اقرأ باسم ربك الذي خلق

17 Aug 2018

Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Tarika Aur Unka Anjaam

en -
۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Tarika:

"Mai (Rasool) Ne Jab Kabhi Unhe Teri Bakshish Ke Liye Bulaaya, Unhone Apni Ungliya Apne Kaano Me Daal Li Aur Apne Kapdo Ko Odh Liya Aur Ad Gaye Aur Bada Takabbur Kiya."

Quran, Surah Nooh, Ayat-7.

Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:

“Unhone apne kaan band kar liye taaki wo sun na sake jiski taraf mai (Rasool) unhe bula raha tha. Sa`id bin Jubayr aur As-Suddi dono ne kaha ki wo apne sar dhaanp liya karte the taaki wo unki (Rasool ki) baat sun na sake. Aur bada takabbur kiya ka matlab ye hai ki unhone haq se muh fer liya aur (khud ko) haq ke supurd na kiya.”

Tafseer ibn Kaseer,  Surah Nooh, Ayat-7.

۞ Haq Ka Inkaar Karne Walo Ka Anjaam:

Aur wo kahenge, "Agar hum (unki baate) sun lete ya Aqal istemal kar lete, toh dozakiyo me (shareek) na hote."

Surah al-Mulk (67), ayat-10.

Imam ibn Kaseer is ayat ki tafseer me kahte hai:

“(Is ayat ka) Matlab, Agar ham apni aqal ka fayda uthate ya haq ko sunte jo Allah ne utaari hai toh fir ham Allah par kufr na karte aur uske bareme gumraah na hote. Balki hamare paas itni samajhdaari nahi thi ye samajhne ke liye jo Rasool laaye the, aur hamare pas aqal nahi thi taaki unki (Rasool ki) pairwi kar ke ham khud ko raahe raast par laa sakte.” 

Tafseer ibn kaseer, Surah al-Mulk (67), ayat-10.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame haq ki mukhalifat karne se bachaye aur haq ko sunne aur aqal se fayda uthane ki taufeek ata kare. aameen.
Related:

Read More »

14 Aug 2018

Shak Ki Binah Par Do Din Roze Rakhna


Hamare muashre me Chand ko dekhne ko lekar ahle ilm me ikhtilaf hai. Kuch log kahte hai ki jis din Saudi Arabia me Arafah ho us din roza rakhna chahiye aur kuch log kahte hai ki apne shahar ke mutabik yaani local moon ko dekhte hue arafah ka roza rakhna chahiye. Ye baat kabil e tafseel hai, Ap dono taraf ki raaye ko dekhe aur jo raaye apko Quran aur sunnat ke nazdeek lage ap use qubul karle.

Hamare muashre me ek galat zahniyat paayi jati hai, wo ye ki kuch log chand ko dekhne ko lekar galat natije se bachne ke liye Do (2) din roze rakhte hai, ek to Saudi Arab ke chand ke mutabik aur ek apne shahar ke chand ke mutabik, taaki is uljhan (confusion) ke wajah se unke roze bekar na ho jaye. Ye baat upari taur par to risk-free baat lag rahi hai par ye raaye kitab o sunnat ki taaleemaat ke khilaf hai.

۩ Ye isliye kyuki Allah s.w.t. Quran me kahte hai:

“Allah Kisi Shaks Par Uski Quwat Se Zyada Bojh Nahi Dalta..”

Surah baqara, Ayat- 286.

Ye Ayat khas taur par Deen par tahkeek karne aur us par amal karne ke talluq se hai.

Ha koi shaks kisi din apni marzi se roza rahna chahta hai to wo alag baat hai lekin koi is niyat se roza rakhe ki wo aesa samajhta ho ki kahi uska roza bekar na ho jaye to ye baat Deen ki taaleemaat ke khilaf hai. Ye Isliye kyuki ham maise kisi shaks par Allah ke taraf se wahee nahi aati hai ki hamare tahkeek me koi galti nahi ho sakti hai. Ham tahkeek karte hai haq baat ko janne ki niyat se, usme hamari tahkeek sahih hoti bhi ho sakti hai aur galat bhi. To Allah hame wo galti par nahi pakdega kyuki hamari niyat to sach janne ki thi, aur kyuki insani dimag perfect nai hota ye baat hamare aur apse zyada Allah ko behtar malum hai to aesa kaise ho sakta hai ki wo is galti par hamari pakad kare.

