Hamare muashre ke kuch log ye sawal uthate hain ke: Jab Iran mein Sahaba ki tauheen hoti hai, to ham unka political support kyun karein? Ye ek jazbati sawal hai, lekin iska jawab Quran, Sunnat aur Haqiqat-pasandi ki roshni me dekhte hai.
Kisi mulk ko siyasi taur par support karne ka matlab ye nahi ke aap unke har aqeede ko sahi maan rahe hai. Aur is baat ki sabse badi daleel khud Quran aur Rasool ﷺ ki hadees aur seerat hai.
۞ Quran se Daleel
Surah Ar-Rum ka Waqiya
Nabi ﷺ ke Makki daur me do badi global taqaton ke beech jung hui:
* Romans (Eesai/Christians): Yeh Ahl-e-Kitab the, lekin inke aqaid mein shirk aur bohut kharabi thi.
* Persians (Majoosi): Yeh aag ki pooja karne wale the aur kisi aasmaani kitab ko nahi mante the.
Us waqt jab Majoosiyon ne Eesaiyon ko hara diya, toh Makkah ke mushrikeen khush hue. Lekin Musalman ghamgeen hue kyunke Eesai aqaid mein unke zyada qareeb the. Allah ne Quran mein paishgoi ki ke Romans dobara jeetenge, aur farmaya: "Aur us din Musalman khush honge." (Surah Room, ayat- 4)
Sahaba-e-Karam ka Eesaiyon ke aqeede se shadeed ikhtilaf tha. Phir bhi, jab Quran ne kaha ke Romans ki fatah par Musalman khush honge, toh iska matlab yeh bilkul nahi tha ke Musalmanon ne Eesaiyon ka aqeedah qubool kar liya tha.
Unka aqeedah apna tha, bas Majoosi dushman ke khilaf ek maqsad (geopolitical goal) saajha tha, jisme unhone Haq ke zyada qareeb waalo ki fatah chahi.
Ab is Qurani paigaam ko aaj ke halaat par map kare toh ye baat saamne aati hai:
* Dushman (Israel/USA): Inka maqsad Musalmanon ki zameen par qabza karna aur Masjid al-Aqsa par kabiz rahna hai.
* Muzahamat (Iran/Shia): Hamara Shion se aqaid ka ikhtilaf zaroor hai, lekin wo Musalman hai— ek Allah, ek Rasool aur ek Qible ko mante hai. Eesaiyon ke muqable mein, Shia aqaid Sunnion ke bohot zyada qareeb hai.
Jab Quran is baat ki wazeh ijazat deta hai ke ek Muslim kisi Non-Muslim (Eesai) ki political fatah par khush ho sakta hai kyunke wo bade dushman se lad rahe hai, toh ek Sunni ka dusre kalma-go Muslim (Iran) ko ek azeem dushman ke khilaf support karna Quran ke ain mutabiq hai.
Palestine ke haq mein aawaz uthana ek Insaaf ka masla hai. Is political cause ko support karne se aapka apna aqeedah bilkul mahfooz aur apni jagah qayam rahta hai jaise Sahaba ka tha.
Allah Quran me farmate hai,
“Aye eeman walo! Allah ki raza ke liye Adl wa insaaf ke sath dat kar gawahi dene wala bano. Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai aur Allah se darte raho, beshak Allah tumhare aamaal ki puri khabar rakhta hai.”
Surah Maida, ayat-8.
۞ Hadees aur Seerat se Dalail
Jab Nabi ﷺ Madinah tashreef laaye, to wahan ke mukhtalif halaat ko control karne aur ek mazboot riyasat banane ke liye ye muahida kiya gaya jisko Misaaq e Madinah kaha gaya. Nabi ﷺ ne Madina ki hifazat ke liye waha ke Yahoodiyon ke sath military alliance banayi. Wo Yahoodi Allah ke Rasool ﷺ ki nubuwwat ka inkar karte the, lekin dushman (Quraish) ke khilaf Nabi ﷺ ne unka sath lena jayez samjha.
Is waaqye se sabit hua ke jab baat dushman se hifazat ki ho, to unse bhi hath milaya ja sakta hai jo Islam ko nahi maante. Sochiye, agar gair-muslim ke sath alliance ho sakti hai, to Palestine ke liye unka 'Siyasi' sath dena kaise galat ho sakta hai jo kam-az-kam kalma-go hai.
۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya, "Jo bhi jahiliyat ke zamane mein kisi insaaf-pasand muahide ka hissa raha ho, to Islam use sirf mazeed mazbooti hi deta hai."
Al Adab al Mufrad, hadees 570 | Sahih (Albani)
Is hadees ko samjhane ke liye Imam Zuhrah Fath ul baari (4/473) me kahte hai,
"Isse murad insaaf ka muahida hai, jaise ke Hilf al-Fudul, jis mein unhone is baat par ittefaq kiya tha ke wo Makkah mein kisi zalim (wrongdoer) ka sath mazloom ke khilaf nahi denge."
