اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2020

Mukhtasar Seerat un Nabi ﷺ

Nabi e kareem ﷺ ke Baareme Mukhtasar Haalaat e Zindagi

۞ Naam Wa Nasab

Sayyidna Abu Qasim Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib (Shaibah) bin Hashim (Amr) bin Abdi Manaaf (al-Mughairah) bin Qusai (Zaid) bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luayi bin Ghalib bin Fahr bin Malik bin Nazar bin Kinanah bin Khuzaimah bin Mudrikah (Aamir) bin Ilyaas bin Muzar bin Nizaar bin Ma'ad bin Adnaan, Ismail bin Ibraheem ki aulaad me se.

Aap ki walidah ka naam Aamina bint e Wahab bin Abdi Manaaf bin Zuhrah bin Kilaab bin Murrah hai.

۞ Wiladat

Maahe Rabi al Awwal (571 eeswi) baroz somwaar (jis saal Abraha kafir ne apne haathi ke sath makkah par hamla kiya tha aur Allah ne use uski fauj samet tabah kar diya tha) Aap ki wiladat hui.

Aap ke waalid Abdullah, aap ki paidaish se taqreeban mahina ya do mahine pahle faut hue, (dekhe:  Seeratun Nabawiyah lil Zahabi, safa- 49) aur jab aap saat (7) saal ke hue toh Aap ki walidah faut ho gayi fir aap ke dada Abdul Mutallib ne Aap ki parwarish ki aur jab aap aath (8) saal ke hue toh Abdul Mutallib bhi faut ho gaye, un ki wafaat ke baad aap ke chacha Abu Taalib ne aap ko apni kifaalat me le liya.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

دعوة أبي إبراهيم و بشارة عيسى بي و رؤيا أمي التي رأت

“Main apne aaba (dada) Ibraheem a.s. ki dua aur (bhai) Eesa a.s. ki basharat (khush khabri) hu aur apne maa ka khawab hu jise unhone dekha tha.”

Musnad Imam Ahmed, 4/127, hadees- 17150. Iski sanad hasan (li zaatihi) hai.

۞ Hulya Mubarak

Aap ﷺ ka chehra chand jaisa (khoobsurat, surkhi maayil safeed aur pur noor) tha, Aap ka qad darmiyaana tha aur Aap ke sar ke baal kaano ya shaano tak pahunchte the.

۞ Nikah

Sayyidah Khadijah bint e Khuwaylid bin Asad bin Abdul Uzzah bin Qusai r.a. se aap ki shadi huwi aur jab tak Khadijah r.a. zinda rahi, Aap ne dusri shadi nahi ki.

۞ Bete

Qasim, Tayyab, Taahir (aur Ibraheem).

۞ Betiya

Ruqiyah, Zainab, Umme Kulsum aur Fatimah.

۞ Pahli Wahi:

Gaar e Hira me Jibreel e Ameen a.s. tashreef laaye aur surah Alaq ki pahli teen aayaat ki wahi aap ke paas laaye; 610 eeswi [us waqt aap ki umar chalees (40) saal thi].

۞ Aam ul Huzn:

Hijrat e Madinah se teen saal qabl Abu Taalib aur Sayyidah Khadijah r.a. faut ho gaye.

۞ Hijrat

622 eeswi mein aap apne azeem saathi Sayyiduna Abu Bakr as Siddique r.a. ko le kar Makkah se hijrat kar ke Madinah Tayyaba tashreef le gaye.

۞ Makki Daur

Rasoolullah ﷺ nabuwat ke baad Makkah me terah (13) saal rahe.

۞ Madani Daur

Aap ﷺ hijrat ke baad Madinah me das (10) saal rahe aur fir wafaat ke baad Ar-Rafiq al-Aala ke paas tashreef le gaye.

۞ Gazwa e Badr

2 hijri ko badr Islam aur kufr ka pahla bada marakah hua jis me Abu Jahal maara gaya.

۞ Gazwa e Uhad

3 hijri, is gazwe me sattar ke qareeb sahaba e karaam maslan, Sayyidna Hamzah bin Abdul Mutallib r.a. shaheed hue aur Rasoolullah ﷺ zakhmi hue.

