اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Jul 2025

Kya Surah Fatiha ke baad koi Surah Padhna Farz Hai ?


۞ Surah Fatiha Ke Baad Surah Padhna: Farz Ya Mustahab?

Aksar Ulema ke mutabik, namaz ki pahli do rakato me Surah Fatiha ke baad Surah padhna mustahab hai, farz nahi.

۩ Abu Hurayrah r.a. ne farmaya,

'Har namaz me qirat hoti hai, toh jo Rasoolullah ﷺ ne hame sunaya, ham tumhe sunate hai, aur jo Aap ﷺ ne aahista padhi, ham bhi aahista padhte hai. Jo shakhs sirf Ummul Kitab (Surah Fatihah) padh le, wo uske liye kafi hai, aur jo is se zyada kare, toh ye behtar hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al azaan (10), hadees- 772.

Yaani agar koi sirf  Surah fatihah padhta hai toh uski namaz sahih hai, aur izaafi surah padhna behtar hai, farz nahi.

۞ Imam Nawawi r.h. ne Sharh Muslim me farmaya hai,

'Jo lafz hai, ‘Jo shakhs Ummul Kitab (fatiha) padh le, wo uske liye kafi hai, aur jo is se zyada kare, to ye behtar hai’, Is se yeh wazeh hota hai ke fatiha padhna farz hai aur bina iske namaz sahih nahi hoti.

Iska ye bhi matlab hai ke Surah fatihah ke baad Surah padhna mustahab hai. Fajr, Juma aur har namaz ki pahli do rakat me ye sunnat hai aur is par tamam ulema ka ittefaq hai. Al Qaazi Iyad r.h. ne kuch Malik ke ashaab se riwayat kiya hai ke fatihah ke baad surah parhna farz hai, magar ye ek ajeeb aur radd karne layak raaye hai.'

(Sharh Muslim, 4/105).

•٠•●●•٠•