اقرأ باسم ربك الذي خلق

Showing posts with label Tahaarat (Purification). Show all posts
Showing posts with label Tahaarat (Purification). Show all posts

25 Dec 2017

Napaki Ke Huqm Aur Paaki Kaise Haasil Kare


Ek Aaraabi (T: Villager) ne masjid me peshab kardiya aur log is ke peeche padgae. Rasool Allah ﷺ ne inhei’n farmaya: ‘Ise chhor do aur (jaga ko paak karne ke liey) is ke peshab par paani ka dol bahaado.’

(Bukhari: al Wuzu 221 – Muslim: at Tahaara 284)

Fir Aap ﷺ isko bulakar farmaya: ‘Masjid peshab aur gandagi ke liey nahi, balke Allah ke zikar, namaz aur quran padhne ke liey(hoti) hain.’

(Ibn e Majah: at Tahaara 529)

۞ Haiz Alood Kapda (T: Mensturation Cloth):

A
sma bint Abi Bakr r.a. riwayat karti hain ke ek aurat ne Rasool Allah ﷺ se poocha ke jis kapde ko haiz (maahwaari) ka qhoon lag jaae to kya kare? Aap ﷺ ne farmaya: ‘Ise chutkiyo’n se mal kar paani se dho daalna chahiye aur phir is me namaaz adaa karli jaae.’

(Bukhari: al wuzu 227 – Muslim: at Tahaara 291)

۞ Mani (T: Semen) Ka Dhona:

Ummul Momineen Aisha r.a. farmati hain ke main Rasool Allah ﷺ ke kapde se Mani dhodaalti thi aur Aap is kapde me namaz padhne tashreef le jaate the aur dhone ka nishan kapde par hota tha.

(Bukhari: al Wuzu 229 – Muslim: at Tahaara 289)

۞ Dudh Peete Bacche Ka Pehsab:

Umme Qais r.a. apne chote (doodh peete) bacche jo khana nahi khaata tha, Rasool Allah ﷺ ke paas laaei’n aur Aap ne ise apni god me bitha liya. Bacche ne Aap ke kapde par peshab kardiya to Aap ne paani mangwa kar kapde par chee’ntei’n mare aur ise dhoya nahi.

(Bukhari: al Wazu 223 – Muslim: al Tahaarah 287)

Lubaaba bint Haaris r.a. riwaayt karti hain ke Husain bin Ali ne Rasool Allah ﷺ. ki god me peshab kardiya (jo abhi doodh peeta hi tha) Main ne arz kiya: Koi aur kapda pahen lei’n aur tehband mujhe de dei’n taake main ise dhodu’n. To Aap ﷺ ne farmaya: Ladki ka peshab dhoya jaata hai aur ladke ke peshab par chee’nte mare jaate hain.

(Abu Dawood: al Tahaara 375 – Ibne Majja: al Tahaara 522) Ise Imam Ibne Qhuzaima (282) Imam Haakim (V1 P166) aur Imam Zahabi ne Saheeh Kha.

۞ Kutte Ka Jhoota:

Abdullah bin Maghfal r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Agar kutta kisi ke bartan me paani (waghaira) pee le tobartan ko saat baar paani se dhoe aur pehli bar mitti se maanje.’

(Muslim: at Tahaara 279 & 280)

۞ Murdaar Ka Chamda:

Ek bakri margai. Nabi e Kareem s.a.w is ke paas se guzre aur poocha ke tum ne is ka chamda utaar kar rang kyou’n nahi liya take isse faaeda uthate? Logo’n ne kaha wo to murdaar hai.Aap ﷺ ne farmaya ke: ‘Iska sirf khana haraam hai.

(Bukhari: al baiyo 2221 – Muslim: al Haiz 363)

Ummul Mominee Saudah r.a. ne farmaya ke hamaari bakri margay. Hamne is ke chamde ko rang kar mashk banaali. Phir ham us me nabeez (khujoor ka masroob) daalte rahe yaaha’n tak ke wo puraani hogai.

