Allah Ta’ala farmata hai:
‘Aye Eman Walo! Jab Tum Namaz Ke Leiy Khade Ho To Apne Chehro’n Ko Aur Haatho’n Ko Kohniyo’n Tak Dho Aur Apne Sar ka Masah Karo Aur Taqhno’n Tak Apni Pao’n Dho.’
Surah al Maida, ayar- 6.
۞ Masnoon Wuzu Se Gunaho Ki Bakshish:
۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Jis waqt banda momin wuzu shuru karta hai, fir kulli karta hai to is ke mun’h ke gunah nikal (jhad) jate hain. Fir jis waqt naak jhaadta hai is ke naak ke gunah nikal jaate hain. Fir jis waqt cehra dhota hai is ke chehre ke gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi gunah nikal jaate hain. Chehre dhote waqt gunah daadhi ke kinaro’n se bhi girte hain aur jis waqt wo haath dhota hai to is ke dono’n hatho’n se gunah nikal jate hain yaha’n tak ke dono’n hatho’n ke naqhuno’n ke neche se bhi nikal jaate hain. Fir jis waqt masah karta hai to is ke sar se gunah nikal jaate hain, yaha’n tak ke dono’n kano’n se bhi gunah nikal jaate hain. Fir jis waqt pao’n dhota hai to iske dono’n pao’n se gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke dono’n pao’n ke naqhuno’n ke neeche se bhi nikal jaate hain. Yaha’n tak ke wo sab gunaho’n se paak saaf hokar nikalta hai.’
(Muslim: al Tahaara 244)
۩ Ek Shaqs ne Rasoolullah ﷺ se poocha ke aap apni ummat ko (maidan e hashar me) doosri ummato’n ke (be shumar logo’n ke) darmiyan kis tarah pehchaane’n ge?
Aap ne farmaya: Mere ummati wuzu ke asar se safed (noorani) chehre aur safed (noorani) hath paao’n wale ho’nge. Is tarha
inke siwa aur koi nahi hoga.
(Muslim: al Tahaara 247)
۞ Wuzu Se Bulandi Darjaat:
۩ Rasoolullah ﷺ ne farmya: Wuzu Aadha Eman Hai.
(Muslim: al Tahaara 223)
۩ Sayyadna Abu Huraira r.a se riwayat hai ke main ne apne dost Muhammad ﷺ ko ye farmate hue suna: ‘(Jannat mein) Momin ka zewar waha’n tak pho’nche ga jahaan tak wazu ka pani pho’nche ga.’
(Muslim: al Tahaara 250)
۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Kya main tumhei’n wo cheez na batau’n ke jiske sabab Allah Ta’ala gunaho’n ko door aur darjaat ko buland karta hai?
Sahaaba ne a’arz kiya. Aye Allah ke Rasool ﷺ irshad farmaye.
Aap ne farmaya: ‘Mushaqqat (Beemari Ya Sardi) ke waqt puri aur sawaar kar wuzu karna, kasrat se masjido’n ki taraf jaana aur namaz ke ba’ad namaz ka intezar karna gunaho’n ko door aur darjaat ko buland karta hai.’
(Muslim: al Tahaara 251)
۩ Neend Se Jaag Kar Pahle Haath Dhoe:
Sayyadna Abu Huraira r.a se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum neend se jaago to apna haath paani ke bartan me na dalo jab tak ke is ko (3 baar) na dholo kyou’nke tum nahi jaante ke is haath ne raat kaha’n guzaari.’
(Bukhari: al wuzu 162 – Muslim: al Tahaara, 678)
۩ 3 Baar Naak Jhaade:
Sayyadna Abu Huraira r.a riwayat karte hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum neend se bedar ho fir wuzu ka iraada karo to (paani chidakkar) 3 baar naak jhado kyou’nke shaitan naak ke baa’nse me raat guzarta hai.’
(Bukhari: Bada al Qhalq 3295 – Muslim al Tahaara: 238)
Sone wale ke naak ke baa’nse me shaitan ke raat guzarne ke asliyat aur haqeeqat Allah hi behtar jaanta hai. Hamara farz eeman lana hai ke waqai shaitan raat guzarta hai.
