اقرأ باسم ربك الذي خلق

29 Dec 2018

Do Sajdo Ke Bich Ki Dua

hi  -
۞ Do Sajdon Ke Darmiyan Padhi Jane Wali Duae Yeh Hain:

۩1. Huzaifa r.a. riwayat karte hain, RasoolAllah ﷺ dono’n sajdo’n ke darmiyan padha karte the:

“Rabbigh Firlee Rabbigh Firlee” [arabic pic]

[Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma, Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma.]

Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadith- 874. Imam Hakim aur Imam Zahabi ne Saheeh karar diya hai.

۩2. Ibn e Abbas r.a. riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ dono’n sajdo’n ke darmiyan (ye) padhte:

“Allahummagh Firlee war Hamni wa A’afinee wa Ahdini war Zuqhni” [arabic pic]

[Aye Allah! Mujhe Baksh De, Mujh Par Raham Farma, Mujhe Aafiyat Se Rakh, Mujhe Hidayat De, aur Mujhe Rozi A’ata Kar.]
Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadith- 850. Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh karar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal karne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »

18 Dec 2018

Us Shaks Ki Tawba Jisne 99 Aur 1 Katl Kiye

   en     ur     hi -
Abu Sa'id al-Khudri r.a. riwayat karte hai ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Tum se pahle logo me se ek (1) shakhs tha, Us ne ninanwe (99) qatal kiye, fir is ne zameen par basne walon mai se sab se bade aalimo ke baare mein pucha (ke woh kaun hai). Use ek (1) Rahib (monk) ka pata bataya gaya. Woh us ke paas aaya aur pucha ke maine ninanwe (99) qatal kiye hain, kya uske liye Tawba (ki koi gunzaish) hai? Us (rahib) ne kaha, 'Nahi'. Toh us ne use bhi qatal kar diya aur is (ke qatal) se sao (100) qatal pure kar liye.
Us ne fir ahle zameen me se sab se bade aalim ke baare me daryaft kiya. Use ek aalim ka pata bataya gaya. Toh is ne (ja kar usse) kaha, 'Mai ne sau (100) qatal kiye hain, kya is ke liye tauba (ka imkaan) hai? Us (aalim) ne kaha: 'Haan', tumhare aur tawba ke darmiyan kaun aa sakta hai? Tum fulaa fulaa sar-zameen par chale jao, wahan (aise) log hain jo Allah taala ki ibadat karte hain, tum bhi un ke sath Allah ki ibadat mein mashgool ho jao aur apni sar-zameen par wapis na aao, yeh buri (baton se bhari hui) sar-zameen hai.

Woh chal pada, yahan tak ke jab aadha rasta taye kar liya to use maut aa gai. Is shaks ke baare mein rahmat ke farishtay aur aazaab ke farishte jhagadne lage. Rahmat ke farishto ne kaha, Yeh shakhs tawba karte hua apne dil ko Allah ki taraf mutwajjah (mod) kar ke aaya tha aur aazaab ke firshton ne kaha, is ne kabhi neki ka koi kaam nahi kiya. Toh ek farishta aadmi ke roop me un ke paas aaya, un (farishto) ne use apne darmiyan (faisla karne wala) muqarrar kar liya. Us (farishte) ne kaha, Dono zameeno ke darmiyan faasla naap lo, woh dono me se jis zameen ke zyada qareeb ho toh woh usi (zameen ke logon) maise hoga. Unhone faasle ko naapa toh use us zameen ke qareeb tar paaya jis ki taraf woh ja raha tha, chunanche rahmat ke firshton ne use apne hatho me le liya.”

Hasan (basri) ne kaha: (Is hadees me) hame bataya gaya ke jab use maut ne aa liya tha to isne apne seene se reng kar khud ko (gunaaho bhari zameen se) dur kar liya tha.

Sahih Muslim, Kitab al Tawba ﴾50﴿, hadith- 7008.

•٠•●●•٠•

Aye Allah ham apne gunaho se tawba karte hai, hame muaf farma dein. aameen.
Read More »

12 Dec 2018

Tassub - Ek Bimari


Allah farmate hai:

Beshak Allah Ke Nazdeek Deen Islam Hi Hai Aur Ahle Kitab Ne Apne Paas Ilm Aa Jaane Ke Baad Aapas Ki Sarkashi Aur Hasad Ke Bina Par Hi Ikhtilaf Kiya Hai, Aur Allah Ki Aayato Ke Sath Jo Bhi Kufr Kare Allah Us Ka Jald Hisaab Lene Wala Hai.

Surah aal e Imran ﴾3﴿, ayat- 19.

