اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Jun 2019

Namaz Tarjume ke Sath


Alhamdulillah..

Is article ka maksad ye hai ke ham apni namaz me dunyawi soch o fikr ko nikaal kar khushu aur khuzu ke sath namaz ada kare taaki ham behtareen namaz ko Allah ke huzur pesh kar sake.

۞ Sana

۩ سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ ﴿﴾ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ ﴿﴾ وَتَعَالَى جَدُّكَ ﴿﴾ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ

Subhanaka Allahumma wa Bihamdika wa Tabarakasmuka wa Ta’ala Jadduka walaa Ilaaha Gairuka.

Aye Allah tu paak hai, (ham) teri taareef ke sath (teri paaki bayan karte hai) tera naam (bada hi) baa‐barkat hai, teri buzrugi buland hai, tere siwa koi ma’abood nahi.

Jamia Tirmizi, kitab al salah, hadees- 243. Sunan abu dawood, kitab al salah, hadees- 776. Ibn e Majah, hadees- 806. Ise Imam Haakim aur Hafiz Zahabi ne Saheeh kaha.

۞ Surah Fatiha

۩ بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ ﴿١﴾ الْحَمْدُ لِلَّـهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ ﴿٢﴾ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ ﴿٣﴾ مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ ﴿٤﴾ إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ ﴿٥﴾ 
اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ ﴿٦﴾ صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ ﴿٧﴾ـ

Bismillahir Rahmanir Raheem.

Alhamdu lillahi Rabbil A’alameen. Ar Rahman nir Raheem. Maali‐ki Yaumid‐deen. Iyyaka
Na’abudu wa Iyyaka Nasta’aeen. Ihdinas Siraatal Mustaqeem. Siraatal lazeena an amta alaihim gairil maghzoobi alaihim walaz zaaleen. [arabic pic]

Allah ke naam se shuru karta hu, jo nihayat maherban, behad raham karne wala hai.

Saari ta’areem Allah ke liye hai jo tamam makhluqat ka Rab hai. Behad raham karne wala, behad meherban hai. Badle ke din ka Maalik hai. (Aye Allah!) ham teri hi ibaadat karte hain aur tujh hi se madad maangte hai. Hame seedhe raaste par chala, un logo ka raasta jin par tu ne inaam kiya na ke un logo ka rasta jin par (tera) gazab hua aur na hi gumraho ka.

Sahih al Bukhari, kitab al Aazan, hadees- 743.

۞ Ruke me

 ۩ سُبْحَانَ رَبِّىَ الْعَظِيمِ-

Subhaana Rabbaiyal Azeem

Paak hai mera Rab, azmat wala hai.

Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 1814.

۞ Ruke se sar uthate hue

1۩ سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَه-

Sami Allahu Liman Hameeda

Allah ne uski sunli jis ne uski taareef ki.

Sahih al Bukhari, kitab al aazan, hadees- 796. Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 1814.

2۩ اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْد

Allahumma Rabbana Lakal Hamd

 Aye hamare Rab! Tere hi liye taareef hai.

Sahih al Bukahri, kitab al aazan, hadees- 796.

۩3 رَبَّنـا وَلَكَ الحَمْـدُ حَمْـداً كَثـيراً طَيِّـباً مُـبارَكاً فيه-

Rabbana wa Lakal Hamd Hamdan Kaseeran Tayyiban Mubaarakan Feeh

Aye hamare Rab! Saari taareef sirf tere liye hai, taareef jo bahut umdah, shaandaar aur barkat wala hai.

Sahih al Bukhari, kitab al aazan, hadees- 799.

۞ Sajde me

۩ سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى-

Subhana Rabbi al-Aala

Paak hai Mera Rab, badi Shaan waala Hai.

Sahih Muslim, kitab salatul musafireen, hadees- 1814.