۞ Masoon Wuzu ki Mukammil Tarteeb:
1. Wuzu karne se pehle dil mein wuzu karne ki niyyat kare.
2. Wuzu ke shuru me ‘Bismillah’ zaroor padhni chahiey, kyou’nke Rasoolullah ﷺ ne Sahaaba Ikraam se farmaya:
‘Bismillah’ keh kar wuzu karo.
(Nasai: al Tahaara, Baab al Tasmiyyah Ind al Wuzu 78 – Ibne Qhuzaima 144) Imam Nawavi ne kaha ke iski sanad Pakki hai.
Wazeh rahe ke wuzu ki shuruwat ke waqt sirf ‘Bismillah’ kehna chaahiey. ‘Ar Rahman nir Raheem’ ke alfaaz ka izaafa sunnat se saabit nahi.
Nabi e Akram ne farmaya: ‘Jo shaqs wuzu ke shuru me Bismillah nahi kehta iska wuzu nahi.’
(Abu Dawood: al Tahaara P101). Hafiz Munzari waghaira ne shawahid ki bina par Hasan kaha.
Agar Bismillah bhool gai aur wuzu ke dauran yaad aai to fauran padhle wuzu dobarah karne ki zaroorat nahi kyou’nke bhool muaaf hai.
3. Umme Atiya r.a. se riwayat hai, ‘Rasoolullah ﷺ ne Zainab ko ghusl dene waliyo’n se kaha daahini taraf se aur wuzu ke maqamo’n se inka ghusl shuru karo.’ (Bukhari: 167 – Muslim 939)
Rasoolullah ﷺ jute pehenne, kanghee karne, tahaarat karne aur gharz tamaam kamo’n me daaee’n taraf se shuru karna pasand farmate.
(Bukhari: al Wuzu 168 – Muslim: al Tahaara 268)
4. Aap ne dono’n haath pho’ncho’n tak 3 baar dhoe.
(Bukhari: al Wuzu, 159 – Muslim: al Tahaara 226)
5. Aap ne farmaya: Wuzu mukammil karo aur haatho’n ko dhote waqt hatho’n ki ungliyo’n ke darmiyan qhilaal karo aur naak me paani chadhane me mubalegha karo illa ye ke tum rozadaar ho.
(Abu Dawood: al Tahaara 142 – Tirmizee: al Tahaara, 38) Ise Imam Tirmizee, Imam Haakim V1 P 147;148 aur Imam Nawavi ne saheeh kaha.
6. Aap ne ek chullu le kar aadhe se kulli ki aur adha naak me daala aur naak ko baei’n haath se jhaada, ye amal 3 dafa kiya.
(Bukhari: al Wuzu 191; Baab al Wuzu minal Tur 199 – Muslim: al Tahaara 235)
7. Fir Aap ne 3 baar mun’h dhoya. (Bukhari: al Wuzu 185)
8. Aap Daadhi ka Qhilaal karte the.
(Tirmizee: al Tahaara 31) Imam Ibne Hibban aur Imam Ibne Qhuzaima ne Saheeh kaha.
9. Aap ne daaya’n haath kohni tak 3 baar dhoya fir baya’n haath kohni tak 3 baar dhoya.
(Bukhari: al Saum Baab Siwaak al Tab wa Ilyabas lil Saaem 1934 – Muslim: 226)
10. Aap ne sar ka masha kiya. Dono’n haath sarke agle hisse se shuru karke gaddi tak peeche le gae. Fir Peeche se aage isi jagah le aae jahaa’n se masah shuru kiya tha.
(Bukhari: al Wuzu 185 – Muslim: al Tahaara 235)
Aap ne sar ka ek dafa masah kiya. (Bukhari: 186 – Muslim: 235)
11. Aap ne kano’n ka masah kiya shaadat ki ungliya’n dono’n kano’n ke suraqho’n me daal kar kaano’n ki pusht par anghoto’n ke saath masah kiya.