Tassub ek aesi bimari hai ki baaz auqat bade se bade insan ko bhi pata nahi chalta hai ki wo isme mubtala ho chuka hai. Jab kisi shaks se ap ikhtilaf kare to ilmi ikhtilaf kare daleel ke sath. Iske bajaye us shaks ki niyat par hamla karna aur uski zaati zindagi ko bich me le ana ya usko zero se multiply kar dena ye ilmi jahalat hai. 

Aiye sahaba ke tarike par roshni dalte hai. Sahaba e karaam me apas me bade bade ikhtilaf hue, yaha tak ke us masle me bhi ikhtilaf hue ki agar wo masle me koi aj hamse ikhtilaf kare to use ham apne manhaj se hi nikal denge. Rasool ko Allah ka dekhna, kabr me murde sunte hai ya nahi, Rasool zinda hai ya nahi. in sab chizo me bhi ikhtilaf hua. Lekin sahaba ka amal dekhye kya unhone ikhtilaf ke waqt ye kaha ki Abu Bakr ko mat suno Umar ko mat suno, inse dur raho unse dur raho, ya fula gumrah ho gaya hai, nauzbillah. Balki unhone daleel ke roshni me ek dusre se baat ki. Hamara bhi yahi manhaj hona chahiye, par afsos ye manhaj boht kam logo ka hai aj ke zamane me. 

Allah pak farmate hai,

'Logo Ko Apne Rab Ke Raastey Ki Taraf Hikmat Aur Khubsurat Nasihat Ke Sath Bulaiye Aur Unse Behtareen Tareeqe Se Bahes (Guftagu) Karye.'

Surah Nahl, ﴾16﴿, ayat- 125. 

Hamesha yaad rakhein ki kisi ka ahtaraam apko yaha tak na le jaye ki ap uski galti ko bhi defend karne lage aur kisi shaks ki tanqeed apko yaha tak na le jaye ki ap uska wajibi ahtaraam bhi karna chor dein.

Allah farmate hai,

'Aye eeman walo! Allah ki raza ke liye Adl wa insaaf ke sath dat kar gawahi dene wala bano. Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai aur Allah se darte raho, beshak Allah tumhare aamaal ki puri khabar rakhta hai.'

Surah Maida ﴾5﴿, ayat- 8.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame tassub, hasad, bughz aur in jaisi shar wali chizo se mahfuz rakhe. aameen.
Read More »

11 Dec 2018

Kisi Shaks Ke Sach Baat Ko Promote Karna, Us Shaks Ko Promote Karna Nahi Hota


Kisi shaks ki sahih baat ko qubul karna, us shaks ko promote karna nahi hota hai balki us shaks ke sach (kitab/sunnat ki) baat ko promote karna hota hai. Misaal ka taur par agar ek kafir kahta hai ki Allah ek hai, toh uski ye baat ko tasleem kar ke ham us kafir ko nahi promote karte hote hai balki usne jo sach baat kahi hai use promote karte hai. Isi tarha agar ek shaitan kahta hai ki RasoolAllah aakhri paigambar hai toh uski ye baat qubul karna us shaitan ko promote karna nahi hota hai balki usne jo sach baat kahi hai use promote karna hota hai.

Hamari daleel ye hai:

Allah ﷻ farmate hai,

Kahdo, 'Aye Ahle Kitab! Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Tum me aur Hum’me Yaksa Hai.'

Surah aal e Imran, ﴾3﴿, ayat-64.

Is ayat me khud Allah ﷻ ek yaksaniyat par aane ka hukm dete hai. Yaani agar ham unke kitab se khuda ka ek hona sabit karte hai jo ki hamare kitab me bhi hai to isse ham sach ko promote karte hai na ki kisi eesai aur yahudi ko promote karte hai.

۞ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai, unho ne kaha, "Rasool ﷺ ne mujhe sadqa e fitr ki hifazat par muqarrar farmaya. Fir ek shaksh aaya aur dono haaton se (khuzoore) sametne laga. Maine use pakad liya aur kaha ki mai tumhe Rasool ﷺ ki khidmat mein pesh karung, fir Abu Huraira r.a. ne ye pura qissa bayan kiya. (Jo sadqa e fitr churane aaya tha usne kaha ki Rasool ﷺ ke paas na le chalo iske badle mai tumhe kuch alfaz sikhata hu jisse tumhe fayda hoga) Usne kaha Jab tum raat Ko Apne bistar par sone jao toh Ayat al Kursi padh liya karo. Fir subah tak Allah tala ki taraf se tumhari hifazat karne wala ek Farishta muqarrar ho jaye ga aur shaitan tumhare paas bhi nahi aa sakega. (Hazrat Abu Huraira r.a. ne ye baat Aap ﷺ se bayan ki toh) Nabi ﷺ ne farmaya, "Usne tumse Sach kaha hai, agarche wo jhuta hai, wo shaytan tha."