۞ Ghazwa e Khandaq

5 hijri (ahzaab e kuffaar ne Madinah par hamla kiya aur naakaam wapas gaye.

۞ Sulah Hudaibiyah

6 hijri, iska zikr Quran e majeed me bhi hai.

۞ Ghazwa E Khaibar

7 hijri, khaibar fateh hua.

۞ Fateh Makkah

8 hijri, Makkah fateh hua aur Rasoolullah ﷺ ne Ahle Makkah ko muaf kar diya. is saal ghazwa e Hunain bhi hua tha.

۞ Ghazwa E Tabook

9 hijri.

۞ Hajjatul Widaa

 10 hijri

۞ Dawat

Qur'an, Hadees, Tawheed aur Sunnat, Aap ki dawat hai, aap ne logo ko shirk wa kufr ke ghata-taup andhero se nikaal kar Tawheed wa Sunnat ke noraani raaste par gaamzan kar diya.

Aap ﷺ ne farmaaya:

“Musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karta hai aur na us par zulm hone deta hai.”

(Sahih Bukhari, 2442, Sahih Muslim: 2580)

۞ Akhlaaq

Aap ﷺ akhlaaq ke sab se a'ala darje par faayiz they:

۩ Irshaad e baari taala hai:

وإنـك لـعـلى خـلـق عــظيــم

'Aur Aap (ﷺ) azeem akhlaaq par faa'iz hai.'

Surah Qalam, 4.

۩ Aap ﷺ ne farmaaya:

أكمل المؤمنين إيمانًا احسنهم خلقًا وخياركم خياركم لنسائهم خلقًا

'Momino me mukammal eemaan waale wo hai jin ke akhlaak achhe hai aur tum me se behtareen log wo hai jo apni aurato se achhe akhlaaq ke sath pesh aate hai.'

Jamia Tirmizi, 1162, Ye hasan sahih hai.

۞ Muallim E Insaaniyat

Ek Sahabi r.a. farmate hai, 'Maine Aap ﷺ se behtareen mu'allim (ustaad) achhe tareeqe se taleem dene waala kisi ko nahi dekha, na pahle aur na baad, Allah ki qasam! Aapﷺ ne mujhe na daanta, na maara aur na bura bhala kaha.

Sahih Muslim, 537.

۞ Mu'aamalaat

Aap ﷺ ne farmaaya:
إن خـيـاركـم احـسـنـكـم قـضـاء

Tum me se behtareen log wo hai jo behtar tareeqe se qarz ada kare.

Sahih al Bukhari, 2305. Sahih Muslim, 1601.

Mazeed farmaaya:

دع ما يريبك إلى ما لا يريبك فإن الصدق طمأنينة وإن الكذب ريبة

Shak waali cheez ko chhor do aur yaqeen waali cheez ko ikhtiyaar karo kyunke yaqeenan sachhai itminaan hai aur jhoot shak wa shubah hai.

Jamia Tirmizi, 2518, Ye hadees sahih hai.

۩ Nabi ﷺ ne kabhi kisi khane mein nuks nahi nikaala, agar pasand farmaate toh kha lete aur agar pasand na farmate toh chor dete the.

Sahih al Bukhari, 5409.

۞ Wafaat

11 hijri baroz saumwar, maahe rabiul awwal me Rasoolullah ﷺ khaatimun nabiyeen wa rahmatullil aalameen is duniya se tashreef le gaye, us waqt aap ki umar mubarak 63 saal thi.

صلى الله عليه و آله وأصحابه وأزواجه وسلم

•٠•●●•٠•

source: Ishaatul hadees, shumarah- 63, safa- 34-36.
Read More »

7 Jan 2020

Teen (3) Rakat Witr Padhne ka Nabawi Tarika


۩ Ubai  bin Ka'ab r.a. bayan karte hai,

“Rasoolullah 3 rakat witr ada farmate the, Pahli rakat me surah A'ala, dusri rakat me surah Kafiroon aur teesri rakat me surah Ikhlas ki tilawat farmate the, Aap Ruku se pahle Qunoot karte, jab farigh  hote toh  3 martaba 'Subhan al Malikul Quddus Padhte, aakhri martaba (ye padhte hue) apni aawaz ko lamba farmate the.”