(Ibn e Majah: al Tahaara 439 – Tirmizee: al Tahaara 36) Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P77 # 148 ne Saheeh kaha.
12. Aap ne daya’n paao’n taqhno’n tak 3 baar dhoya aur baya’n paao’n bhi taqhno’n tak 3 baar dhoya.
(Bukhari: as Saum 1934 – Muslim: al Tahaara 226)
13. Aap ne farmaya ke jab wuzu karo to hatho’n aur pao’n ki ungliyo’n ka khilal karo.
(Tirmizee: al Tahaara 39 – Ibn e Majah: al Tahaara 447) Ise Imam Tirmizi ne Hasan kaha.
Mastoord Bin Shaddad r.a. riwayat karte hain ke mai ne Rasoolullah ﷺko wuzu karte hue dekha ke Aap apne pao’n ki ungliyo’n ka qhilaal haath ki choti ungli se kar rahe the.
(Abu Dawood: al Tahaara 147 – Tirmizee: al Tahaara 40) Imaam Maalik ne Hasan kaha.
14. Hakam bin Sufiyan r.a. se riwayat hai ke Nabi e Akram jab peshab karke wuzu karte to apni sharamgaah par pani ka cheenta dete.
(Abu Dawood: al Tahaara 166 – Nasai: al Tahaara 135)
15. Wuzu karte hue a’aza ked hone me tarteeb qaaem rakhna waajib hai aur wuzu ek hi waqt me kiya jaae a’aza ke dhone me waqfa aur taaqhair na ho.
16. Sayyadna Abdullah bin Umar r.a. ne farmaya: ke Agar zaqhm par patti bandhi hui ho to wuzu karte waqt patti par masah karle aur ird gird ko dhole.
(Baihaqi V1 P 228) Imam Baihaqi ne ise Saheeh kaha.
Tambeehat:
1. Kulli aur naak me paani dalne ke liye alag alag paani lene ka zikar jis hadees me hai ise
(Abu Dawood 139). Imam Nawavi aur Haafiz Ibne Hajar ne Zaeef kaha hai.
2. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: kano’n ka ta’alluq sar se hai. (Daarequtnee V1 P98) ise Imam Ibne Jauzi waghaira ne Saheeh kaha hai).
Is ka matlab ye hai ke kano’n ke liye nae paani ki zaroorat nahi. Kano’n ke masah ke liye nae paani lene waali riwayat ko Haafiz Ibne Hajar ne shaaz kaha hai.
3. Haafiz Ibne Qaiyyim farmate hain ke (guddi ke neeche) garden ke (alag) masah ke bare me qata’an koi saheeh hadees nahi. Gardan ke masah ki riwayat ke muta’alliq Imaam Nawavi farmate hain: Ye Hadees bila Ittefa Zaeef hai’.
۞ Wuzu Ke Ba’ad Ki Duae:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya jo shaqs poora wuzu kare aur fir kahe:
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Ashhadu an la ilaha illal-lahu wahdahu la shareeka lah, wa-ashhadu anna Muhammadan AAabduhu warasooluh.
‘Main Gawaahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi Ma’abood Barhaq Nahi. Wo Akela Hai. Iska Koi Shareek Nahi aur Main Gawahi Deta Hu’n ke Muhammad ﷺ Allah ke Bande Aur Rasool Hain.’
To is ke liye jannat ke aathwa’n darwaze khol diey jaate hain ke jis se chaahe daakhil ho.
(Muslim: al Tahaara 234)
Abu Dawood (al Tahaara # 170) ki ek riwayat me is dua ko asmaan ki taraf nazar utha kar padhne ka zikar hai magar ye riwayat saheeh nahi. Is me Abu Aqeel kae chacha’zaad bhai majhool hai.
۩ Wuzu Ke Ba’ad Ye Dua Padhe:
سُبْحـانَكَ اللّهُـمَّ وَبِحَمدِك أَشْهَـدُ أَنْ لا إِلهَ إِلاّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتوبُ إِلَـيْك
Subhanakal-lahumma wabihamdika ashhadu an la ilaha illa anta astaghfiruka wa-atoobu ilayk.
