ban gai hai jab ki us kism ki namaz ka zikr kitab o sunnat kahi par nahi hai. Misaal ke taur par hamare muashre me log magrib ki sunnato ke baad do rakat aur padhte hai aur use nafil ka naam dete hai jab ki is do rakat namaz ka zikr hi kahi nahi hai.

Isi liye jab Nawafil kaha jayega to isme farz ke alawa jitni bhi kisme hai wo sab isi me shumar honge jaise sunnat namaz aur witr namaz. Ab aiye is baat ki daleel dekhte hai:

حَدَّثَنَا بَيَانُ بْنُ عَمْرٍو، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ جُرَيْجٍ، عَنْ عَطَاءٍ، عَنْ عُبَيْدِ بْنِ عُمَيْرٍ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ لَمْ يَكُنِ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم عَلَى شَىْءٍ مِنَ النَّوَافِلِ أَشَدَّ مِنْهُ تَعَاهُدًا عَلَى رَكْعَتَىِ الْفَجْرِ

Aisha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ Nawaafil (sunnat) mein se kisi cheez par itni muhafizat aur mudawemat nahi karte the jis qadr Fajr ki 2 rakat (sunnat) par karte the.

Sahih al Bukhari, kitab al tahajjud, hadith - 1163.

Is hadith me Ammi Ayesha r.a. ne sunnat ke liye nawafil alfaz istemal kiya hai.

Ab mauzu par aate hai, farz aur nawafil Namaz ke darmiyan guftagu karna ya jagah tabdeel karna mustahab hai. Iski daleele ye hai:

Umar bin Ata r.a. kahte hai ki Nafi bin Jubair ne unhe Al Saib ke paas bheja taaki wo puch sake ki Muawiya r.a. ke namaz me unhone kya dekha.
Toh is par unhone kaha, 'Ji Ha! Maine unke sath Maqsura (Masjid ke hujre) me Juma ki namaz padhi hai aur jab Imam ne salam fera toh mai apni jagah par khada ho gaya aur (sunnat) namaz padhi. Jab Muawaiya r.a. andar dakhil hue toh mujhe bulwaya aur kaha, "Jo kaam tumne kiya hai aaindah na karna. Jab tum Juma padh lo toh use kisi dusri namaz se na milana yahaa tak ke guftagu karlo ya us jagah se nikal jao kyunke RasoolAllah ﷺ ne hame is baat ka hukum diya tha ke hum kisi namaz ko dusri namaz se na milaye hatta ke ham guftagu karlen ya (us jagah se) nikal jaye.

Sahih Muslim, The Book of Prayer - Friday, hadith - 2042.

۩ Imam Nawawi is hadith ki sharah me farmate hai:

"Is hadees me hamare Shafi fuqaha e karaam ke mauqaf ki daleel hai ke sunnat e mua'qqada ya gair muaqqada jo bhi nawafil ho unki adaegi ke liye farz namaz ki jagah se hat jana chahiye, aur afzal yahi hai ke ghar ja kar ada kare, warna masjid me kisi bhi jagah ada kare, taa-keh sajda karne ki jagah zyada ho sake.

Is tarha nawafil aur farz namaz ek dusre se alag ho jayengi, Muawiya r.a. ka ye kahna ke, "Hatta ke hum baat kar lein", is cheez ki daleel hai ke farz aur nawafil me faasla guftagu se ho jayega, lekin ek jagah se doosri jagah muntaqil (shift) hona hamari bayan kardah wajah ke baais mustahab hai. Wa Allahu aalam."

Sharah Sahih Muslim [Imam Nawawi].

۩ Ar-Ramli kahte hai:

"Ye sunnat hai ki nawafil ya farz padhne ke liye us jagah se hata jaye jaha par nawafil ya farz padha gaya ho taake qayamat ke din gawahi dene wali jagaho ki ta'adaad ziyada ho, kyunke jis jagah bhi ibaadat ki hogi wo jagah qayamat ke din us ke liye gawahi degi, nez jagah tabdeel karne par zyada se zyada jaghon par ibaadat ka amal sar-anjaam diya jayega, aur agar koi jagah tabdeel na kare to fir guftugu ke zarye faasla daale." end quote.