۞ Do sajdo ke bich ki Dua

1۩ رَبِّ اغْفِـرْ لي - رَبِّ اغْفِـرْ لي-
“Rabbigh Firlee Rabbigh Firlee” [arabic pic]

Aye mere Rab mujhe muaf farma, Aye mere Rab mujhe muaf farma,

Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadith- 874. Imam Hakim aur Imam Zahabi ne Saheeh karar diya hai.

2۩ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي-

“Allahummagh Firli war Hamni wa A’afinee wa Ahdini war Zukhni” [arabic pic]

Aye Allah! mujhe baksh de, mujh par raham farma, mujhe aafiyat se rakh, mujhe hidayat de, aur mujhe rozi ata kar.

Sunan Abu Dawood, kitab al Salat ﴾2﴿, hadith- 850. Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh karar diya hai.

۞ Attahiiyaat

۩ التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ ﴿﴾السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ ﴿﴾السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ ﴿﴾ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ ﴿﴾ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ-

Attahiyyatu lillahi was salawatu wat tayyabaatu, assalamu a’alaika ayyuhan nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuhu,
Assalamu a’alaina wa a’ala ibaadillahis saaliheen, ashadu alla ilaaha illallahu, wa ashadu anna Muhammadan a’abduhu wa rasuluhu.

(Meri saari) qauli badani aur maali ibaadat sirf Allah ke liye khaas hai. Aye Nabi Aap par Allah taala ki rahmat, salamati aur barkate ho aur ham par aur Allah ke (dusre) nek bando par (bhi) salaamati ho, mai gawahi deta hu’n ke Allah ke siwa koi (saccha) maabood nahi hai aur mai gawahi deta ho ke Muhammad Allah ke bande aur rasool hai.

Sahih al Bukhari, kitab al aazan, hadees- 831.

۞ Allahumma salli ala

۩ اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ ﴿﴾ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيم ﴿﴾إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ-
۩ اللَّهُمَّ بَارِكَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ ﴿﴾ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيم ﴿﴾إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ-

Allahumma salli a’ala Muhammadin wa a’alaa aali Muhammadin kama sallaita a’alaa Ibraheema wa a’ala aali Ibrahima innaka hameedum majeed.
Allahumma baarik a’ala Muhammadin wa a’alaa aali Muhammadin kama baarakta a’alaa Ibraheema wa a’ala aali Ibrahima innaka hameedum majeed.

Aye Allah! salamati aur rahmat ata farma Muhammad ﷺ par aur unki aal par, Jis tarha tune salamati ata farmayi Ibrahim a.s. par aur unki aal par. Beshaq tu badi tareef wala aur buzurgi wala hai.
Aye Allah! barqat ata farma Muhammad ﷺ par aur unki aal par, Jis tarha tune barqat nazil farmayi Ibrahim a.s. par aur unki aal par. Beshaq tu badi tareef wala aur buzurgi wala hai.

Sahih al Bukhari, kitab ahadees al ambiya, hadees- 3370.

۞ Allahumma inni auzubika min azabi jahannam 

۩ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ وَمِنْ شَرِّ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ-

Allahumma inni a’auzu bika min a’azabi jahannama wa min a’azabil qabri wa min fitnatil mahyaa wal mamaati wa min sharri fitnatil maseehid dajjal’.

Aye Allah! Mai jahannam aur qabr ke aazaab se, maut o hayaat ke fitna aur maseeh dajjal ke shar se teri panah mangta hu.

Sahih Muslim, kitab al salat, hadees- 1324.
•٠•●●•٠•

Read More »

1 Jun 2019

Eid ke Aadaab


1۞ Zakat al Fitr

۩ Ibn Umar kahte hai, “Rasoollullah ﷺ ne Sadqa e Fitr ek Sa' khajur ya ek Sa' Jau (barley) farz karaar diya hai jo gulam, aazad, mard, aurat, chote aur bade tamam musalmano par farz hai aur Aap ﷺ ne ye hukm diya hai ki Namaz (Eid) ke liye jane se pahle ye Sadaqa ada kar diya jaye.