Aye Allah! Tu Apni Tamaam Tar Ta’areefat ke Saath (Har Aib Se) Paak Hai Main Gawahi Deta Hu’n ke Tere Siwa Koi Saccha Ma’abood Nahi hai Main Tujh se Baqshish Maa’ngta Hu’n aur Tere Huzoor Tauba Karta Hu’n.
(Nasai, A’amal al Yaum wa Laila, 1)Ise Imaam Haakim, Haafiz Zahabi aur Ibne Hajar ne Saheeh kaha hai. (Kisi majlis ke qhatme par bhi yehi dua padhi jaati hai.)
۞ Wuzu Ki Ghadi hui Duae:
Rasoolullah ﷺ ki sunnat se wuzu ke shuru me (Bismillah) aur ba’ad me shadatain ka padhna saabit hai. Lekin ba’az log wuzu me har hissa dhote waqt ek ek dua padhte hain aur wo duae’n namaz ki kuch maujuda kutub e namaz me paai jaati hain. Waazeh ho ke ye duae’n sunnat paak aur Sahaaba Ikraam ke amal se saabit nahi hai. Allah Ta’ala ne jab apne Rasool Akram par deen mukammil kardiya to fir deeni aur sharai umoor me kami beshi karna kisi ummati ke liye hargiz jaaez nahi hai. Imam Nawawi farmate hain: ‘Har ‘hissa ke liye khas azkaar ke bare me Rasoolullah ﷺ se koi cheez saabit nahi hai.’
۞ Wuzu Ke Digar Masaael:
1. Wuzu ke a’aza ka 2‐2 baar aur 1‐1 baar hona bhi aaya hai. Nabi e Rahmat aur Sahaaba Ikraam ka aksar a’amal 3‐3 baar dhone par raha hai. Ibne Hazam farmate hain ke sab ulama ka ittefaq hai ke a’aza ka 1‐1 baar dhona bhi kaafi hai.
2. Ek A’araabi ne Rasoolullah ﷺ ki qhidmat me Haazir hokar wuzu ki kaifiyat daryaft ki to aapne ise a’aza ka 3‐3 baar dona sikhaya aur farmaya: Is tarha kaamil wuzu hai. Fir jo shaqs is (3‐3 baar dhone) par ziyada kare pas tehqheeq is ne (tark e sunnat ki bina par) bura kiya aur (masnoon had se tajawuz karke) ziyadati ki aur (Rasoolullah ﷺ ki muqhalifat karke apni jaan par) zulm kiya.
(Abu Dawood: al Tahaara 135 – Nasai 140) Ise Imam Ibne Qhuzaima aur Imam Nawavi ne Saheeh, jabke Imam Hafiz Ibne Hajar ne pakka kaha.
3. Wuzu ke ba’az a’azaa 3 baar aur ba’az dobaar dhona bhi durust hai. (Bukhari: 185 – Muslim: 235)
۞ Khushk Ediyo’n (T: Heel’s) Ko A’azaab:
Sayyadna Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai ke ham Rasoolullah ﷺ ke saath Makke se Madeene ki taraf laute. Raaste me hamei’n paani mila. Ham me se 1 jama’at ne namaz e Asr ke liye jald baazi mei’n wuzu kiya. Inki ediya’n qhushk(sukhi) thei’n inko paani nahi paho’nchta tha. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘(Qhushk) ediyo’n ke liye aag se qharabi hai. Pas wuzu poora kiya karo.’
(Muslim: al Tahaara 241)
Is hadees se ma’aloom hua ke wuzu badi ehtiyaat se sa’nwar kar aur poora karna caahiey. A’aza ko qhoob acchi tarah aur 3‐3 baar dhona chaahie take zarra barabar jagah bhi qhuskh na rahe.
Ek Shaqs ne wuzu kiya aur apne qadm par naqhun ke baraabar jagah qhushk chodhdi. Nabi e Kareem ﷺ ne ise dekha kar farmaya: Waapas jaao aur acchi tarha wuzu karo.