۩ Rasoolullah ﷺ ek dusri hadees me farmate hai, '
"Maine Abdullah bin Jud’an ke ghar mein ek aise insaaf-pasand muahide (pact of justice) mein shirkat ki thi, jo mujhe qeemti surkh oonton (red camels) ke revarh se bhi zyada mehboob hai. Agar Islam ke is dor mein bhi mujhe is (muahide) ki taraf bulaya jaye, to main zaroor qubool karunga."
Al-Sunan al-Kubrā 13080. Ise Ibn al-Mulaqqin ne sahih karaar diya hai.
Is hadees se saaf pata chalta hai ki agar muahida insaf aur sachai par mabni hai to islam ye nahi dekhta ki saamne wali party ka aqeedah kya hai ya wo kis maslak se taluq rakhti hai, balki sirf ye dekhta hai ke 'Zalim' ka hath rokne mein kaun 'Mazloom' ka sath de raha hai."
Nabi ﷺ ne ye nahi dekha ke muahida karne wale log Mushrik hai. Unhone sirf ye dekha ke muahida ka Maqsad (Goal) kya hai? Maqsad tha: "Zalim ko rokna aur Mazloom ko haq dilana."
Upar ki hadees se saaf sabit hua ki Islam hame ye sikhata hai ke agar koi bura aadmi bhi koi achha kaam kar raha ho, to us achhe kaam mein uska sath dena chahiye.
Farz karein ek dushman (Israel) ek bache (Palestine) ko maar raha hai. Wahan ek banda aata hai jise aap pasand nahi karte (Iran), lekin wo us dushman ka hath pakad leta hai taaki bacha bach jaye. Kya aap us waqt us bande ka hath jhatak denge sirf isliye ke aapka usse ikhtelaf hai? Ya aap uske sath mil kar dushman ko peechay hatayenge?
Iran ko support karne ka matlab unke Aqeede ko support karna nahi hai. Balki unke us "Hath" ko support karna hai jo Israel (Zalim) ko rokne ke liye Palestine (Mazloom) ke sar par rakha gaya hai.
Jab dunya ke bade bade Arab mulk dushman ke dar se khamosh baithe the, tab Iran ne kisi se dare bagair Palestine ka sath diya.
Wo himmat jo kisi Arab leader ne nahi dikhayi, wo Iran ne dikhayi. Unhone sirf baatein nahi ki, balki zameen par weapons aur paison se madad ki. Is raah mein unke bade leaders aur commanders ko apni jaan bhi deni padi. Ab ham itne kamzarf toh nahi ho sakte ki wo hamare palestine ke liye jaan qurban kar de aur ham unhe support bhi na kare.
Jab ghar ko aag lagi ho, to paani dene wale ka firqa ya aqidah nahi dekha jata. Is waqt Israel sabse bada khatra hai. Agar Iran unhe rok raha hai, to usse Sunni mulk (Gaza/Lebanon) ka hi faida ho raha hai.
Hamas khud Sunni hai, lekin fir bhi wo Iran se madad lete hai. Agar ladne wale mujahideen ke liye ye alliance jayez hai, to hame ac waale kamre me baith kar ise najayz kahne ka koi haq nahi.
Sahaba ki izzat hamara eeman hai. Lekin Siyasat aur Jihad me dushman ke dushman ko dost banana Hikmat hai. Jab wo Israel ke samne khade hain, to hamara unhe kamzor karna sirf dushman ko faida pahunchayega.
Iran ko support karna unke aqeeday ki tasdeeq nahi, balki unki us Jurrat ka aitraaf hai jo kisi Arab mulk na dikha sake. Agar ham aaj Amal ke bajaye Firqe ke chakkar me Iran ki dhaal ko kamzor karenge, to ham asalsal mein Israel ke hathon ko mazboot karenge.
Yaad rakhein: Nabi ﷺ ne Hilf al-Fudul me Mushrikeen ka sath sirf isliye diya tha kyunki wo 'Insaaf' ke sath khade the. Aaj Iran bhi wahi kar raha hai. Faisla aapka hai—Zalim ki khamosh himayat, ya Mazloom ka sath.
Aur ek aakhri baat, Saare Shia Sahaba e karaam par tankeed nahi karte, bure log har qaum, har mazhab me hote hai, saaro ko ek hi laathi se haakna insaf ke khilaf hai.
۩ Iran ke leader Ayatollah Khamenei khud kahte hai,
"Sunni bhaiyo ki muqaddas shakhsiyat (Abu Bakr, Umar, Ayesha ra.) aur nishaniyo jin me Islam ke Nabi ki biwi (Aisha) bhi shamil hain, in sab ki tauheen karna haraam hai."
"Nabi ﷺ ki tamam azwaj-e-mutahiraat qabil-e-ahtaram hai; jis kisi ne bhi un me se kisi ki bhi tauheen ki, us ne Nabi ﷺ ki tauheen ki."
source- https://english.khamenei.ir/news/3905/Ayatollah-Khamenei-s-fatwa-Insulting-the-Mother-of-the-Faithful
•٠•●●•٠•
Aur Allah sab se behtar jaanta hai.