اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2017

Nek Logo Ki Taareef Me Izafa


Nek logo se had se zyada Muhabbat aur Taareef ek bunyad hoti hai Shirk aur butparasti ki. Buddha aur Eesa a.s. ki tasweer ki ibadat Buddhism aur Isaiyat me saaf misal hai jo bayan karti hai daur e hazir ki butparasti jo nek logo ki had se zyada mohabbaat aur taareef karne ki wajah se hui.

RasoolAllah ﷺ ko bhi ye khatreh ka andesha tha, isi liye RasoolAllah ne apne sahabao aur musalmano ko unki asal zaat se badha chadha kar taareef karne ko mana kiya tha.

Umar ibn Khattab r.a. riwayat karte hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Meri Tareef me izafa mat karna jese ki Eesayo ne Eesa ibn Maryam ki kari thi. Beshak mai Allah ka gulam hu, isi liye mujhe Abdullah wa RasoolAllah kah kar pukara karo(Allah ka banda aur Rasool ) .” 

SAHIH AL BUKHARI, HADITH- 654.

Chuki us waqt ye Isaiyo aur Yahoodio ka amal tha Rasoolo aur nek buzurgo ki kabr par ibadatgaah banane ki, so RasoolAllah s.a.w. ne lanat farmai thi is amal par . RasoolAllah ne unlogo ko bhi lanat farmai thi jo aenda aesa amal karenge is liye taki ye baat saaf ho jae ki Islam kitna pak-saaf hai in mushrikana amalo se aur taaki logo ko nek buzurgo ki Taareefo me izafa karne ke khatreh se aagah kiya jaae.

Ek martaba Rasool Allah ki biwi Umm Salamah r.a. ne RasoolAllah se ek Girja(Church) jo ke Ethiopia me tha uska zikr kiya jisme tasweere thi (deewaro par) .ye sun kar Ap s.a.w. ne farmaya, “IN LOG AESE HAI KE JAB IN LOGO MESE KOI NEK BANDA MAR JATA HAI, TO YE LOG UNKI KABR PAR IBADAT KI JAGAH BANA LETE HAI AUR RANG (PAINT) DETE HAI USKO KUCH TASWIRO SE. YEH ALLAH KE NAZDEEK SABSE BADTAREEN MAKHLUQ HAI.”

SAHIH AL BUKHARI-419, SAHIH MUSLIM-1076.

RasoolAllah ka bayan “Sabse badtareen makhluq” un imarat banane walo ke liye saaf zahir karti hai ki ye amal sakht mana hai islam me bina koi riayat ke. Is sabse battareen lanat ki wajah ye amal ki haqiqat hai jo do ahem zarae hai butparasti ke:

1. Kabr ke upar Imarat banana
2. Tasweer banana.

Ye dono amal hameshah Shirk ke taraf le jate hai jo ki Nooh a.s. ki qaum ke buto ke kahani se saaf zaahir hota hai.