(Muslim: al Tahaara, 243)
۞ Tahiyyatul Wuzu se Jannat Laazim:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Jo Shaqs wuzu kare aur qhoob sa’nwar kar accha wuzu kare. Fir khada hokar dil aur mu’nh se (zaahiri o baatini taur par) mutawajje hokar 2 raka’at (nafal) namaz adaa kare to iske liye jannat waajib ho jati hai.’
(Muslim, al Tahaara 234)
Sayyadna Abu Huraira r.a bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne namaz Fajr ke waqt Bilal se farmaya: ‘Aey Bilal! Mere saamne apna wo a’amal bayan kar jo tune islam me kiya aur jis par tujhe sawaab ki bahoy ziyada ummeed hai, kyou’nke main ne apne aage jannat me teri jutiyo’n ki awaaz suni hai.
Bilal r.a. ne arz kiya: Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahot ziyada ummeed hai. Wo ye hai ke main ne Raat ya Din main jab bhi wuzu kiya to is wuzu ke sath jis qadr nafil namaz mere muqaddar me thi zaroor padhi (ya’ani har wuzu ke ba’ad nawaafil padhe).’
(Bukhari: al Tahajjud 1149 – Muslim: Fazaael al Sahaaba Baab min Fazaail Bilaal 2457)
۞ Koi Shaks Apne Saathi Ko Wuzu Karae toh Jaaez Hai:
Mugheera bin Shoba r.a. ek safar me Rasoolullah ﷺ ke saath the, jab Aap wuzu karne lage to mughaira Aap par paani daalne lage Aap ne wuzu kiya.
(Bukhari 182 – Muslim 274)
۞ Ek Wuzu Se Kai Namaze:
Sayyadna Bareeda r.a. se riwayat hai ke fatah makka ke din Rasoolullah ﷺ ne kai namazei’n ek wuzu se padhei’n aur mauzo’n par masah bhi kiya.
Sayyadna Umar Farooq r.a. ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool ! Aaj ke din Aap ne wo kaam kiya jo Aap pehle nahi kiya karte the.
Aap ne farmaya: ‘Aye Umar main ne aisa jaan bujh kar kya. (take logo’n ko ek wuzu se kai namazei’n padhne ka jawaz ma’aloom hojae)’
(Muslim: al Tahaara 277)
Ma’aloom hua ke har namaz ke liye wuzu farz nahi balke afzal hai.
۞ Doodh Peene Se Kulli Karna:
Beshak Rasoolullah ﷺ ne doodh piya fir kulli ki aur farmaya is me chiknai hai.
(Bukhari: al Wuzu Baab 211 – Muslim: al Haiz 357)
Aapne bakri ka shaana khaya iske ba’ad namaz padhi aur dobara wuzu na kiya.
(Bukhari: al Wuzu 207 – Saheeh Muslim: al Haiz 354)
Aap ne Sattu Khaya fir kulli karke namaz padhi aur wuzu nahi kiya. (Bukhari: al Wuzu 209)
۞ Mauzao’n Par Masah Karne Ka Bayan:
۩ Mughaira bin Shoba r.a. bayan karte hain ke ek safar mein, mein Nabi e Rahmat ka hamrah tha. Main ne wuzu ke waqt chaaha
ke Aap ke dono’n mauze utaardu’n.
Aap ne farmaya: inhein rehnedo main ne inhei’n tahaarat ki haalat me pehna tha fir aap ne in par masah kiya.
(Bukhari: al Wuzu 206 – Muslim: al Tahaara 274)
۩ Shareen bin Haani r.a. farmate hain: ‘Main ne Sayyadna Ali se mauzo’n par masah karne ke muddat ke muta’alliq poocha toh Sayyadna Ali r.a. ne farmaya: Rasoolullah ﷺ ne musafir ke liye (masah ki muddat) teen din raat aur muqeem ke liye ek din raat muqarrar farmai hai.’