Sahih al Bukhari, kitab al zakat ﴾24﴿, hadees- 1503.

۩ Abdullah ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne sadqa e fitr siyam ko lagu kiya hai aur behuda baato se pak karne ke liye aur miskeeno ke khane ke liye farz kiya hai, lehaza jo use (eid ki) namaz se pahle ada karega toh yeh maqbool sadqa hoga aur jo use namaz ke baad ada karega toh woh aam sadaqat me se ek sadaqa hoga.

Sunan abu dawood, kitab al zakat ﴾9﴿, hadees- 1609. (Hasan)

Malum hua ke eid ki namaz se pahle hi ada karna behtar hai.

Mazeed wazahat ke liye ye do article chq kare:

۩ Zakat al Fitr
۩ Zakat al Fitr ke mutallik kuch sawalaat

2۞ Ghusl Karna

۩ Ali r.a. farmate hai, ‘Juma, Arfa, Qurbani aur Eid ul Fitr ke din ghusl karna chahiye.’ 

Sunan kubra baihaqi, jild-3, safa-278. Iski sanad saheeh hai.

۩ Abdullah bin Umar Eid ke din Eidgaah ki taraf nikalne se pahle ghusl kiya karte the.

Muwatta Imam Maalik, kitab al Eidain, jild-1, safa-177, hadees- 428. Iski sanad saheeh hai.

Imam Nawawi farmate hai, “Musalmano ka is par Ijma tha ki Eid ki namaz ke liye ghusl karna mustahab hai.”

3۞ Eid ke Namaz ke liye kuch kha kar nikalna

۩ Abdullah bin Buraidah r.a. apne walid se riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ Eid ul Fitr ke din jab tak kha na lete (ghar se) nikalte nahi the aur Eid ul azha ke din jab tak namaz padh na lete khate na the.

Jamia Tirmizi, kitab al eidain ﴾5﴿, hadees- 542. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۩ Anas bin Malik kahte hai, “Allah ke Rasool ﷺ Eid ul fitr ke din na nikalte jab tak ke Aap chand khajure na kha lete.” 

Anas r.a. kahte hai ki Rasoolullah ﷺ taak adad ke (in odd numbers) khajure khate the.

Sahih al bukhari, kitab al eidain ﴾13﴿, hadees- 953.

Ibn Hajar kahte hai, “Isme roze zyada karne ka raasta band karna aur Allah ke hukm ki itteba me jaldi aur pahel karna makasad hai.”

Fath ul baari, 2/446.

Aur jise khajur mayassar na ho wo kisi aur chiz ko kha kar ghar se nikle.

Lekin Eid al Azha me mustahab yeh hai ke eid ki namaz se pahle kuch na khaya jaye, balki namaz e Eid ke baad qurbani kar ke qurbani ka gosht ya us janwar ka koi bhi khane wala hissa khaya jaye, aur agar qurbani na ki ho toh namaz se pahle khane me koi harj nahi hai.

4۞ Takbeerat

Eid ke din takbeerat kahna eid ki badi sunnat hai. Jaise ke Allah ﷻ farmate hai,

'Allah tumhare saath narmi karna chahta hai, sakhti karna nahin chahta, isliye yeh tareeqa tumhe bataya jaa raha hai taa ke tum rozo ki taadaad puri kar sako aur jis hidayat se Allah ne tumhe sarfaraz kiya hai us par Allah ki kibriayi ka izhar o aetraf karo aur shukarguzar bano.

Surah baqarah ﴾2﴿, ayat-185.

۩ Ibn Masud r.a. ye Takbeerat kahte:

'Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allahu akbar laa ilaaha ill-Allaah, wa Allaahu akbar, Allaah akbar, wa Lillaah il-hamd.'

(Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah ke siwa koi mabud nahi, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai aur sab taareef Allah ke liye hai).

Musannaf ibn Abi Shaybah, 2/165-168. Irwa’ al-Ghaleel, 3/125.

Eid ul fitr me takbiraat kahne ka waqt chand raat se shuru hokar namaz e eid ke liye imam ke aane tak rahta hai.

Lekin Eid ul azha me pahle zul hijja se shuru ho kar aakhri ayyam e tashreek ka suraj gurub hone tak rahta hai.

5۞ Ek dusre ko Duae aur Eid ki Mubarakbaad dena

Seerat e sahaba r.a. se pata chalta hai ki wo Eid ke din ek dusre ko ek khaas alfaz ke sath duae diya karte the.

Jubayr ibn Nufayr kahte hai, “Eid ke din jab ashaab e Rasool ek dusre se mulaqat karte toh wo ek dusre se ye kahte the:

“Taqabballaho Minna wa Minkum”

'Allah hamare aur apke taraf se (acche amal) Qubul kare!'

Fath ul bari, 2/446. Ibn Hajar kahte hai ki iski isnad Hasan hai.

Hamare muashre me eid ke din mukhtalif alfaz me eid ki mubarakbaad bhi di jati hai, jaise apko eid mubarak ho, eid ki khushiya mubarak ho, wagaira. Isme koi harj nahi hai kyuki ye ek rasm hai aur usool e deen me ye hai ki kisi bhi rasm ko apnaya ja sakta hai jab tak wo kitab o sunnat ke khilaf na ho.


6۞ Eid ke din ek dusre se gale milna

Eid ke din ek dusre se gale milna bhi rasm me shumar hota hai aur isme koi harj nahi hai.


7۞ Eidi lena aur dena

Hamari muashre me eid ke din kuch paise ya kuch tohfe ek dusre ko diye/liye jate hai. Ahle ilm kahte hai ki isme koi harj nahi hai kyuki ye ek rasm hai.


8۞ Eid ke liye khubsurat aur achha libas pahenna

۩ Abdullah bin Umar r.a. riwayat karte hai, Umar r.a. ek mote reshmi kapde ka Jubba le kar Rasoolullah ﷺ ki khidmat me hazir hue jo bazaar me bik raha tha, wo kahne lage, Aye Allah ke rasool Aap ise khareed lijiye aur eid aur wafud ki pazeerayi ke liye use pahen kar zeenat farmaya kijiye.

Is par Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke yeh toh woh pehnega jis ka (akhirat me) koi hissa nahi. Is ke baad jab tak Allah ne chaha umar rahi fir ek din Rasoolullah ﷺ ne khud un ke paas ek reshmi Jubba tohfa me bheja. Umar r.a. ise liye hue Aap ﷺ ki khidmat me haazir hue aur kaha ke Ya rasoolullah! Aap ne toh yeh farmaya ke is ko woh pahnega jis ka akhirat me koi hissa nahi fir Aap ne ye mere paas kyu bheja hai?
Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke Mai ne ise tumhare pahenne ko nahi bheja balke is liye ke tum ise bech kar is ki keemat apne kaam me le lao.

Sahih al bukhari, kitab al eidain ﴾13﴿, hadees- 948.

۩ Jabir r.a. kahte hai ki Nabi ﷺ ke paas ek Jubba tha jise Aap dono Eido aur Juma ke din pahente the.

Saheeh Ibn Khuzaymah, hadees- 1756.

۩ Nafi riwayat karte hai ki Abdullah ibn Umar do eido ke din apna sabse behtar libas pahna karte the.

Sunan al-Kubra Baihaqi, hadees- 5667. Ibn Hajar ne ise saheeh karaar diya hai.

9۞ Raasta Badal kar Eidgaah Se Wapis Aaye

۩ Jabir bin Abdullah riwayat karte hai, “Rasoolullah ﷺ Eid ke din ek raaste se jaate fir dusra raasta badal kar aate the.”