Sunan Nasai, hadees- 1700, Sunan Ibn Majah, hadees- 1182. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

Is Hadees maloom hua ki:

3 rakat witr me pahli rakat me surah A'ala, dusri rakat me surah kafiroon or teesri rakat me surah Ikhlas padhni hai aur Dua e Qunoot Ruku se pahle padhni hai yaani Surah Ikhlas ke baad.

۞ Dua e  Qunoot

Sayyidina Hussain bin Ali r.a. bayan karte he ki Rasoolullah ﷺ ne mujhe Witr me padhne ke liye ye dua sikhayi:

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ- [pic]

“Allaahumma ahdini feeman hadayt wa aafini feeman aafayt wa tawallani feeman tawallayt wa baarik li feema aatayt, wa qini sharra ma qazayt , fa innaka taqzi wa la yuqza ‘alayk, wa innahu laa yazillu maw waalayta, wa laa ya’izzu man ‘aadayt, tabaarakta Rabbana wa ta’aalayt.”

Tarjuma:

Ya Allah! Mujhe hidaayat dekar un logo me shamil farma jinhe tune rushd o hidaayat se nawaaza hai aur mujhe aafiyat dekar un logo’n mein shamil farma jinhe tune afiyat bakshi hai aur jin logo ko tune apna dost banaya hai un me mujhe bhi shamil karke apna dost banaale. Jo kuch tune mujhe ataa farmaya hai is me mere liye barkat daal de aur jis sharr o burai ka tune faisla farmaya hai us se mujhe mahfooz rakh aur bachaale.

Yaqeenan tu hi faisla saadir farmata hai tere khilaaf faisla saadir nahi kiya jaa sakta aur jiska tu dost banaa wo kabhi zaleel o khwaar aur ruswa nahi ho sakta aur wo shaqs izzat nahi paasakta jise tu dushman kahe, Aye hamaare Rab! Tu (bada) hi barkat wala aur buland o baala hai.

Sunan Abu Dawud, kitab al salaat ﴾8﴿, hadees- 1425. Al-Albani ne ise sahih karaar diya hai.

(Sunan Abu Dawood: 1425, Sunan Tirmizi: 464, Sunan Nasai: 1746, Sunan Ibn majah: 1778, Musnad Imam Ahmad: 1/199, Sunan Darmi: 1663, Al Dua Lit Tabrani: 748)

۞ Ab witr ki 3 rakat kis tarah padhi jaye usme 2 tarike mashoor hai:

Pahla ye ki Dusri Rakat ke baad betha na jaye balki dusri rakat ke baad sidhe teesri rakat ke liye khade ho jaaya jaaye.

Ye Tarika Nabi ﷺ se sabit nahi hai

Iske Mutalliq Sunan Nasai ki ek Riwayat pesh ki jati he jo Ubay bin Ka'ab r.a. se riwayat hai ki 'Rasoolullah ﷺ Witr ki Pahli rakat me surah Aala, dusri rakat me surah kafiroon aur teesri rakat me surah Ikhlas ki tilawat farmate the, sirf aakhri rakat me salaam ferte the aur salaam ke baad 3 martaba 'Subhan Al Malikul Quddus' Padhte, aakhri martaba apni aawaz ko lamba farmate the.'

Sunan Nasai, hadees- 1702.

Ye riwayat zaif hai, iski sanad me Qatadah Mudallis raawi hai aur Unki 'An' Riwayat hone ke bina par Ye zaif hai. 

Dusri riwayat jo pesh ki jati hai ki Ayesha r.a. bayan karti hai ki 'Rasoolullah ﷺ Jab Isha ki namaz ada farma kar ghar me dakhil hote to 2 rakat padhte fir usse bhi lambi 2 rakat padhte the fir 3 witr ada farmate the. Unme salaam fer kar faasla na karte fir 2 rakat baith kar ada farmate ruku aur sujood bhi baith kar ada farmate.'