Balki sahih hadees me ye aya hai ki us galti par bhi hame ajr milega kyuki hamari niyat thi sach ko janne ki.

۩ Amr bin Al-`As r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Jab koi faisla (ijtihad) karne wala faisla karta hai apne behtareen ilm ke zarye aur (agar) uski raaye sahih hoti hai to use do (2) ajar milega, aur agar usne apne behtareen ilm ke zarye galat raaye qayam ki fir bhi use ek (1) ajar milega.

Sahih al-Bukhari, Book of Holding Fast to the Qur'an and Sunnah, hadith- 7352.

Toh agar aapne koi ek raaye qayam kiya hai roza rakhne ke talluq se, aur maan liya jaye ki apki wo raaye qayamat ke din galat nikli to apka wo roza waste nahi hoga kyuki apne sach ko janne ki koshish ki thi. Aur sath sath ye bhi jaan lein ki isse khuli aazadi nai mil jati apko, ap qayamat ke din Allah ke sawal se tabhi bach sakenge jab tak ap haqeeqat ko janne ki koshish karte hai, na ki jazbaat me akar ya kisi ulema ya imam ki aqeedat wa tassub me aakar ya khwahish ke bunyad par koi faisla karte hai. Aur is par ibn Qayyim r.h. ne tafseel se baat ki hai.

Imam Ibn ul Qayyim (d. 751 H.) ne farmaya: 

“Islam ke Ulema ki fazeelat, unke mukhtalif darje aur unki salahiyate aur unke hukuk ko jaano (ye zaruri hai).
(Ye bhi janne ki zarurat hai) ki unke Ilm aur unki fazeelat aur Allah aur uske Rasool ﷺ se inki ikhlas hame iska paband nai karti ki jo wo kahte hai ham unki har baat ko qubul karle, ya fir unke fatwe ki galti ko qubul karle un masaail me jinme (Quran aur sunnat) ki ibarat un tak na pohchi ho, is liye unke ilm ke mutabik unko jo sahih laga unhone wo kaha, halanki haqiqat kuch aur thi. (Agar ye hua ho) Toh ham par ye zaruri nahi ki ham unke har qawl ko jo kabhi unhone kaha ho usko dur fenk de, na hi ye zaruri hai ki unko badnaam kiya jaye ya unki qawl ko nichi nigaah se dekha jaye. 

Yaha par Do (2) na-insafi aur shiddat-pasandi hai (wo ye ki kisi ki har baat maan lena ya fir kisi ki har baat se inkaar kar dena) aur sahih rasta unke bich me hai. Ham na hi unhe (ahle ilm) ko chorte hai (unki galti ki wajah se) na hi unhe ham ye mante hai ki unse galti nahi ho sakti. Jiske pas bhi Deen ya Dunyawi muamlat ka kuch bhi ilm hai wo bina shak ke is baat ko janta hai ki kisi bhi izzatdaar shaks (ahle ilm) jisne Islam ki khidmat ki hai, is chiz ka imkaan hai ki usne kuch galti ki hogi. Albatta uski ye galti sirf muaf hi nahi hogi balki usko is ijtehaad jo usne tahkeek ke zarye ki hai, is par sawab bhi milega.
Is liye, us (ahle ilm) ki galti talash karne ki ijazat nahi hai, na hi uski izzat aur uska muqam jo uske liye logo ke dilo me hai usko tabah karne ki ijazat hai.”

I’laam-ul-Muwaqqi’een (Vol. 3, pg. 295).

•٠•●●•٠•

Ye usool e Deen zyada logo ke ilm me nahi hai isliye ap is khair ko unlogo tak pohchaye jin tak ham na pohcha sake ho.
Read More »

13 Aug 2018

Aashura Ya Arafa Ke Din Ke Roze Ko Qaza e Ramzan Ke Rozo Ke Sath Jama Karna

ur     hi     en -
Ahle ilm ke yaha ye masala ibadaat me shirkat ya tadakhul (pairing or combining acts of worship) ke naam se pahchana jaata hai, aur iski bahut saari surate hai jin me ye surat bhi shamil hai ke waajib aur mustahab ko ek hi niyat me jama kiya jaye, chunanche jis ne mustahab roze ki niyat ki to wo roza  farz roze ke liye kafi nahi hoga, lihaza jis ne aashura ki niyat se roza rakha to ye Qaza-e-Ramzan ke roze ke liye kafi nahi hoga.