(Bukhari: al Eman wal Nazor 6686)

Nabi e Rehmat ﷺ ne murda bakri ka chamda utaarkar istemaal karne ka hukam diya aur farmaya: ‘Murdaar ka chamda dabaaghat dene (masaale ke saath rangne) se paak hojaata hai.’ (Abu Dawood: al Libaas 4125) Ise Imam Ibne Sakan aur Imam Hakim ne Saheeh kaha. Rasool Allah ﷺ ne darindo’n ki khaal istemaal karne se mana’a farmaya.

(Abu Dawood: al Libaas 4132 – Tirmizee, al Libaas 1771) Ise Imam Hakim aur Imam Zahbi ne Saheeh kaha.

۞ Billi Ka Jhoota:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Billi ka jhoota najis nahi hai.’

(Abu Dawood: at Tahaara 75 – Tirmizee at Tahaara 92) Ise Imam Tirmizee, Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha)

۞ Sone Chaandi Ke Bartan Me Khana:

Umme Salma r.a. riwayat karti hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs sone chaandi ke bartano me khata peeta hai. Wo Apne pet me dozaqh ki aag jama’a karta hai.’

(Muslim, al Libaas 2025).

•٠•●●•٠•
Read More »

Rafa’a Haajat Ke Aadaab


۞ Baitul khala Me Jaate Waqt Ki Dua:

۩ Anas r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah s.a.w. jab Rafa’a haajat ke liey baitul qhula me daqhil hone ka irada karte to farmate:

Allahumma Inni a’aouzbika Minal Khuboosi wal khabaais

‘Aye Allah! Tehqeeq main teri panah pakadta hu’n nar aur maadah napaak jinno’n (ke shar) se.’

(Bukhari: al Wudu 142 – Muslim: al Haiz 375).

۩ Zaid bin Arqam r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: A’aozu Billhai Minal Qhuboosi wal Qhabaais ‘Baitul Qhula jinno’n aur shaitano’n ke haazir hone ki jagah hai jab tum baitul khala me jaao to kaho: Main Allah ki Panah Leta Hu’n, Nar Aur Maada Qhabees Jinno’n (ke Shar) se.’

(Abu Dawood: 6 – Ibn Majja 296) Imam Ibne Hibban, Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۞ Baitul Khula Se Nikalte Waqt Ki Dua

۩ Aisha r.a. riwayat karti hain: Jab Rasool Allah s.a.w. baitul qhula se nikalte to farmate:

“Gufraanaka”

‘Aye Allah! Main Tujhse Bakshish Chahta Hu.’

(Abu Dawood: at Tahaara, 30 – Tirmizi: 7 – Ibne Majja: at Tahaara 300) Is hadees ko Imam Haakim (V1 P158) Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.

۞ Rafa’a Haajat Ke Masaael:

۩ Abu Ayyub r.a. se riwaayat hai Nabi Akram s.a.w. ne farmaya: ‘Jab tum qaza haajat ko aao to qible ki taraf mu’n karo na peeth.’

(Bukhari, as Salaah 394 – Muslim, at Tahaara 264; 265)

۩ Nabi Rahmat s.a.w. ne farmaya: ‘Do La’anat ka sabab banne wale kamo’n se bacho.’
Sahaaba Ikram ne poocha, wo kya hain?
Aap ne farmaya: Logo’n ke raaste me aur saayadaar daraqhto’n ke neeche rafa’a haajat karna. 

(Muslim: at Tahaara 269)

۩ Abu Qataada r.a. se riwaayat hai Nabi e Rahmat s.a.w. ne farmaya: ‘Tum mei’n se koi peshab karte hue daei’n haath se sharam’gaah ko na pakde aur naahi daei’n haath se istenja kare.’ 