Sahih al Bukhari, Kitab Fazail al Quran ﴾66﴿, hadith- 5010.

Is hadith ke baad ab koi shak ki gunzaish hi nahi bachti, kyuki is baat par RasoolAllah ki mohar lag gai hai. Aur yahi tarika hamare aslaaf aur ulema e karaam ka raha hai.

۩ Mahmud Shukri al Alusi r.h. kahte hai,

أن من مكايد الغلاة؛ التشنيع على أهل الحق ودعاة التوحيد من المؤمنين أنهم يكفّرون المسلمين، ومقصودهم من ذلك تنفير القلوب عنهم، ولذلك يلقبونهم بألقاب مشعرة بالذم، كالمجسّمة والحشوية، وفي هذه الأزمنة يلقبونهم بالوهَابية، وبالمنكرين ونحو ذلك-

“Sach ko kisi se bhi qubul karna chahiye, dekho kya baat kahi ja rahi hai, na ki kaun kah raha hai, Ali r.a. ke taraf ye nisbat hai ki unhone kaha, “Ye mat dekho kaun kah raha hai, ye dekho ki kya baat kahi ja rahi hai”. Allah ﷻ farmate hai,
Aye Logo! Hum Ne Tum Sab Ko (Ek Hi) Mard Aur Aurat Se Paida Kiya Hai Aur Is Liye Ke Tum Aapas Me Ek Dusre Ko Pahchaano, Kumbe Aur Qabile Bana Diye Hai, Allah Ke Nazdeek Tum Sab Maise Ba-Izzat Wo Hai Jo Sab Se Zyada Darne Wala Hai.” [49:13]

Ghyat al Amani, 2/112.

Note: Mahmud Shukri al Alusi, Shihab ud din Mahmud al Alusi ke pote (grandson) hai jinhone Tafsir Ruh al Mani likhi hai.

۩ Shaykh Saleh al Munajjid jinka islamqa.info website hai. Shaykh apne fatawo me Imam Ghazali ki bhi raaye lete hai jo unke nazdeek sahih raaye hoti hai jab ki Imam Ghazali sufi the:
۩ https://islamqa.info/en/answers/98607/he-is-asking-about-a-duaa-to-bless-his-business

Toh isse malum hua ki kisi shaks ke sach baat ko promote karna, us shaks ko promote karna nahi hota balki kitab wa sunnat ko hi promote karna hota hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Deen ki sahih samajh ata kare. aameen.
Read More »

2 Dec 2018

Choti Nekiyo Ko Kam Aham Ka Na Samjho

en  -
Allah farmate hai:

۩ Ham ne har insan ki buraee bhalaee ko uske gale laga diya hai aur baroz e qayamat ham us ke samne us ka naam-e-aemaal nikalenge jisse woh apne upper khula hua paa le ga.

(Aur unse kaha jayega) Lo! Khud hi apni kitab padh lo. Aaj toh tum apna khud hisab lene ko kafi hai.

S
urah Isra ﴾17﴿: Ayat No 13-14.

۩ Aur kitab e aamaal rakh di jayegi, pas Aap mujrimon ko dekhenge ke woh is se darne wale honge jo is me hoga aur kahenge ke Haye! hamari kambakhti! Yeh kitab kaisi hai jisne chhota-bada kuch bhi nahi choda magar usko shumar kar rakha hai aur jo bhi unhone kiya tha woh sab is ko samne payenge aur apka Rab kisi ek par (bhi) zulm nahi karta.

Surah Kahf ﴾18﴿ Ayat No 49.

۞ Adi bin Hatim r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Apne ap ko jahannam ke aag se bachao wo kyu na aadhi khajur hi dekar ho aur agar wo bhi nai ho sakta to achhi baat karke.”

Sahih al Bukhari, kitabul zakaat ﴾24﴿, hadith-1417.

۞ Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya ki kisi bhi neki ko kam aham ka na samjho chahe yahi ho ki tum apne bhai ko muskurate hue chehre se milo. 

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadith- 6690.

۞ Huzaifa r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishte aaaye aur pucha ki tune kuch achhey kaam bhi kiye hain? Rooh ne jawab diya ki main apne naukaro se kaha karta tha ki wo maaldaar logo ko (jo unke karzdaar hai) mohlat de diya kare aur un par sakhti na kare aur mohtaajon (ka karz) muaf kar diya karein.

