اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Shirk Kya Hai?


Allah pak farmate hai

Beshak Allah nahi bakshega ki us ke sath shirk kiya jaye aur baksh dega jo is ke ilawa hoga, jise wo chahega. Aur jo koi Allah ke sath shirk kare, toh wo gumraahi me boht dur nikal gaya.

Surah Nisa, ayat 116.

Halanki shirk se mutallik aur bhi boht si ayat is surah se piche guzar chuki hai lekin ye ayat boht hi aham hai jisme shirk karne wale ki muafi ki koi ummeed nahi.

Shirk kya hai?

Shirk hai, shareek karna Allah ke siwa kisi makhlook ko, ibadat , muhabbat, Taazeem me, Allah ke barabar samajhna. Allah taala ki makhsoos sifaat me; maslan, Khaliq, Raziq, Hajat rawa, mushkil kusha. Allah taala ki in sifat me kisi aur ko shareek samajhna ki koi aur bhi ye sab kuch kar sakta hai.

Qayamat ke din mushrikeen kahenge

“Allah ki kasam ham khuli gumraahi me the jab ham tumko Rabbul-aalameen ke barabar karar dete the.”

Surah-ashurah,aayat-97-98.

Iska matlab Allah ke barabar kisi ko karar dena, uski zaat me, uski sifaat me, uske hukuk me, uske ikhtiyaraat me, Yahi Shirk Kahlata Hai.

Shirk ko Zulm bhi kaha gaya hai. Zulm kisi ke haq me kami ke liye istemal hota hai. Allah ka haq ye hai ki uske barabar kisi ko na samjha jaye, kisi bhi chiz me, uski kisi bhi sifat me, uski hasti ki kisi bhi pahlu me. Aur agar koi aesa kare to wo aese gunah ka aetekab kar raha hai ki jiski muafi nahi. Yaad rakhiye ki gunah kai kism ke hai. Kuch aese hai jo insan bhul chuk me khata kar jata hai aur fir us ke baad neki karta hai to har neki khata ko mita deti hai. Kuch gunah aese hai ke jin ke liye sirf neki karna kaafi nahi balki unki bataur e khas muafi mangna bhi zaruri hai. Jab insan un gunaho par muafi mangta hai to wo muaf ho jate hai. Kuch gunah aese hai ki jin par sirf muafi bhi kafi nahi jab tak ke insan un huquq ki adayegi na kare jo wo kisi ke haq me maar raha hai; maslan kisi ki chori ki ya kisi ki ilzam-tarashi ki. Toh aese me jab tak ke wo chiz sahib e haq ko wapis na ki jaye, uska nuksan na pura kiya jaye, us shaks se muafi na mangi jaye jaise huquq al ibaad me kotahi, to us waqt tak wo gunah muaf nahi hote. To shirk bhi un gunaho maise ek gunah hai ki jis par insan jabtak sache dil se muafi mang kar fir ayinda ke liye wo kaam chhor na nahi deta us waqt tak muafi nahi ho sakti.

Shirk, sabse bada Gunaah

RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki sabse bada gunah ye hai ki tum Allah ke sath kisi ko shareek karo, halanke usne tujhko paida kiya.

Bukhari 4477, Muslim 86.

Shirk karne ka nuksaan kya hai

…Jo bhi Allah ke sath shirk kare, Allah ne us par jannat ko haraam karar diya hai aur uska thikana aag hai aur in zalimo ke liye koi madadgaar nahi.

Surah al Maida ayat 72

Shirk ka sabse bada nuksan ye hai ki shirk karna wale par jannat haraam hai. RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Jo koi is haal me mare ki wo Allah ke siwa kisi aur ko pukarta ho to wo jahannam me dakhil hoga.

[Bukhari4497,Muslim 92].

Shirk ke sath nek aamaal fayda nahi dete:

Shirk nek aamaal ko aag ki tarah jalata chala jata hai. Quran e paak me Allah taala ne Hazrat Ibrahim, Ishhaq, Yakoob, Dawood aur suleman alaihimussalam samet 18 paigambaro ka naam lekar farmaya,

“Agar ye sab shikr karte(18 Ambiya jinme ye sab bade bade Ambiya shamil hai) to inke bhi aamaal inse zaya ho jate.”

To Khwah koi paigambar bhi kyu na ho lekin agar wo bhi shirk kare to unke bhi aamaal zaya ho sakte hai.

۞ Shirk ki jadd( root):

Shirk ki sabse bunyadi wajah ya sabse bunyadi sabab kisi ki Muhabbat me gulu hai. Kisi bhi nek insan, kisi bhi Paigambar ke Muhabbat me gulu, muhabbat me hadd se badhna. Gulu hadd se badhne ko kahte hai. Hadd se badhne ka matlab ye hai ki insan, us insan me atak kar Allah ke ahkaam ko bhul jaye. Allah ke hudud ko paamaal karne lage. Us insan ki Muhabbat Allah ki Muhabbat se badh jaye.