Sahih al bukhari, kitab al eidain ﴾13﴿, hadees- 986.

10) Aurto ke Liye Hukm

Umme Atiya r.a. kahti hain,

Hame eid ke din eidgaah me jane ka hukum diya jata tha. Quwari ladkiya aur haiza aurte bhi parde me bahar aati thi. Yeh sab mardo ke peeche parde me rahti thi.
Jab mard takbir kahte to yeh bhi kahti aur jab woh dua karte toh yeh bhi karti aur is din ki barkat aur gunaho se pakizgi haasil karne ki ummeed rakhti thi.

Sahih al bukhari, kitab al eidain ﴾13﴿, hadees- 971.

•٠•●●•٠•

Read More »

30 May 2019

Wo 7 Log Jo Qayamat ke Din Allah ke Saaye Me Rahenge

en   -
Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Nabi ﷺ ne farmaya,

Saat qism ke logo ko Allah taala us din apne saaye me saya muhayya karega jis din us ke saaye ke siwa koi saya nahi hoga:

1. Insaf karne wala hukmaraan,
2. Woh naujawan jo Allah ki ibadat ke sath pala-badha,
3. Woh aadmi jis ka dil masjid me atka hua hai,
4. Aise do aadmi jinhone Allah ki khatir ek dusre se muhabbat ki, ek dusre se mulaqat ki aur usi ke khatir juda hue,
5. Aisa aadmi jise martabe aur husn wali aurat ne (gunah ki) dawat di toh is (aadmi) ne kaha, Mai Allah se darta hu,
6. Woh aadmi jis ne chhupa kar sadqa kiya hatta ke us ka baya hath jo kuch kharch kar raha hai use daya hath nahi janta ,
7. Woh aadmi jis ne tanhayi me Allah ko yaad kiya toh is ki aankhe bahne lagi.

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadees- 660.

•٠•●●•٠•
Read More »

28 May 2019

Ek Azkaar Jiski Tashdeek Nabi ﷺ Ne Khawab Me Ki


Abu Ayyash r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

'Jo shakhs subah ke waqt 'La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa ala kulli shayyin qadeer' kahe toh use aulad e Ismail me se ek gardan azad karne ke barabar sawab milega, aur uske liye das nekiya likhi jayengi, das buraiyya mita di jayengi, uske das darje buland kar diye jayenge, aur woh shaam tak shaitan ke shar se mahfooz rahaega, aur agar shaam ke waqt kahe toh subah tak uske sath yahi muamla hoga.'

Hammad ki riwayat me hai ke ek shakhs ne RasoolAllah ﷺ ko (khawab me) dekha jaise sone wala dekhta hai toh usne Aap ﷺ se arz kiya, 'Allah ke Rasool! Abu Ayyash Aap se aisi aisi hadees riwayat karte hai?' Toh Aap ne farmaya, 'Abu Ayyash ne sach kaha.'

Sunan Abu Dawud, kitab al adab ﴾43﴿ hadees- 5077. (Sahih)

Is dua ki arabic:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ

•٠•●●•٠•

Read More »

Hukumat Se Jhut Bol Kar Maali Madad Hasil Karna


 Sawal 

Kya maali madad (financial help) hasil karne ke liye hukumat se jhut bola ja sakta hai ya unhe dhoka diya ja sakta hai agar hukumat kafir ki ho, kyuki ham hukumat ko Taxes bhi dete hai.

 Jawab 

Alhamdulillah..

Jhut bolna ya dhoka dena ek Musalman ki sifat nahi hai, aur ye aur khatarnaak ho jata hai jab ap maali madad ke liye aesa karte hai kyuki fir usme haraam kamayi shamil ho jati hai.