(Muslim: al Tahaara 276)
Imam Nawavi, Imam Auzaai aur Imam Ahmad kehte hain ke masah ki muddat mauze pehenne ke ba’ad wuzu ke toot jaane se nahi balke pehla masah karne se shuru hoti hai, ya’ani agar ek shaqs namaz e fajar ke liye wuzu karta hai aur mauze ya jurabei’n pahen leta hai to agle din ki Fajr tak wo masah kar sakta hai.
۩ Safwaan bin A’asaal r.a. riwayat karte hain ke jab ham safar mein hote toh Rasoolullah ﷺ hamei’n hukam dete ke ham apne mauze 3 din aur 3 rato’n tak paaqhana, peshab ya sone ki wajah se na utarei’n (balke in par masah karein) haa’n janaabat ki surat mein (mauze utarne ka hukam dete).
(Tirmizi: al Tahaara 96 – Nasai V1 P83, 84, 98) Ise Imam Tirmizee, Imam Ibne Qhuzaima, Imam Ibne Hibban aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha)
Is hadees se ma’aloom hua ke Jumbi hona masah ki muddat ko qhatam kardeta hai. Is liye ghusl janaabat me mauze utarne chaahiey al batta bol o baraaz aur neend ke ba’ad mauze nahi utarne chahiye balke ma’aeena muddat tak in par masah kar sakte hain.
۞ Jurabo’n Par Masah Karne Ka Bayan:
Thaubaan r.a. riwayat karte hain: ‘Rasoolullah ﷺ ne wuzu karte waqt sahaaba ko pagdiyo’n aur jurabo’n par masah karne ka hukam diya.’
(Abu Dawood: at Tahaara 146) Ise Imam Haakim aur Imam Hafiz Zahabi ne Saheeh kaha)
۞ Sahaba Ka Jurabo’n Par Masah Karna:
۩ Sayyadna Oqba bin Umro r.a. aur Abu Saeed Ansari r.a. ne apni jurabo’n par apni chappal ke tasmo’n samet masah kiya.
(Baheqhee V1 P25)
Umru bin Harees r.a. farmate hain, Sayyadna Ali r.a. ne peshab kiya fir wuzu karte hue aapne apne jurabo’n par jo jutiyo (Chappalo’n) me theei’n masah kiya.
(Ibn Abi Shaiba wa Ibne al Munzar)
Ibne Hazam r.a. ne 12 Sahaaba Ikram se jurabo’n par masah karna zikar kiya hai. Jis me Abdullah bin Masood r.a., Sa’ad bin abi Waqqas r.a. aur Umru bin Harees r.a. bhi shamil hain. Isi tarha sahal bin Sa’ad jurabo’n par masah kiya karte the.
(Ibne abi Shaiba V1 P 173)
Abu Imaama bhi jurabo’n par masah kiya karte the. (Ibne Abi Shaiba V1 P173)
Aur Anas r.a. bin Maalik ne wuzu karte hue apni topi aur siyah rang ki jurabo’n par masah kiya aur namaz padhi.
(Baheqhee V1 P285)
Ibn e Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijama’a hai.
(Mughnee by Ibne Qadaama V1 P332 – Mas’alaa 426)
Loghat A’arab Se ‘Jurab’ Ke Ma’ani:
Loghat arab ki motebar kibat Qaamus V1 P46 mein hai har wo cheez jo pao’n par pehni jaae, jo’rab hai. ‘Taj ul Uroos’ mein hai jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen lien wo joraab hai. Allama Ainee likhte hai joraab bate hue Oon se banai jaati hai aur pao’n me takhne se upar tak pehni jaati hai.
‘A’arzatul Hauzee’ mein shaareh hadees Imaam Abu Bakar ibne Arbi tehreer farmate hain: Jo’rab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liye oun ki bani jaati hai.
‘Umdatur Ra’aya’ mein hai jurabei’n rui ya’ani soot ki hoti hain aur balo’n ki bhi banti hain.
‘Ghayatul Maqsood’ mein hai ke jurabei’n chamde ki, Soof ki aur soot ki bhi hoti hain.
