اقرأ باسم ربك الذي خلق

18 Jan 2020

Kya Barish Me Juma Ki Namaz Chhorne Ki Ijazat Hai?


Allah s.w.t. farmate hai,

۩ .. aur (Allah ne) Deen me tumpar koi sakhti nahi rakkhi hai.

Surah hajj (22), ayat- 78.

۩ .. Allah ka irada tumhare sath aasaani (karne) ka hai, sakhti (karne) ka nahi.

Surah baqarah (2), ayat- 185.

۩ Muhammad bin Seereen r.a. riwayat karte hai,

'Abdullah bin Abbas r.a. ne barish ke waqt apne moazzin se kaha ke Ash-hadu an-na Muhammadan Rasoolullah ke baad Hayya alas-salaah mat kahna balke uske bajaye 'Sallu fee boyutikum' kahna, yaani Apne gharo me namaz padh lo.

Logo ne is par taajjub kiya toh unhone farmaya ke aisa us shakhsiyat ne kiya tha jo mujh se kahee behtar tha (yaani Rasoolullah ﷺ).
Namaz e Juma agarche farz hai lekin mujhe ye pasand nahi ke tumhe (tangi me mubala karte hue) is haalat me ghar se nikaalu ke tum keechad aur fislan me chal kar aao.'

Sahih al bukhari, kitab al Juma (11), hadees- 901.

۩ Imam Nawawi is hadees ki sharah me likhte hai,

'Ye hadees is baat ki nishandehi karti hai ki Juma ko barish aur is jaisi wajah se chhora jaa sakta hai. Ye hamari aur kuch aur logo ki raaye hai. Imam Malik ki raaye isse kuch mukhtalif hai. Aur Allah sabse behtar janta hai.' alfaz khatm.

Sharah Sahih Muslim

۩ Ibn Qudaamah r.h. kahte hai,

'Aur baarish ke wajah se Juma aur Jama'at (masjid mein namaz) chhorne ki ijazat hai, agar baarish itni ho ke kapde geele ho jaaye, ya aisa kichad ho jo khud ya kapdo ko nuqsan de sake, Abdullah ibn Abbas r.a. ne muazzin se barish ke din me kaha:
(Jab tum azan me) Ash hadu Allah ilaha illalla, Ash hadu anna Muhammadan Rasoolullah, (fir uske baad) Hayya alas salaah mat kaho balki kaho ki Apne gharo me (namaz) ada karo.

(Ye sun kar) Jaise logo ne tajjub kiya, toh unhone kaha, 'Kya ap isse hairaan ho rahe ho? Wo jo mujhse behtar hai (Rasoolullah ﷺ) ne aesa kiya hai. Juma farz hai, lekin mai tumhe keechad aur fislan bhari jameen se aane ko majbur nahi karna chahta.''

Al Mughni (1/366).

•٠•●●•٠•