(Bukhari: al Wudu, 153,154 – Muslim: at Tahaara 267)

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai Nabi e Rahmat s.a.w. ne farmaya: ‘Jo koi mitti ke dhelo’n se istenja kare wo taak dhile le.’

(Bukhari: al Wazu, 162 – Muslim: 238)

۩ Nabi e Akram s.a.w. ne teen (dhelo’n) se istenja karne ka hukam diya.

(Abu Dawood: at Tahaara 8 – Sunan Nasaai: 40)Ise Imaam Daarequtni aur Navavi ne Saheeh kaha.

۩ Rasoolullah s.a.w. ne teen dhelo’n se kam ke saath istenja karne aur gobar aur haddi ke saath istenja karne se mana’a farmaya.

(Muslim, at Tahaara, Baab al Istetaaba 262)

Nabi e Rahmat s.a.w. jab rafa’a haajat ko jaate to (itni door jaakar) baithte ke koi Aapko na dekh sakta.

(Abu Dawood: at Tahaara, 1, 2)

۩ Rasoolullah ﷺ umooman baith kar peshab karte the jaisa ke Ummul Momineen Aisha farmati hain ke: ‘Jo shaqs tumhei’n bayan kare ke Nabi e Akram khade hokar peshab karte the is ko saccha na jaano, Aap baith kar hi peshab karte the.’

(Tirmizi: at Tahaara 12)

۩ Agarche kisi uzar ki bina par khade hokar peshab karne ki gunjaesh bhi hai. Huzaifa bayan farmate hain ke ‘Nabi e Akram kure karkat ki jagah par aae aur Aap ne khade hokar peshab kiya.’

(Bukhari: al Wadu 224 – Muslim: 273)

۩ Nabi e Akram ﷺ paani ke saath istenja farmate the. 

(Bukhari: al Wazu 150 – Muslim: al Tahaara 270)

۩ Abu Ayyub Ansari r.a. bayan karte hain ke jab ye ayaat naazil hui (In Me Aise Mard Hain Jo Pasand Karte Hain Ke Qhoob Paak Rahei’n, Allah Ta’ala Paak Rehne Walo’n Se Muhabbat Karta Hai).
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Aye Ansaar! Allah Ta’ala ne paakeezgi ki wajah se tumhari ta’areef ki hai, tum kaise tahaarat karte ho?
Inho’n ne kaha ke ham har namaaz ke liey wuzu karte hain, Janaabat ka gusl karte hain aur paani ke saath istenja karte hain.’

(Sunan Ibn Majah 355)

۩ Abdullah bin Umar r.a. farmate hain ke Rasool Allah s.a.w. peshab kar rahe the ke ek aadmi ne Aap ko salaam kiya magar Aap ne iska jawab na diya.

(Muslim: al Haiz 370)

Is hadees se ma’aloom hua ke rafa’a haajat ki haalat me kalaam karna makruh hai.

۩ Nabi e Rahmat s.a.w. ne ghusl qhane me peshab karne se mana’a farmaya.

(Abu Dawood: at Tahaara 27, 28) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha hai.

۩ Abu Huraira r.a. kehte hain ke ‘Jab Nabi e Kareem s.a.w. baitul qhula jaate, main ek bartan me paani laata Aap is se istenja kiya karte the, phir apna haath zameen par malte phir ek aur bartan me paani laata phir Aap wuzu kiya karte the.’

(Abu Dawood: at Tahaara 45) Ise Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha.

Ma’aloom hua ke istenja aur wuzu ka bartan ilaheda hona caahie aur tahaarat ke ba’ad haath ko mitti ya saabun se dhona chaahie taake haath me badboo na rahe.

۩ Abdullah bin Arqam se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Jis shaks ko rafa haajat ki talab ho aur jama’at khadi hogai ho to pehle wo haajat se faraaghat paae phir namaaz padhe.’