Pas saabit hua ke Jo’rab lifaafe ya libas ko kehte hain wo libas qhuwah charmi ho, ya ooni ham is par masah karsakte hain.
۞ Pagdi Par Masah:
Moghaira bin Shoba r.a. riwayat karte hain ke ‘Rasoolullah ﷺ ne peshani, pagdi aur mauzo’n par masah farmaya.’
(Bukhari: al Wuzu, Baab al Masah a’ala al Qhafeen 205)
Bilal r.a. bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne mauzo’n aur pagdi par masah kiya.
(Muslim: al Tahaara, Baab al Masah a’ala an Naasiya wal Imaama 275)
۞ Wazu Tutne Wali Chize:
۩ Sharamgaah Ko Haath Lagaane Se Wuzu:
Nabi e Akram s.a.w.. ne farmaya: ‘Jo shaqs sharamgah ko haath lagae pas wo wuzu kare.’
(Abu Dawood: al Tahaara P181). Ise Imam Tirmizee (al Tahaara: Baab al Wuzu 82) ne ise Hasan Saheeh kaha.
Ye hukam tab hai jab kapde ke baghair barah raast hath lage wallaho a’alam.
۩ Neend Se Wuzu:
Sayyadna Ali r.a. riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Dono’n aankhei’n, Suren ki sarband (tasma) hain. Pas jo shaqs so jaae ise chaahiey ke dobarah wuzu kare.’
(Abu Dawood: al Tahaara 203 – Ibn e Majah: al Tahaara 277) Ise Imam Ibne Islaah aur Imam Nawavi ne Hasan kaha.
۩ Hawa khaarij Hone Se Wuzu:
Rasoolullah ﷺ ke saamne ek aise shaqs ki haalat bayan ki gai jaise qhayal aaya ke namaz mein iski hawa qhaarij hui hai toh Nabi e Akram ne farmaya: ‘Namaz is waqt tak na tode jab tak (hawa nikalne ki) awaaz na sun le ya ise badboo mehsoos ho.’
(Bukhari: al Wuzu 137 – Muslim 361)
Is hadees se ma’aloom hua ke jab tak hawa qhaarij hone ka mukammil yaqeen na ho jaae wuzu nahi toothta lehaza jise peshab ke qatro’n ya waham ki bimaari hua ise bhi jaan lena chaahiey ke wuzu ek haqeeqat hai, ek yaqeen hai ye yaqeen se hi tut ta hai. shak ya waham se nahi.
۩ Qae, Nakseer Aur Wuzu:
Qae ya nakseer aane se wuzu toot jaane waali riwayat ko jo Ibn e Majah (1221) mein hai. Imaam Ahmad aur deegar muhaddiseen ne zaeef kaha hai, balke is silsile ki tamam riwayat saqht zaeef hain. Lehaza ‘Bara’at Asliya’ par amal karte hue (ye kaha jaa sakta hai ke) qhoon nikalne se wazu faasid nahi hota. Iski taeed is wa’aqea se bhi hoti hai, jo Ghazwa Zaat ar Raqa’a me pesh aaya. Jab ek Ansaari Sahaabi raat ko namaz padh rahe the, kisi dushman ne in par 3 teer chaae jin ki wajah se wo saqht zaqhmi hogae aur inke jism se qhoon behne laga magar iske bawajood wo apni namaz mein mashghool rahe.
(Abu Dawood: al Tahaara 198) Ise Imaam Haakim V1 P56 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
Ye ho‐hee nahi sakta ke Rasoolullah ﷺ ko is waqa ka ilm na hua ho ya aap ko ilm hua aur aapne inhei’n namaz lautane ya qhoon behne se wuzu toot jaane ka masla bataya magar saheeh ahadees me iska zikar na ho. Isi tarha jab Umar r.a. zaqhmi kie
gae to aap isi haalat me namaz padhte rahe halan’ke aapke jism se khoon jaari tha.
(Muwatta Imam Maalik: al Tahaara V1 P39 – Baihaqi, V1 P357)
Is se ma’aloom hua ke qhoon ka behna naaqis e wuzu nahi hai.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Agar namaz mein wuzu tuth jaae to naak par haath rakh kar lauto (T: Turn around; leave).’