Nihaayat al-Muhtaaj (1/552).

•٠•●●•٠•
Read More »

Kabr Ke Paas Hath Utha Kar Dua Karna

en  -
Alhamdulillah..

۞ Pahla Nukhta

Sabse pahli baat ye jaan lein ki kabr par jakar mayyat ke liye dua karna sunnat hai:

Aisha r.a. riwayat karti hai ki ek raat RasoolAllah ﷺ khade hue, apna kapda pahna fir (bahar) nikal gaye, toh maine apni laundi Barirah ko hukm diya ke woh (Aap ﷺ ke) peeche peeche jaye, chunanche woh Aap ke peeche peeche gayi yaha tak ke Aap Baqi (kabrastaan) pahunche, toh is ke qareeb khade rahe jitni der Allah taala ne khada rakhna chaha, fir Aap palte toh Barirah Aap ﷺ se pehle palat kar aa gayi, aur us ne mujhe bataya, lekin mein ne Aap ﷺ se is ka koi zikr nahi kiya yahan tak ke subah zikr kiya, toh maine Aap ko saari baatein batayi. Aap ﷺ ne farmaya: "Mujhe ahle Baqi (Baqi me dafan logo) ki taraf bheja gaya tha taake mein unke haq me dua karu."

Sunan an-Nasa'i, The book of funerals, hadith - 2040. Ise Shaykh Zubair ali zai ne hasan karar diya hai.

۞ Dusra Nukhta

۩ Hath Utha Kar Dua Karna Ye Dua Karne Ke Aadaab Maise Hai:

Salman al-Farsi r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Tumhara Rab bahut ba-haya hai aur kareem hai, Jab uska banda us ke saamne apne dono hath uthata hai toh unhe khali lautate hue use apne bande se sharam aati hai.”

Sunan Abi Dawud 1488, Book of Prayer (Kitab Al-Salat): Detailed Injunctions about Witr, hadith--1488. Allama Albani ne ise Sahih karar diya hai.

۩ Dua Me Hath Uthane Ke Mutallik Ek Usool

Bunyadi usool ye hai ki har Dua karte waqt hatho ko uthaya ja sakta hai siwaye us mauke par jaha par hatho ka na uthana RasoolAllah ﷺ se sabit hai. [source]

Isi usool ke mutallik Imam Nawawi kahte hai:

'Namaz se bahar kisi (bhi) dua mein haath uthana mustahab hai.'
Iske baad unhone aisi bahut si riwayat zikr ki hain jo ke namaz se bahar dua karne ke jawaaz ki daleel hain.
Is ke baad unhone kaha, 'Is masle mein is ke ilawa bhi bahut si ahadees hain, taaham jitni ahadees maine zikr kardi hain ye kaafi hain. Nukhta ye hai ki ye samjha jaye ki jo shaks ye daawa karta hai ki dua ke liye hath sirf un mauko par uthaya jaye jiska hadees me zikr hai to wo galti par hai.'

Sharh at-Tahdheeb, 3/489.

Yaani ki dua ke liye hath un mauko par bhi uthaya ja sakta hai jiski daleel hame hadees me nahi milti hai bashart hai ki bas un mauko par na uthaya jaye jin mauko par RasoolAllah ne dua karte waqt apne hatho ko na uthaya ho.

Isi usool ke tahat kabr ke paas hath utha kar dua karne me koi harj nahi hai.

۩ Shaykh ibn Baaz r.h. se sawal kiya gaya:

"Kya mayyat ki kabr ke paas dua haath utha kar ki ja sakti hai?"

Toh unhone jawab diya:

"Agar haath utha le to is me koi harj nahi hai, kyunke Nabi ﷺ se Aisha r.a. kahti hain ke: "Aap ﷺ qabristan gaye aur waha par madfoon (dafan) logo ke liye haath utha kar dua farmayi. Rawaah Muslim."

Majmoo‘ al-Fataawa, 13/337.

Ek baat ka zarur dhyan diya jaye ki kabr ke paas jab hath utha kar dua kare toh qibla ke taraf chehra karke dua kiya jaye na ke kabr ke taraf muh kar ke dua kari jaye. [source]

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Read More »