Aur jis ne ramdaan ke qaza ke roze ki niyat se roza rakha aur ye aashura wale din rakhha toh ye Qaza-e-Ramzan ka roza to sahih hoga, lekin ise aashura ka roza nahi kaha jayega, baaz ahle ilm ke yahan ye umeed rakhi ja sakti hai ke isse aashura ke roze ka bhi sawaab hasil hoga. 

۩ Ar Ramli r.h. kahte hai:

“Aur agar wo Shawwaal me Qaza-e-Ramzan ya fir nazar wagaira ke roze rakhe, ya isi tarah Yaum-e-Aashura me to use iske nawafili roze ka bhi sawaab hasil hoga, jaise ke mere waalid r.h. ne Baarizi, al-Asfooni, an-Naashiri, faqeeh ‘Ali ibn Saalih al-Hadrami wagaira ki raaye par amal karte hue fatawa diya hai.

Lekin isse usko muqammal sawaab hasil nahi hoga jo akela aashura ka roza rakhne ka sawaab hai, khaas kar jiska Ramzan ka roza chhut gaya hai aur usne uske badle shawwaal me roza rakha hai”. End quote.

Dekhein: Nihaayat al-Muhtaaj (3/208).

Aur Mughni al-Muhtaaj (2/184) aur Hawaashi Tuhfat al-Muhtaaj (3/457) me bhi isi tarah ki raaye darj hai.

۩ Aur Shaykh Ibn ‘Uthaymeen r.h. kahte hai:

“Jis ne Yaum-e-Arafa ya Yaum-e-aashura ka roza rakha aur uske upar Ramzan ki qaza roze bhi baaki ho to uska roza sahih hai, lekin agar wo is din Qaza-e-Ramdaan ke roze ki niyat karta hai to ise dono ajar Youm-e-Arafa aur Youm-e-Ashura ke sath Qaza-e-Ramdaan ke roze ka bhi ajar milega.

Ye to sirf nawafili roze ke mutallik hai jo Ramdaan-ul-Mubarak ke sath koi talluq nahi hai, lekin Shawwal ke chhe 6 roze to Ramdaan-ul-Mubarak ke sath jude hai aur ye Ramdaan-ul-Mubarak ke roze mukammal hone ke baad hi honge.

Is liye agar koi shaks ramdaan ke rozon ki qaza se pahle hi Shawwal ke roze rakhta hai to ise Shawwal ke che 6 rozon ka ajar hasil nahi hoga, kyunki Rasool ﷺ ka farmaan hai: "Jis ne Ramzan ke roze rakhe aur fir uske baad Shawwal ke che 6 roze rakhe to goya ke is ne saare saal ke hi roze rakhe".

Ye maloom hai ke jis ke zimme Ramzan ke rozon ki qaza ho ise to ramzan ke saare roze rakhne wala shumaar hi nahi kiya jayega, hatta ke wo ramdaan ke roze mukammal karle.” End quote.

Dekhein: Fataawa as-Siyaam (438)

Isliye insaan ko apne zimme rozon ki qaza ki adayegi karne me jaldi karni chahiye, kyunki ye nawafli rozon se zyada zaruri hain, lekin agar iske liye waqt tang ho aur wo qaza ke saare roze na rakh sake aur use khadsha ho ke agar wo qaza ke saare roze rakhega to ek fazilat wale din ke roze ka ajar o sawaab hasil nahi kar sakega maslan Youm-e-aashura ya Youm-e-Arafa toh is din qaza ki niyyat se roza rakhle, ummeed hai ke wo Youm-e-Ashura aur Youm-E-Arafa ka ajar o sawaab bhi hasil kar sakega, kyunki Allah Subhan o taala ka fazal o karam to bahut wasee' hai.

•٠•●●•٠•
source: Islamqa.info
Read More »

11 Aug 2018

Madkhali Bhaiyo Ko Ulema Ke Taraf Se Dawat e Islah

hi  -
Assalaam alaykum.

Alhamdulillah wassalaato wasasslaaam ala RasoolAllah.

Agar ap is field me ilm rakhte hai to apko pata hoga ki badkismati se hamare salaf ke manhaj ke manne walo me bhi firqe ban rahe hai kuch saalo se. Aur is baat ka saaf taur par Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee ne apni kitab 'Have mercy upon Salafiyyah' ke page no-11 me zikr kiya hai, Ye shaykh bin Baaz ke senior student hai aur Markaz Ad-Da’wah, Taaif, Saudi Arabia ke head hai.