(Abu Dawood: al Salah 1114) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.
۞ Kin Kaamo Ke Liye Wuzu Karna Waajib Hai Unka Bayan:
1. Namaaz Farz namaz ho ya nafil, namaaz janaaza ya koi aur namaz wuzu ke bagair qubool nahi hoti.
Abdullah bin Umar se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Wuzu ke baghair namaz qubool nahi hoti aur na hi maal haram se qhairat qubool hoti hai.’
(Muslim: 224)
Abu Huraira r.a se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Be wuzu aadmi ki namaz qubool nahi ki jaati yahaa’n tak ke wuzu kare.’
(Bukhari: 135 – Muslim: 225)
2. Tawaaf e Ka’aba:
Tawaaf e Ka’aba ke liye wuzu shart hai.
۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Qhaanae Ka’aba ka tawaaf namaz ki tarah hai pas is mein guftagu kam karo.’
(Tirmizee: Manaasikal Hajj 2922)
۞ Kis Kamo’n Ke Liye Wuzu Karna Sunnat Hai Inka Bayan:
1. Allah ka Zikr:
۩ Muhajir bin Qanfaz r.a. se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ko kisi ne salam kiya jab aap peshab kar rahe the to Nabi e Akram ne jawab na diya. Faraaghat ke ba’ad aapne wuzu kiya aur farmaya: main ne munaasib na samjha ke tahaarat ke baghair salaam ka
jawab du.
(Abu Dawood: al Tahaarat 17 – Ibn e Majah: al Tahaara 350) Imam Hakim V1 P167 Imam Zahabi aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha.
۩ Abu Jaheem r.a. se riwayat hai ke ‘Ek Aadmi ne Rasoolullah ﷺ ko salam kiya aap ne is ke salam ka jawab na diya fir aap deewar ke paas aae, apne chehre aur hatho’n ka masah kiya fir salam ka jawab diya.’
(Bukhari: 337 – Muslim: 369)
2. Jumbi Admi Sone Ya Khane Se Qabl Wuzu Kare:
۩ Rasoolullah ﷺ ne ek ansaari ko bulaya. Jab wo aaya to is ke sar ke balo’n se paani tapak raha tha.
Aap ne poocha: ‘Shayad tum jaldi mein nahae ho?’
Isne kaha haa’n Allah ke Rasool!
Aap ne farmaya: ‘(Haalat e Janaabat mein) agar kisi se fauri milna hua aur nahane mein der lage to wuzu karna hi kaafi hai.’
(Bukhari: al Wuzu 180 – Muslim: al Haiz 345)
۩ Umar e Farooq r.a. ne Aap se poocha main raat ko jumbi hota hu’n to kya karu’n?
Aap ne farmaya: ‘Sharamgah (alaae Tanaasul) (T: Pennis) dho daal, wuzu kar aur sojaa.’
(Bukhari: al Ghusl 290 – Muslim: al Haiz Baab Jawaaz Naumal Junub 306)
۩ Rasoolullah ﷺ jab haalat janaabat main khana ya sona chaahte to namaz ke wuzu ki tarha wuzu karlo.
(Bukhari: al Ghusl 288 – Muslim: al Haiz 305)
۩ Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: ‘Jo koi apni beewi se sohbat (T: Sexual Intercourse) kare aur fir dobarah karna chaahe to ise chaahiey ke dono’n ke darmiyan wuzu kare.’
(Muslim: al Haiz 308)
3. Har Namaz Ke Liye Wuzu:
۩ Anas r.a. bin Maalik se riwayat hai ke ‘Rasoolullah ﷺ har namaz ke liye wuzu karte the.’
(Bukhari: al Wuzu 214)
4. Ghusl Waajib Karne Se Pehle Wuzu Karna
5. Sone Se Pehle Wuzu Karna Jaisa Ke Bara’a Bin Aazib Ki Riwaayat Me Hai. (Bukhari 247)
•٠•●●•٠•