Qaum e Nooh ki misaal apke samne hai ki unke bade bade but; yadd, swaa, Inko wo pujte the aur ye unke Qaum ke buzurgaane-deen ke nek logo ke but the. In ke yaha jab koi shaks boht nek hota aur apni neki me boht mashhoor ho jata to log uski baat ko Allah ki baat ke barabar ya usse bhi badhkar karar dene lagte. Aur jab wo faut ho jata to uski but bana kar use pujne lagte aur kahte ki inhone hamko Khuda se milaya hai, Lihaza hamare Khuda yahi hai. Jese ek Urdu ka bhi sher hai

“Haqeeqat me dekho to khwaja Khuda hai

Khwaja ke dar pe sajda rawa hai”

Ab ye Moiniddeen Chishti ke taraf ishara hai. Khwaja ko Khuda kaise banaliya hai unhone khud se?, Kyunki wo pahle khwaja se impress hue phir unki ibadat se phir unke taqwa se Phir unse mohabbat karne lage Phir unki mohabbat aqeedat me badly aur aqeedat shirk me badal gaya, iska ye matlab nahi ke kisi se Mohabbat nahi karny chahiye.

Jahan Allah ki Khatir ki hui Muhabbat insan ko arsh e elahy ke saye tale jagah degy Wahi Muhabbat me had se badhna, Had se badhne se murad kya hai? Ye hai ki Allah ke hukum ko piche chor dena Aur uske hukum ko agee le aana, Allah ko sajdah karne ke bajaye unko sajdah karne lagna, Allah se dua mangne ke bajaye unke aage duae mangne lagna, Allah ki Muhabbat se badh kar unse mohabbat karne lagna, Kyun ki Quran majeed me ata hai, “Wo log jo imaan laye hai wo Allah ki mohabbat me sab se zyada shadeed hote hai”. Iska ye matlab nahi hai ki kisi insan se mohabbat nahi honi chahiye Ya zyada mohabbat nahi honi chahiye. Ap dekhe ke Nabi ﷺ ki Muhabbat hai To apki Muhabbat Eemaan ka hissa hai, Koi shaqs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak wo Ap ﷺ ko apne walidain se, apni aulad se, tamaam insano se badh kar mohabbat na kare, Lekin us mohabbat ki limit kya hai? Sab insano se zyada lekin Allah ke barabar nahi Kyun ki agar barabar agaye to ye shirk ho gaya, ya Allah se badh kar bhi nahi, kyunki ba’az awqaat kya hota hai, Allah se bhi badha dete hai jaise Haaly ne kaha tha ki “Paighambaro ka rutba Khuda se badhaye”.

Masalan eesaiyon ke paas shirk kaha se aya, Hazrat Eesa(a.s) ki mohabbat wo me is had tak badhe unki aqeedat aur ehtraam me ke unhe Khuda ka beta bana diya, Kisi bhi nek insaan ki mohabbat ek pasandeedah amal hai Jaise ek shair hai, “mai neak logo se mohabbat rahta hoon halanke mai un me se nahi hoon”, Ye ummeed par ki shyad Allah mujhe bhi neki ki taufeeq de. Kyunke insan jis se mohabbat karta hai usy ke naqshe qadam pe chalta hai, aur iska sila kya hai kisi naek insaan se mohabbat karne ka Hadees me aata hai, “Insaan usi ke sath hoga jis se wo mohabbat karta hoga”. Sahaba e kraam kahte hai ki is hadees ko sun kar hame itny khushy hui ke shayad is se pehle kabhi hui ho. Kyunki hum Huzoor ﷺ ko apni jaan maal har cheez se badh kar chahte the. Aap ﷺ se bahut zyada mohabbat rakhte the Isi tarah baad ke atwaar me bhi Ya’ani Aap ﷺ ka muqaam to apka hai Phir uske baad hum dekhte hai ke Jaise ahle baith hai, Aap ﷺ ke ghar wale Phir uske ba’ad deegar neak log hai, jaise saleheen jis ke piche zikr padha, Kisi bhi saleh insan jisko ap neak samjhte ho asal neki to Allah hi ko pata hai kisi ki, Hum kisi se uska muamla sirf uske zahir par karte hai.

Dilon ka haal hum nahi jante ke koi andar se kya hai lehaza kisi bhi insaan jisko aap nek samjhte ho aur us se aap muhabbat rakhte ho, khwah wo moujuda daur ka ho ya pichle daor ka, isme koi burai nahi. Masalan Aap dekhte hai ki jab hum Muslim Heros me muqtalif sahaba ya sahabiyat ka padhte hai to hamary ankhos se ansu ajate hai. Ba’az auqaat hamare dil me unke liye bohut mohabbat paida hoty hai, isme koi haraj nahi, neak logo se mohabbat karna unke raste pe chalna, unke tareeqe ko apnana,unko apna ideal banana isme koi burai nahi hai.

kyun?

isliye ke Quraan pak me ata hai, “hame sidha rasta dikha un logo ka rasta jin par tune in’am kia” ya’ni jinhe tune hidayat di, jo tery taraf jate hai, tujhse milate hai, tujh se jodte hai, to koi aisa insaan khwah maazi ka ho ya haal ka ho khwah kisi mulk shaher ka ho,

koi bhi insan jisse talluq Allah ki mohabbat me izafe ka sabab bane. Allah ta’ala ke qhurb(nazdeeki) ka sabab bane,wo saary mohabbat jayez hai aur pasandeeda hai aur ek tarah se ibadat hai. Aisy hi mohabbat ibadat hai, har mohabbat ibadat nahi hoty.

