اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Maa Baap Ki Itaat Allah Aur Uske Rasool Ke Baad


Allah pak Quran me boht se jagah apne hukuk ke fauran baad walidain ke hukuk ki baat karte hai. Allah swt farmate hai

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap me se ek ya dono budhi umr par pahoch jaye toh unhe uff tak na kahna aur na hi unse jhirag ke baat karna lekin unse husne suluk ke saath pesh aana aur ye dua karna ki Aye hamare Rab hamare maa baap par raham kar jis tarah inhone rahmat o shafqat ke sath mujhe bachpan me paala tha.

Surah Isra ﴾17﴿, ayat- 23-24.

Aur jab hum ne bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook karna ...

[Quran 2:83].

Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero...

[Quran 4:36].

Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath bhalai karo.

[Quran 6:151].

Lekin sath me Allah pak ne ye bhi batlaya hai ki agar Allah ke hukm aur walidain ke hukm me Takraao ho to Allah ka hukm manna chaiye. Allah pak farmate hai:

Hum ne her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh kosish keren kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka aap ko ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna meri hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay thay tumhen khabar doon ga.

[Quran 29:8 and 46:15].