(Musnad Ahmad: 6/155-156)

Is riwayat ki sanad Hasan Basri ki Tadlees ki wajah se zaif hai.
Isi Tarah ki riwayat Sunan Nisai, Sunan Darmi, Musnad Shafai wagairah se bhi pesh ki jati he jo ki sanad ke lihaj se sabit nahi.

3 rakat ko ek salaam se ada karne waale hazraat 5 ya 7 witr waali riwayat ko 3 rakat par qayaas karte hai aur sahaba ke aasaar pesh karte hai lekin marfu riwayat ke muqable me sahaba ke aasaar pesh karne se sirf jawaaz sabit hoga sunnat nahi.

Aur iske alawa Ibn Hibban aur Darqutni ki riwayat jisme Nabi ﷺ ne farmaya hai (ولا تشبهوا بصلاة المغرب) 'Witr ki Namaz ko Magrib ke Mushabeh na karo.' Isse ye qiyas kiya jata hai ki 3 rakat ek salaam padhne se maghrib ki Mushbehat nahi hoti hai lekin unka ye qiyas sahih nahi kyuki 3 Rakat Witr ko Maghrib se mushabeh kis tarah nahi karna hai uski bhi daleel hame Nabi ﷺ se Mil jati hai Jisme 2 Rakat padh kar salaam ferne aur 1 Rakat alag se padhne ka zikr hai. Aur 3 takat witr ka sunnat tarika bhi yahi hai

۩ Ammi Ayesha r.a. bayan karti hai ki, 'Namaz e Isha Jise log A'tmah kahte hai aur Fajr ki namaz ke Darmiyan me Nabi 11 Rakat ada kiya karte the, Aap ﷺ har 2 rakat ke darmiya salaam ferte aur 1 Witr ada kiya karte the.'

(Sahih Muslim: 122/736)

Ye Hadees is baat par nas hai ki Nabi 3 rakat witr 2 salaam se hi ada karte the. Iske alawa aur bhi riwayat ispar dalalat karti hai.

۩ Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hai, 'Rasoolullah ﷺ (Witr ki) taaq rakat ke darmiyan salam ke sath faasla karte the aur hame salam ki aawaz sunate the.'

Sahih Ibn Hibban, hadees- 2433, 2435.

۩ Nafi r.a. bayan karte he ki Abdullah bin Umar r.a. witr ki 2 rakato aur 1 rakat de darmiyaan salaam ferte, yahan tak ki kisi kaam ka hukm bhi farma dete.' 

Sahih al Bukhari, hadees- 991, Muwatta Imam malik, 1/125.

Lihaza in riwayat se wazeh hai ki 3 rakat witr ka sahih sunnat tarika yahi hai ki 2 Rakat padh kar Salzam fer liya jaaye aur 1 Rakat ko alag se padha jaye.

۞ Iske alawa Namaz e Witr me ek Masla aur hai ki Qunut e Witr Padhte Waqt hath Uthaye jaye Ya nahi.

Iske mutalliq Shaykh Zubair Ali Zai ka Risala Al Hadees jo ki Rajab 1430 Hijri ko shaya hua tha us Risale ke safa no. 12 par ek sawal kiya gaya tha ki, Namaz e Witr me ruku se qabl Haath Uthaye bagair Qunoot padhne ki kya daleel hai?

Jiske Jawab me Shaykh Zubair Ali Zai ne farmaya tha,

'Namaz e Witr me ruku se pahle Qunoot padhne ka zikr Sunan Darqutni (2/32, hadees- 1644, Wa Sanad Hasan) aur Sunan Nasai (1,248, hadees- 1700) me hai. Dekhye meri kitab Hidayatul Muslimeen (hadees- 28 faidah- 3).

Qunoot e Witr me Hath Uthana kisi sarih marfu Hadees se sabit nahi hai.'

Malum Hua ki Namaz e Witr me ruku se pahle Hath Uthaye bagair Qunoot padhna sahih hai.

Aur Shaykh Zubair ali zai ke Risala Al Hadees jo Jamadil Awwal 1426 Hijri me shaya hua tha Uske Safa No. 13 par ek sawal kiya gaya tha,

Kya Qunoot e Witr me Hath Utha kar dua karna Sabit hai?