To Salafi jamaat maise ek jamaat hai jisko aam taur par Madkhali salafi kaha jata hai. Kuch log inlogo ko aur naam bhi dete hai, jaise ki Shaykh Asim al Hakeem in logo ko 'Neo Salafi' ke naam se zikr karna pasand karte hai.

To mai ab fark bata du taaki koi shak wa shubah na baaki rahe. Ek to hamare Salafi bhai hai jo ki aam taur par mukhlis hote hai, sahaba aur salaf ke tarike par zindagi basar karne ki koshish karte hai alhamdulillah aur hamlog ka aur inlog ka manhaj ek hi hai ki Quran aur Sunnat ko salaf ke fahm se samajhna hai.
Aur jo madkhali log hai inlogo ka rawayyat kaafi alag hai. Mai apne comments ke bajaye apko ulema e haq ke comments bataunga in shaa Allah.

Toh ye jo Madkhali Jamaat hai inlogo ne is darje ke amal kiye hai ki hamare mohtaram ustaad, Shaykh Zubair Ali Zai, Shaykh Fawzan, Shaykh ibn Uthaymeen, Shaykh Asim al hakeem, wagaira ko khud maidaan me aakar inka radd karna pada aur ye batana pada unhe ki jo ye log jis tarha ki harkat karte wo salaf ka manhaj bilkul nahi hai balki inhone salafiyat ka rasta hi chor diya hai. Aur in logo ke kartut ke wajah se hamare salafi manhaj ko nuksan pohch raha hai.

Fatwe to fatwe, hamare ulema e karaam ko in logo ke khilaf kitaabe tak likhni padi inlogo ki harkato ke wajah se. Kuch mashhoor kitabo ke ye naam hai:

۩ Salafiyat Par Rahem Kare - Shaykh Badr Ibn Alee Ibn Taamee Al-Utaybee [senior student of Shaykh ibn Baaz].
۩ Sunnat Wale log - Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad.
۩ Ye Manhaj e Salaf Nahi - Shaykh Muhammad Bazmool.

Apko ye teeno kitabe is link se download kar sakte hai: https://goo.gl/1PsJUA

Aur inke khilaf jo hamare ulema ke sakht fatwe hai mai apse wo bhi share karunga in shaa Allah. Lekin usse pahle apke zahen me ye sawaaal aa raha hoga ki ham un salafio ko pahchane kaise kyuki aksar wo khud ko sirf salafi hi kahte hai kyuki unko pata hai ki unka radd kiya hua hai hamare ulema e karaam ne. Toh jo in kitabo me unki nishaniya batayi gai hai mai us par roshni daal kar apko fark waazeh karunga in shaa Allah.

۩ Pahli baat: Jo salafi honge unko ap is masrufiyat me payenge ki wo logo ko Quran aur sunnat ke taraf aur Tawheed ki taraf bulane me masroof rahenge, ye log dusro par aam taur par tanqeede nahi karte. Jab ki jo Madkhali salafi honge wo log din bhar bas ahle ilm ki galtiya nikalne aur un par hamla karne me masroof rahte hai.

Shaykh Abdul Azeez bin Abdullah (grand mufti of saudi arabia) kahte hai:

"Talib E Ilm Is Tarhan Fula Fula Logo Par Hamla Karte Hue Khud Ko Masroof Nahi Karte. Lekin Woh Achi Tarha Se Islaah Aur Khair Ke Taraf Logo Ko Bulane Me Masroof Rahte Hai."


۩ Dusri baat: Jo Salafi hote hai wo ahle sunnat ke logo ki galtio se deal karna aur ahle biddat ke logo ki galti se deal karne me fark karte hai. Yaani jo shaks shirk aur biddat karta hai aur jo Tawheed parast hai jo biddat nahi karta in dono se islah karne ke rawayyo me fark karte hai. Isi liye apko ye pata hoga ki Dr. Zakir, Dr. Israr wagaira ki galtiyo par hamare ulema itna sakht tabsirah nahi karte aur aksar ulema to inki galtiyo par kuch comment hi nai karte kyuki unhe pata hai ki ye ahle ilm shirk aur biddat me mulawwis nahi hai ha ijtihadi agar koi galti ho jaye to isme koi badi baat nahi hai wo kisi se bhi ho sakti hai.
Lekin jo Madkhali honge wo in ahle ilm aur inke students ko zero se multiply kar denge jaise wo shirk aur biddat me dube hue logo ke sath karte hai, aur un par gumrah, manhajless, biddati, pata nahi kya kya kahenge.