(Sunan Abi Dawood: at Tahaara 88 – Sunan Tirmizee: at Tahaara 142) Ise Imam Tirmizee, Imam Haakim (V1 P168) aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۞ Peshaab Ke Chee’nto’n Se Bachne Ki Sakth Taakeed:

Ibne Abbas r.a. riwaayat karte hain ke Rasool Allah s.a.w. do qabro’n ke paas se guzre to farmaya: ‘In dono’n qabro’n waalo’n ko azaab horaha hai aur baais azaab koi badi cheez nahi inme se ek peshab ke chee’nto’n se nahi bachta tha aur doosra chughal khoor tha.’

(Bukhari: al Wazu 216 – Muslim: at Tahaara, 292)

Is hadees se ma’aloom hua ke peshab ke chee’nto’n se saqt parhez karna chahie. Wo Log jo peshab karte waqt chee’nto’n se parhez nahi karte, apne kapdo’n ko nahi bachate, peshab karke(Paani na hone par Tissue, chalk, ya Mitti wagaira se) istenja kie bagair fauran khade ho jaate hain. Inke paajame, patloon aur jism waghaira peshab se aalooda hojate hain inhei’n ma’aloom hona chahiye ke peshab se na bachna baais azaab aur gunah hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

Tahaarat Ka Bayaan (Purification)


۞ Paani Ke Ehkaam

Namaaz ke liye wazu shart hai. Wazu ke baghair namaz nahi hoti. Isi tarha wazu ke liye paani ka paak hona shart hai.

۩ Abu Saeed Qhudri farmate hain: ‘Rasoolullah ﷺse sawal kiya gaya:

Kya ham biza’a ke kuwei’n se wazu karsakte hain? Ye ek aisa kuwa’n hai jis me badbudaar cheezei’n phainkee jaati hain.’ (Biza’a ka kuwa’n dhalwan (T: slope) par tha aur barish waghiara ka paani in cheezo’n ko baha kar ku’nwe me lejaata tha) 

Nabi e Rahmat ne farmaya: Paani Paak hai (aur is me doosri cheezo’n ko paak Karen ki salaahiyat hai) ise koi cheez naapak nahi karti.

(Abu Dawood: at Tahaara, Baab Majja fee Bair Baza’a 66 – Tirmizee: at Tahaara, Baab Majja Innal Maa’o Laayanjasa Shai 66).

Ise Imam Tirmizi ne Hasan jabke Imam Ahmad bin Hambal, Yahya bin Moeen, Ibne Hazam aur Navavi ne Saheeh kaha). Ma’aloom hua ke kuwe’n ka paani paak hai.

۩ Nabi e Akram ne farmaya: ‘Daryai aur samandari paani paak karne wala hai. Aur iska murdaar(machli) halal hai.’ 

(Abu Dawood at Tahaara: 83 – Tirmizee: at Tahaara 69) Is hadees to Imam Tirmizee, Imam Haakim (V1 P140‐141), Imam Zahabi aur Imam Navani (Al Majmoo’a V1 P82) ne Saheeh kaha.

۩ Abu Huraira riwayat karte hain Rasool Allah ne farmaya ke: ‘Jambi (napak) (T: Man who has sexual intercourse with his wife) thehre hue paani me ghusul na kare.’ Abu Huraira se poocha gaya ke fir wo kya kare? Farmaya: Zaroorat ka pani lekar baahar ghusl kare.’ 

(Muslim: at Tahara, 282)

۩ Nabi e Rehmat ne khade pani me peshab karne aur fir ghusl karne se mana farmaya.

(Bukhari: al Wazu 239 – Muslim: 282)

۩ Nabi e Rehmat ne khade pani me peshab kanre aur fir is se wazu karne se mana farmaya.

(Tirmizee: at Tahaara, 68) Ise Imam Tirmizee ne Hasan Saheeh kaha hai. Iske rijaal (T: narrators) Muttafiq A’alai (Hadees which is mentiond in both Bukhari, Muslim) hain dekhie Saheefa Hammam bin Munabbah.

•٠•●●•٠•
Read More »