Uske jawab me Shaykh Zubair ali zai ne Qunoot e witr me hath na Uthane ki Daleel me ek Riwayat naqal ki:

۩ Abu Hatim al Raazi (277 hijri) farmate hai, 'Abu Zarah (Al Raazi 264 hijri) ne mujhse pucha, 'Kya Aap qunoot me hath uthate ho?

Maine kaha, 'Nahi!' Fir maine unse pucha, 'Kya Aap (qunoot me) Hath utha te ho?' Unhone kaha: Ji han, maine pucha, aapki daleel kya hai? Unhone kah, Hadees ibn Masood.

Mane kaha, use Lais bin Abu Saleem ne riwayat kiya hai. Unhone kaha: Hadees Abu Hurairah, Maine kaha: Use Ibn Lahya ne riwayat kiya hai. Unhone kaha, Hadees Ibn Abbas, maine kaha, Use Aouf (Al aarabi) ne riwayat kiya hai. Toh unhone pucha, aapke pas (Qunoot me) hath na uthane ki kya Daleel hai?

Maine kaha, Hadees e Anas, ki beshaq Rasoolullah ﷺ kisi Dua me Hath Nahi Uthate the siwaye Istisqa ke to wo (Abu Zarah r.a.) Khamosh ho gaye.

Tareekh Baghdaad, Jild 2, Safa- 76 tahet- 455. Wa sanad Hasan, wa Zikruhu Al Zahabi fi Siyar Aalam Al Nubala 13/253).

Ye Riwayat naqat karke Qunoot e Witr me Hath na uthane ki Daleel dene ke baad Shaykh Zubair Ali zai ne un riwayat ki Tahqeeq pesh ki hai aur aakhir me likha hai ki, 'Behtar yahi hai ki Hadees e Anas r.a. aur deegar dalail ki ru se Qunoot me Hath Na Uthaye jaye.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Upar zikr karda tarika mere mutabik behtar tareeqa hai kitab wa sunnat ki roshni me. Agar apko isse behtar tarike ka ilm ho (kitab/sunnat ki roshni me) toh ap us par amal kare. Allah hame deen samajhne ki taufeeq ata kare. aameen.
Read More »

5 Jan 2020

Kya Hasne Se Wuzu Tut Jata Hai?


۞ Pahli baat

Ulema me isme koi ikhtilaf nahi hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta, agarche koi shaks namaz ke liye tayaar ho raha ho fir bhi.

۩ Ibn Munzir kahte hai,

“Ulema ka is par Ijma hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta aur firse wuzu banane ki zarurat nahi hai.”

Al-Awsat, (1/166).

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Unka (Ulema ka) is par ijma hai ki namaz ke bahar hasne se wuzu nahi tut ta.”

Al Majmoo, (2/61).

۞ Dusri baat

Ulema me is par ijma hai ki namaz ke dauran hasne se namaz tut jati hai.

۩ Ibn Munzir kahte hai,

“Un sab ka is par ijma hai ki namaz ke dauran hasne se namaz tut jati hai.”

Al-Ijmaa, safa- 3.

Yaha hasne se muraad hai zor se hasna.

۩ Ibn Qudamah kahte hai,

“Hame is muamle me koi ikhtilaf e raaye ka ilm nahi hai.”

Al-Mughni, (2/451).

۞ Teesri baat

Sahih raaye ye hai ki namaz me zor se hasne se sirf namaz tut ti hai aur wuzu nahi tut ta, kyuki wuzu tutne ki koi daleel nahi hai.

۩ Jabir ibn Abdullah r.a. kahte hai, 'Agar koi namaz me hasta hai, toh use apne namaz ko dohrana chahiye lekin use wuzu karne ki koi zarurat nahi hai.'

Sahih al Bukhari, muallaq riwayat. Sunan Daaraqutini,  hadees- 51, mawsool riwayat.

۩ Ibn Hajar kahte hai,

“Ye baat sahih hai lekin ye alfaz Jaabir r.a. ka hai.”

Fath al-Baari, (1/280).

۩ Imam Nawawi kahte hai,

“Hamari aur aksar ulema ki raaye ye hai isse wuzu nahi tut ti hai. Ye aksar Tabayeen aur unke baad aane waale logo ki raaye hai.