Shaykh Bazmool farmate hai: Yeh Mahajj se Salaf maise nahi ki ahle sunnat ke logo ki galtiyo se waise hi deal kiya jaye jaise ki ahle biddat ki galatiyo se deal kiya jata hai. Beshak Adam ki har aulad se galti hoti hai, is liye logo ka manhaj dekha jayega (ki wo ahle biddat hai ya ahle sunnat) aur uski galti par usi tarah deal kiya jayega.

Kitab - Ye Salaf ka Manhaj nahi, page-3.

۩ Teesri Baat: Madkhali log, logo ki galti par unhe naseehat karne ke bajaye ye unki galti ko logo me aam kar dete hai aur ye logo ki galti par unhe samjhane ke bajaye unhe boycott karna shuru kar dete hai ki inhe mat suno, is website se aagah ho jao, inke pas baitho mat, inko padho mat, wagaira.
Jab ki jo Salafi hote hai wo in sab chizo me nahi padte hai kyuki wo jante hai ki Quran me Allah pak ne bas hame haq baat batane ki zimmedari daali hai na ki logo ko hidayat dene ki.

Shaykh Fawzan kahte hai:

“Aur jhagde ko chor de, jo talib e ilmo ke bich ho gayi hai, (ek dusre se) nafrat karna, lanat karna, logo ko ek dusre ke khilaf karna, jab tak ke wo ummat aur talib e ilmo ko apas me baant na de, (aur unka kahna ki): "In in logo se khabardaar ho jao! fula aur fula ke sath baitho mat! fula aur fula ko mat padho!" - Iski ijazat nahi hai.

Agar fula aur fula ne galti ki hai, toh ek ek karke unhe naseehat kare, jab ki isko (unke galtiyo ko) logo me faila dena aur inke khilaf logo ko aagah karna jab ke wo alim hai, ya talib e ilm hai, ya koi nek shaks hai jisne galti ki hai, iski zarurat nahi hai ki un galtiyo ko logo me failaya jaye

Jo zaruri hai wo ye ki ap imaandaari se ek dusre ko naseehat kare, jo zaruri hai wo ye ki ap ek dusre se muhabbat kare, khas taur par talib e ilm se, khas taur par ulema se, ulema ki izzat ki jaye, aur na ki unko ek dusre ki khilaf kiya jaye, aur na hi un logo se aagah kiya jaye, Ye boht si buraai ki wajah hai, jhagda aur nafrat ki wajah hai, fitnah ki wajah hai - in sab chizo ko (sahih) raste par laaya jaye.”

source : https://youtu.be/LtG6F5mEPtM

Toh ye bunyaadi teen fark the jinke zarye ap unhe pahchan sakte hai. Ab mai in Madkhali hazraat ki ek baat aur batata hu. Ye log ahle ilm ki galti nikalne aur unhe out of context quote karne me expert hote hai, chahe wo shaks kitna hi Tawheed-parast aur sahih aqeede ka kyu na ho, bas agar apne in Madkhaliyo se zara sa koi ikhtilaf kar diya to ye apko na samjhayenge na islah karenge. Ye khamoshi se pahle apki choti choti galtiya talash karenge, agar galti na mile to ye apki baato ko galat aur out of context quote kar ke unhe jama karenge, aur fir ye is chiz ko logo me ya apni websites me faila denge taaki ek aam salafi bhi confuse ho jaye ki ye banda ya ye ahle ilm to Quran aur sahih hadith se baat karta hai, shirk aur biddat ke bhi khilaf hai, fir aesa kyu hua?