Fir farishton ne bhi us se darguzar ki aur sakhti nahi ki.”

Sahih al Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadith- 2077.

۞ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

“Ek fahashah aurat sirf is wajah se baksh di gayi ke wo ek kutte ke qareeb se guzar rahi thi, jo ek quwe ke qareeb khada pyasa bhanp raha tha. Aisa malum hota tha ke wo pyas ke shiddat se abhi mar jayega. Us aurat ne apna mojah nikala aur usme apna dupatta bandh kar pani nikala aur us kutte ko pila diya, to iski bakshish us (neki) ke wajah se ho gayi.”

Sahih Bukhari, kitab bada al khalq ﴾59﴿, hadith- 3321.

۞ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Ek shaks raaste ke upar padi hui darakht ki ek shaakh ke paas se guzra toh usne kaha, 'Allah ki kasam mai is shaakh ko musalmano ke raaste se hata dunga taakeh ye un ko nuksan na de toh us shaks ko Jannat me dakhil kar diya gaya.”

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadees- 6670.

۩ Ibn Abd al-Barr r.h. kahte hai:

ﻭَﻟَﺎ ﻳَﻨْﺒَﻐِﻲ ﻟِﻠْﻌَﺎﻗِﻞِ ﺍﻟْﻤُﺆْﻣِﻦِ ﺃَﻥْ ﻳَﺤْﺘَﻘِﺮَ ﺷَﻴْﺌًﺎ ﻣِﻦْ ﺃَﻋْﻤَﺎﻝِ ﺍﻟْﺒِﺮِّ ﻓَﺮُﺑَّﻤَﺎ ﻏُﻔِﺮَ ﻟَﻪُ ﺑِﺄَﻗَﻠِّﻬَﺎ-

“Ek aqalmand momin wo hai jo kisi bhi amal ko chota (ya kam aham ka) na samjhe. Kabhi kadaar, ek chote amal ke wajah se uski magfirat kar di jati hai.”

At Tamheed 22/12.

•٠•●●•٠•
Read More »

24 Nov 2018

Islam Me Insaaf Hai

  hi     en  -
Allah ﷻ farmate hai,

“.. Jab koi baat kaho toh insaf se kaam lo, chahe muamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho.”

Suran Anaam, ayat-152.

Dusri jagah Allah ﷻ farmate hai,

“Aye eeman walo! Adal-o-insaf par mazbuti se jam jane wale aur khushnoodi-e-maula ke liye sachhi gawahi dene wale ban jao goh woh khud tumhare apne khilaf ho ya apne maa-baap ke ya rishtedaar ke. Wo shaks chahe ameer ho ya gareeb ho, dono ke sath Allah ko zyada talluq hai. Is liye tum khwahish-e-nafs ki pairwi mat karo ki haq se hat jao, aur agar tum baatein banaoge ya muh fer loge toh jo kuch tum kar rahe ho Allah usse ba-khabar hai.”

Surah Nisa, ayat-135.

Allah ﷻ ek aur jagah farmate hai,

“Aye eeman walo! Allah ki raza ke liye Adl wa insaaf ke sath dat kar gawahi dene wala bano. Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai aur Allah se darte raho, beshak Allah tumhare aamaal ki puri khabar rakhta hai.”

Surah Maida, ayat-8.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ke Makhzumi khatoon jinhone (gazwah fatah ke mauka par) chori kar li thi, is ke mua'amle ne quraish ko fikr me daal diya. unho ne aapas me mashwara kiya ke is mua'amle par Aa Hazrat ﷺ se guftagu kaun kare! Aakhir yeh taye hua ke Usama bin Zaid r.a. Aap ﷺ ko bahut azeez hai. Un ke siwa aur koi is ki himmat nahi kar sakta. Chunanche Usama r.a ne Aa Hazrat ﷺ se is bare me kuch kaha to Aap ﷺ ne farmaya, “Aye Usama! Kya tum Allah ki hudood maise ek had ke bare me mujh se sifarish karte ho?”
Fir Aap ﷺ khade hue aur khutba diya (jis me) Aap ne farmaya: “Pichli bohut si ummate is liye halaak ho gayi ke jab un ka koi aala aadmi chori karta toh use chhod dete aur agar koi gareeb chori karta toh us par Allah ki saza daal dete aur Allah ki qasam! Agar Muhammad ki beti Fatima (RasoolAllah ki beti) bhi chori kare to mai is ka bhi haath kaat dalu.”

Sahih al Bukhari, book of Prophets (60), hadith - 3475.

•٠•●●•٠•
Read More »