Aur isse koi farq nahi padta, ki jisse ap jhut bol rahe hai wo Musalman hai ya kafir, wo ek shaks hai ya hukumat, jhut aur dhoka har haal me galat hai.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sach neki hai aur neki Jannat ki taraf le jati hai aur bandah puri koshish se sach bolta rahta hai hatta ke wo Allah taa'la ke nazdeek Siddiq (sachha) likh diya jata hai aur jhuth fahaashi hai aur fahaashi jahannam ki taraf le jati hai aur bandah jhuth bolta rahta hai hatta ke use jhutha likh diya jata hai.”

Sahih Muslim, kiab al birr was silati wal adab ﴾45﴿, hadees- 6638.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya tha, “Logo par ek aesa zamana ayega ki admi is baat ki parwah nahi karega ki wo halal tarike se kama raha hai ya haraam tarike se.”

Sahih al-Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadees- 2059.

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke unhone ne kaha RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Aye logo Allah Paak hai aur paak (maal) ke siwa koi maal qubool nahi karta. Allah ne momino ko bhi isi baat ka hukm diya hai jiska Rasoolon ko hukam diya hai. Allah ne farmaya, "Aye paigambaraan e karaam! Paak cheezen khaao aur nek kaam karo. Jo amal tum karte ho mai usay achi tarah janne wala hu. Aur farmaaya Jo pak rizq hamne tumhe inayat farmaya hai us maise khaao.

Fir Aap ﷺ ne ek aadmi ka zikr kia "Jo taweel safar karta hai, Baal pur-agard aur jism ghubaar-alood hai wo ( dua ke liye) aasmaan ki taraf apne haath uthata hai, (aur kahta hai) "Aye mere Rab! Aye mere Rab". Jab ke iska khana haraam ka hai, iska peena haraam ka hai, iska libaas haraam ka hai aur isko ghizaa haraam ki mili hai, fir iski Dua kaise qubool ho sakti hai.”

Sahih Muslim, kitab al zakat ﴾12﴿, hadees - 1015.

Toh isi liye apke liye ye jayez nahi ki ap hukumat se jhut bol kar ya unhe dhoka dekar maali madad hasil kare.

Isi talluq se ek arabi muhawra kuch is tarha hai,

“Jab ap aese maal se hajj karo jo asal haraam ka hai, toh fir aapne toh hajj nahi kiya lekin aap ke oont ne hajj kar liya”

•٠•●●•٠•

Read More »

Ramzan me Din ke Waqt Ehtelam Hona

en   
  Sawal  

Kya Ramzan me din ke waqt ehtelam hone se roza batil ho jayega?

  Jawab  

Alhamdulillah..

Ramzan me din ke waqt ehtelam (wet dream) hone se roza tut ta nahi hai, wo isliye ke ye kisi shaks ke ikhtiyar me nahi hota, aur wo ise khud se rok nahi sakta.

۩ Allah ﷻ farmate hai,

'Allah kisi shaks par uski taqat se badh kar bojh nahi daalta.'

Surah baqarah ﴾2﴿, ayat- 286.

Agar kisi shaks ko ehtelam ho jaye toh ye uska roza batil nahi karta, kyuki ye uske ikhtiyar me nahi nahi hai, ye aese hai jaise ke wo soya hua ho aur uske halaq me koi chiz chali jaye.

Dekhe: Ibn Qudamah ki al-Mughni, vol. 3, p. 22.

۩ Mustaqil fatwa aur islami reserch committee se aise shakhs ke mutalliq sawal kiya gaya jise Ramzan me din ko ehtelam ho jaye toh us ka kya hukm hai? 

Toh is ka jawab tha:

“Jise roze ki haalat me ya fir hajj aur umrah ke liye ahraam ki haalat me ehtehlam ho jaye toh us par koi kaffara nahi aur nah hi is ke roze par koi asar hai, agar mani ka khuruj ho toh us par ghusl e janabat laazmi hai.”

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, vol. 10, p. 274.

•٠•●●•٠•

Related: 

Read More »