Bayhaqi riwayat karte hai ki Abu'z Zinaad kahte hai: Mai kafi zyada ilm rakhne waale ahle ilm se mila jinki raaye faislakun (decisive) hai. Sa‘eed ibn al-Musayyab, ‘Urwah ibn az-Zubayr, al-Qaasim ibn Muhammad, Abu Bakr ibn ‘Abd ar-Rahmaan, Khaarijah ibn Zayd ibn Thaabit, ‘Ubaydullah ibn ‘Abdillah ibn ‘Uqbah, Sulaymaan ibn Yasaar, aur bahut saare qabil e ahtaraam ahle ilm se mila jo kahte hai ki hasne se namaz tut jati hai lekin isse wuzu nai tut ta.”

Al-Majmoo, (2/60).

Jo hadeese kahti hai ki hasne se wuzu tut jata hai wo zaif hai aur unme se koi bhi saheeh nahi hai.

۩ Imam Nawawi kahte hai:

“Muhaddiseen ka is par ijma hai ki unme se saare zaif aur waahin (kamzor) hai.”

Al-Majmoo, (2/61).

•٠•●●•٠•
Read More »

2 Jan 2020

Logo ke Liye Aasaniya Karo | Nabi ﷺ


Logo ke liye aasaniya kiya karo!!!

Ye hukm tha Rasoolullah ﷺ ka. Lekin hamne kitni aasniya ki hai logo ke liye?

Khaas kar padhe likho ke tabke ka ye haal hai ki wo Deen par amal karne aur use dusro tak pahuchne ke bajaye wo fatwe dete fir rahe hai, dusro ka radd karte fir rahe hai, dusro ko nicha dikhane ka shauk chadha hua hai. Ye aasaniya kar rahe ho tum logo ke liye? Ki agar koi banda Tawheed aur sunnat ke kareeb aana chahe toh wo hame dekh kr dur se hi bhaag jaye.

Kya munh dikhayenge Ap Rasoolullah ko jab wo puchenge ki maine toh tumhe logo ke liye aasani karne ka hukm diya tha aur tum ye kya kaam kar rahe the?

۩ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Deen me aasani karo aur sakhti na karo. Aur khush karo aur nafrat mat dilao.”

Sahih al bukhari, kitabul Ilm (3), hadees- 69.

•٠•●●•٠•
Read More »

Salatul Tasbeeh Padhne ka Step by Step Tariqa

hi   -
Alhamdulillah..

Namaz e Tasbeeh ka tarika ye hai ki isme ek khaas tasbeeh hoti hai jise namaz ke bahut se mauko par padhi jati hai. Ye chaar rakat namaz hoti hai jo ek salaam se ada karna hota hai aur isme 300 dafa ye tasbeeh padhna hota hai (4 rakat me).

Is tasbeeh ke alfaz aese hai:

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَر -

Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar

सुब्हान अल्लाही  वल हमदुलिल्लाही व ला इलाहा इल्लल्लाहु वल्लाहु अकबर

۞ Salatul Tasbeeh Padhne ka Step by Step Tarika

1. Taqbeer (Allahu akbar) kah kar namaz ki shuruat kare. [Note: Namaz ki niyat zuban se ada karna Rasoolullah ﷺ ka tarika nahi hai isliye isko avoid kare].

2. Fir Sana padhe (Subhanaka Allahumma wa Bihamdika...)

3. Surah Fatiha padhe

4. Surah Fatiha ke baad koi surat ya aayaat padhe.

5. Fir is ko 15 martaba padhe, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

6. Ruku me jaaye aur ruku me padhe jaane wale zikr ko padhe (subhaana rabbaiyal azeem). Isko padhne ke baad 10 martaba ye zikr padhe, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

7. Ruku se uthe aur is halat me jo zikr padhi jaati hai use padhe, aur fir iske baad firse 10 martaba ye zikr padhe, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

8. Ab sajde me jaaye aur sajde ka zikr padhe (Subhana Rabbi al-Aala) aur fir iske baad 10 martaba ye zikr padhe, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

9. Ab sajde se uthe aur sajde se uthne ki dua padhe (Rabbigh Firlee Rabbigh Firlee) aur fir iske baad firse 10 martaba ye zikr padhe, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

10. Ab dusra sajda kare, sajde waali zikr padhe aur fir iske baad 10 martaba ye zikr padhe, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

11. Dusre sajde se sar uthane ke baad firse ye padhe 10 martaba, 'Subhan Allahi Wal Hamdulillahi Wa La ilaha illallahu Wallahu Akbar.'