Fir is ke baad is me ehtiyaat kis cheez ki zarury hai? agar hum kisi bhi insaan se Allah ke liye mohabbat karte ho to kabhi aisa na ho ki us insaan ki kisi ghalat baat ko hum sahih kahne lage ya uske kisi ghalat amal ko hum sahih kahne lage, aur us tassub me mubtala ho kar us ke haq me dalail dene shuru karde ke nahi nahi chunke ye baat falan ne farmai hai, aur falan mera pasandeeda hai, lehaza agar wo ghalt bhi kahega to mai usko bhi sahih samjhunga, Nahi!!”

Koi bhi insaan Allah aur uske Rasool ki baat se takraty hui baat kahe to uski baat nahi lii jayegy. Khwah walidain hi kyun na ho, aulaad hi kyun na ho, ustaad hi kyun na hoo, koi aur insaan hi kyun na ho, kyun ke jahan mohabbat ibadat hai wahan mohabbad me etedaal se badhna shirk ki taraf lee jata hai. Ab ye ek bareek sa farq hai, Aap me se har ek ko ye farq maloom hona chahiye. Kyunke humne dekha hai ke hamare yahan aksar do extreme hai. Ya to ek aisy extreme hai jo kisi bhi nek insaan ka aisa garbeedah bana dety hai ke Allah, Rasool, Deen, Ta’aleem Shariyat, har chiz bhul jaty hai. Sab shariyate piche chali jaty hai. Sab Allah ke hukum piche namaaz roza se bhi jate hai log wo khte hai ki yahi hamare sab kuch hai. ye hame aage paar kara denge. Ye ek exteme hai kya karte hai, unke naam par qurbani karte hai unke naam par sadqah, khairaat, nazar wa niyaz dete hai. Fir unko unhi se apne tamaam rishte istewar karte hai, hat’ta ke Allah se mangna bhul jaate hai aur unse mangna shuru kar dete hai, unke dar pe sajdah rawah hai kahna shuru kar dete hai,

ye ek extreme hai.

Dusry extreme kya hai?

Ke insaan har mohabbat ko ye keh ke khatam karde ke nahi ye to shirk hai, ya kisi se bhi zyada mohabbat nahi karny chahiye ke ye napasandedah hai, nahi” ya’ani aap kisi se bhi kahin tak bhi mohabbat kar sakte hai, napasandedah us waqt hoty hai wo jab Aap uske hukum ho eham qarar de aur Allah ke hukum ko pichee kar de. Uski sohbat me baith ke aap namaz taqeer se padhe,

ke ji hum Allah ki baate kar rahe hai kyun ki ba’az auqat insan kehta hai ki mujhe falan se Allah ki Khatir Mohabbat hai aur uski majlis me mai baith kar Allah ki mohabbat mehsoos kar sakta hoon. Ab aap baith gaye majlis me, ab aise baithe ke na aap khud namaz padhy na usko padhne dy, ya khud bhi padhi to deer se padhy,aur usko bhi deer kara dy hai. 

To koi mohabbat khwah kitny bhi Allah ke liye ho, lekin agar Allah ki khatir mohabbat karte hai, aur us mohabbat me.

nahi

Barehaal shirk ka darwaza yaha se khulta hai, kisi ki mohabbat me ghulu aur is tarah ke iske muqable me Allah ta’ala ki zaat piche chali jaye. Allah ke Rasool ﷺ ki sunnat piche chali jaye, aise me phir kya kia jaye? Ahtiyaat kaise ki jaye? kyunke insaan ke liye etedaal par qayam rehna nihayat mushkil hai. Aasaan hota hai ek taraf latak jana ya dusry taraf latak jaana, masalan chal rahe hai agar aap daye taraf kisi pe sahara le le to apko chalna asan hai, aur agar bayen taraf lele to asan hai, khud apne paaon par chalna ya sidhiyan utarna chadna kya hai? Mashaqat wala kaam hai lekin yahi etedaal Allah ko pasandeedah hai, ke aap na idhar jhuke is inteha pe na us inteha pe balki uske bar’aks etedaal pe qayam rahe. Etedaal pe qayam rahte hue mohabbat nihayat pasandedah hai,

wo kamon ko asaann kar dety hai, nekiyon ko asaan bana dety hai, wo kaam jo insaan aqal ke zariye salon me nahi karsakta wo mohabbat ke zariye ek jist me kar jata hai.

Allah se dua hai ki wo hame shirk jaise gunahe Kabira se bachae wo kyu na shirk e asgar ho ya shirk e akbar.