Aur ye log din bhar baith kar bas yahi kiya karte hai, inka main Islam yahi hai. In logo ne Dr. Zakir Naik, Dr. Israr, Dr. Farhat Hashmi, aur yaha tak ke Shaykh Zubair ali zai ko bhi nahi baksha jo ki ek boht bade aalim aur muhaddis hai. Ab ap khud soche jab ye itne bade alim ko nahi bakshte to ye hamare aur ap jaise talib e ilm ko kaise baksh denge:

Shaykh Zubair Ali Zai kahte hai:

"England wagaira ke taqleedi Salafiyo ne kazb (jhut) wa iftira (bohtan lagana) aur tashaddud (extreme) ki raah apnate hue Ahle Hadees Ulema wa aawaam par radd shuru kar rakhen hai. Zara si baat ya ijtehadi khata par wo logon ko salafiyat se bahar nikal dete hai. Is tarah ke log purane jamane me bhi the jin ke baare me Hafiz Zahabi r.h. likhte hai:

'Ye Ashaab e Hadees nahi hai balki wo faajir wa jaahil hai. Allah unke shar ko dur kare.'

(Siyar A'lam al-Nubala, 17/460).

Unhi kazzabeen (liars) maise Abu Khadija Abdul Wahid bin Muhammad aalam meerpuri, Yasir Ahmad bin Khushi Muhammad aur Abu Yusuf Abdur Rahman haafiz, teeno kazzab wa iftara (bohtan lagane) me bohot mashoor hai."

Al Hadith Hozro, volume-11, page-42.

Inka fitna shuru me to sirf england wagaira me tha lekin kuch saalo se ye hamare sub-continent me inka fitna kaafi fail gaya hai. Ap dekh sakte hai ki shaykh zubair kitne sakht alfaz me in logo ka radd kar rahe hai. Shaykh Zubair ki dua par ham aameen kahte hai.

Aur isi tarha se Shaykh Fawzan,  Shaykh ‘Abdul-Muhsin bin Hamad al-‘Abbaad, Shaykh Asim al Hakeem jaise ulemao ne in logo ka radd kiya hai. Niche diye gaye 2 links me ap in ulema ka radd padh sakte hai:


Aur akhir me mai apne mohtaram Ustaad Shaykh ibn Uthaymeen ka fatawa pesh karna chahunga jo ki unhone Madkhaliyo ke bareme kaha hai:

“Hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya hai jis tarha se dusre groh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye ki Salaf as saaleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne par inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli (weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch bhi lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI."” End quote. 

Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246.

Aur akhir me, in sab ka maqsad kisi ki burai karna, ya kisi ko sunne se rokna nahi hai. Balki jo log confuse hote hai unki harkato se unki confusion dur karna hai. Aur mai unlogo ke tarha ye bhi nahi kahunga ki in logo ko ap sunna band karde ya inlogo ke liye galat zuban istemal kare, balki jab bhi apko aese log mile toh Ap muskura kar ache akhlaq se unhe Quran aur sunnat ki roshni me bataye ki ye jo amal karte hai ye sahaba nahi kiya karte the aur ikhtilaf ki halat me salaf ka rawayya kya hua karta tha. Aur unhe upar zikr karda fatawa dekar samjhaye ki unhone kaha par salaf ka rasta chor diya hai, kyuki wo hamare hi Musalman bhai hai jinko galti lag gayi hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

10 Aug 2018

Qurbani Ki Iste'tat Na Rakhne Walo Ke Liye Qurbani Ka Sawab

ur     en     hi -
Abdullah bin Amr r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne ek shakhs se farmaya : “Mujhe Qurbani ke din (daswi Zul hijja) ko Eid manane ka hukm hua hai, Allah taala ne is din ko is ummat ke liye Eid ka din banaya hai”, woh shaks bola: 'Agar mere paas siwaye ek-do dahari (karz par lena) bakri ke kuch na ho to Aap ka kya khayaal hai? Kya mai is ki Qurbani karu? Aap ﷺ ne farmaya : “Nahi”, balke tum (qurbani ke din) apne baal, naakhun kato, apni moonchh tarasho aur naaf ke neeche ke baal kaato, to yeh Allah taala ke nazdeek tumhari mukammal Qurbani hai.”

Sunan Nisai, The Book of ad-Dahaya (Sacrifices), hadith 4370. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Yaani Jo log Qurbani ka Sawab hasil karna chahte hai lekin Qurbani karane ki unki iste'tat (capacity) nahi hain toh wo log bhi is sawab ko hasil kar sakte hai, Zul hijja ka Chand dekhne ke baad apne baal aur nakhun kaatne as ruk Jaye aur Eid ki Namaz padh Kar unko kaat le to unhe bhi mukammal Qurbani ka sawab milega.

•٠•●●•٠•
Read More »