12. Fir dusri rakat ke liye khade hona hai aur isi tarha dusri rakat bhi muqammal karni hai aur isme Tashahhud bhi hoga (attahiyaat) jaise ki aam 4 rakat ke dusre rakat me hoti hai.

13. Isi tarha teesri aur chauthi rakat bhi muqammal karni hai.

14. Fir chauthi rakat me saare azkaar wa duae padh kar salaam fere.

Apki 4 rakat Namaz e Tasbeeh muqammal hui.

Sunan Ibn Majah, kitab, kitab iqamatus salaati wa sunnati feeha (5), hadees- 1387. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Related voice clip: Salatul Tasbeeh explained by Bint e Faiz (Alimah, student of Dr. Farhat Hashmi)

Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Read More »

29 Dec 2019

Suraj Aur Chand Grahan ki Namaz Padhne ka Step by Step Tariqa

hi   -
Alhamdulillah..

۩ Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Suraj aur Chand me grahan kisi ki maut ya zindagi se nahi lagta balke ye Allah taala ki nishaniyo me se do nishaniya hai, is liye jab tum ye dekho to namaz padho.'

Sahih al bukhari, kitab al kusoof (16), hadees- 1042.

۞ Ye Namaz padhne ka step by step tarika

1. Taqbeer (Allahu akbar) kah kar namaz ki shuruat kare. [Note: Namaz ki niyat zuban se ada karna Rasoolullah ﷺ ka tarika nahi hai isliye isko avoid kare, detail ke liye ye article check kare].

2. Fir Sana padhe (Subhanaka Allahumma wa Bihamdika...)

3. Surah Fatiha padhe

4. Ab lamba qayaam kare yaani Quran ki surat ya aayaat padhe.

5. Fir Ruku me jaaye (Ye ruku lamba hona chahiye)

6. Fir Ruku se uthe

7. Ab firse qayaam kare jo lambi hogi lekin pahle qayaam se choti hogi. [Surah Fatiha + koi surat/aayaat]

8. Ab fir ruku me jaaye jo ki lambi hogi lekin pahle wali ruku se choti hogi.

9. Ab sajde me jaaye. [2 sajde karne hai]

10. Sajde ko ada karne ke baad wapis se uthe (yaha ek rakat namaz muqammal hui)

11. Fir Surah Fatiha padhe

12. Ab firse koi surat ya aayaat padhe jo ki lambi hogi lekin dusre qayaam se choti hogi.

13. Ab Ruku me jaaye jo ki lambi hogi lekin dusre ruku se choti hogi.

14. Ab fir qayaam kare jo ki teesre qayaam se choti hogi. [Surah Fatiha + koi surat/aayaat]

15. Ab firse Ruku me jaaye aur ye ruku teesre ruku se choti hogi.

16. Ab sajde me jaaye aur sajda ada kare. [2 sajde karne hai]

17. Ab Tashahhud aur baaki chize padhe jo har namaz me padhi jati hai.

18. Fir salaam fere.

Apki do rakat namaz e Kusuf muqammal hui.

Sahih al bukhari, kitab al kusoof (16), hadees- 1052.

•٠•●●•٠•


Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Read More »

27 Dec 2019

Dil ko Grahan Lagna | Ibn Qayyim


Imam ibn Qayyim rahimahullah farmate hai,

'Jab Ap dekhe ke dil se Allah tala ki Muhabbat khatam ho gai hai aur is me maklooq ki muhabbat aur dunyawi zindgi par raza o itmanan ne basera kar liya hai to ye jaan lo ke dil ko Grahan lag gaya hai.'

Bada'i al Fawaid, 3/224.

•٠•●●•٠•
Read More »