اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Feb 2022

Bhool kar Bagair Wuzu Namaz Ada karna

Alhamdulillah..

Ji haan jo shakhs bhool kar bina wuzu namaz ada kar le us ke liye dobarah namaz ada karna zaruri hai, kyuki Abu Hurairah r.a. kahte hai ki Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai,

"Allah taala tum me se kisi be wuzu ki wuzu kiye bagair namaz qubool nahi farmata."

Sahih al bukhari, kitab al wuzu (4), hadees- 135.

Bakhilaf (iske ulta) us shakhs ke jis ne kisi najis (napak) kapde me bhool kar namaz ada kar li toh woh namaz nahi lautayega (dobara namaz nahi padhega), kyuki Rasool ﷺ ke paas Jibreel e ameen tashreef laaye aur inhe bataya ke Aap ke joote me gandagi lagi hui hai, toh Nabi ﷺ ne namaz me hi joote utaar kar baaki namaz ada kar li."

Is hadees ko Imam Ahmad ne Musnad Ahmad me Abu Saeed khudri se riwayat kiya hai.

Yeh is baat ki daleel hai ke najasat se be-ilm shakhs ko namaz dobarah ada karne ka hukm nahi diya jayegaa, aur isi tarha us shaks ko bhi jo bhool gaya ho ki kapde me najasat lagi hui hai.

Source: I’laam al-musaafireen bi ba’d aadaab wa ahkaam al-safar wa ma yakhuss al-mallaaheen al-jawwiyyeen by Shaykh Muhammad ibn Saalih al-Uthaymeen, p. 12.

•٠•●●•٠•